JUWA KHELNA


Ibnatu Ali

Member
❐JUWA KHELNA❐
بسم الله الرحمن الرحيم

◈اِنَّمَا الۡخَمۡرُ وَالۡمَيۡسِرُ وَالۡاَنۡصَابُ وَالۡاَزۡلَامُ رِجۡسٌ مِّنۡ عَمَلِ الشَّيۡطٰنِ فَاجۡتَنِبُوۡهُ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُوۡنَ‏۝​
"Sharaab aur juwa aur buth aur paansey(ye sab) naa paak kaam 'aamaal e shaitaan se hain so insey Bachtey rehna taa ke najaat paao".
❲Surah Al-Maidah:90❳

'Ehad e jaahiliyat mein log juwa bahut kheltey they jiski ek sabsey mashoor shakal ye thi ke ek hi oont ki kharidaari mein dus afraad barabar mein hisseydaar hotey, aur phir teeron ke zari'ye ek qism ki qura' andaazi wa qismat aazmaayi hoti jis mein saat(7) afraad ko toh kuch qeemat mil jaata aur teen(3) afraad ko kuch nahin milta tha.

Aaj humarey iss zamaaney mein juwey ki bahut si shaklein hain maslan:
Lotry aur insurance.

━━━━━━━━━━━━
┃Kitaab: Muharramaat ❨Haraam Ashya wa Umoor❩
Taleef: Fazilat Al Shaykh Mohammad Saalih Al-Munajjid [Hafidahullah]┃
 

Similar threads


Top