JUMU'AH KE DIN SOORAH AL-KAHF PARDHNE KI FAZEELAT


JUMU'AH KE DIN SOORAH AL-KAHF PARDHNE KI FAZEELAT

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

• Abu Sa'eed Khudri (Raziyallaahu 'Anhu) bayaan karte hain ke Nabi Al-Malhamah (ﷺ) ne farmaaya:

من قرأ سورة الكهف ليلة الجمعة أضاء له من النور فيما بينه وبين البيت العتيق

"Jisne Jumu'ah ki raat Soorah Al-Kahf padhi uske aur Bait Allaah ke darmiyaan noor ki raushni hojaati hai."

[Source: Sunan Daarmi: 3407; Saheeh Al-Jaami': 6471, Hukm Albaani: Saheeh]

• Doosri riwaayat mein Nabi Al-Malhamah (ﷺ) ne farmaaya:

من قرأ سورة الكهف في يوم الجمعة أضاء له من النور ما بين الجمعتين

"Jisne Jumu'ah ke din Soorah Al-Kahf padhi uske liye do jumu'on ke darmiyaan noor raushan hojaata hai."

[Source: Mustadrak Al-Haakim: 2/399; Bayhaqi: 3/249, Is Hadees ke muta'lliq Haafiz Ibn Hajar "Takhreej Al-Azkaar" mein kehte hain ke ye Hadees Hasan hai, aur unka kehna hai ke Soorah Al-Kahf ke baare mein sab se qawi yahi Hadees hai. Dekhiye: "Fayz Al-Qadeer": 6/198 aur Saheeh Al-Jaami': 6470, Hukm Albaani: Saheeh]

• Teesri riwaayat Ibn 'Umar (Raziyallaahu 'Anhu) se hai ke Rasool e Akram (ﷺ) ne farmaaya:

من قرأ سورة الكهف في يوم الجمعة سطع له نور من تحت قدمه إلى عنان السماء يضيء له يوم القيامة ، وغفر له ما بين الجمعتين

"Jisne Jumu'ah ke din Soorah Al-Kahf padhi uske qadmon ke neeche se lekar aasmaan tak noor paida hota hai jo Qiyaamat ke din uske liye Raushan hoga aur us dono Jumu'on ke darmiyaan waale gunaah mu'aaf kardiye jaate hain."

[Source: Al-Targheeb Al-Targheeb Al-Targheeb: 1/298, Munziri ka kehna hai ke: Abu Bakr Bin Mardawayh ne isey Tafseer mein riwaayat kiya hai jiski sanad mein koi harj nahin, لا بأس به kaha hai]


ولله الحمد والمنة وأعلم

《 '
Abd Al Mudhill Hafizahullah》
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Ta’leem o Ta’allum 0

Similar threads


Top