Kaale Yarqaan Ka Jungli Kabootar Se Elaaj Ki Sharai Haisiyat


Kaale Yarqaan Ka Jungli Kabootar Se Elaaj Ki Sharai Haisiyat

Tehqeeq: Fazilatus Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah
Daai Islamic Dawah Center Taif Saudi Arabia
Romanised: Khadija Muhammadi

Yarqaan Jise English Me (Hepatitis) Kehte Hain, Yah Ek Tarah Ki Bimari Hai Jo Jigar Se Mutalliq Hai Jo Dar-Asal Virus Hai Aur Dusro Me Muntaqil Bhi Hota Hai. Iski 5 Qismein Hain:
➊ Hepatitis B
➋ Hepatitis C
➌ Hepatitis A
➍ Hepatitis D
➎ Hepatitis E
Hepatitis A Ko Yellow Yarqaan Aur B, C Ko Black Yarqaan Kaha Jata Hai.
Aaj Kal Yah Bimari Duniya Me Aam Hai, Har Mulk Me Kasrat se Iske Mareez Paaye Jaate Hain, Is Wajah Se Ilaaj Ke Mukhtalif Tariqe Logon Me Paaye Jaate Hain Balke Aaye Din Is Bimari Ke Khatme Ke Liye Naye Naye Ilaaj Talash Kiye Jaate Hain. Medical Aur Science Ke Yahan Hepatitis Ki Tamam Qismon Ka Ilaaj Maujood Hai Balke Aksar Mulk Ke Bade Bade Shehron Me Inka Free Ilaaj Hota Hai. Gharelu Taur Par Logon Ne Bhi Mukhtalif Tarah Ke Ilaaj Iyjaad (Invent) Kar Rakhe Hain. Black Hepatitis Se Mutalliq Logon Ke Ilaaj Ka Ek Naya Tariqah Aaj Kal Kaafi Mashhoor Hota Ja Raha Hai Aur Log Uski Sharai Haisiyat Jaanna Chahte Hain Taaki Agar Ilaaj Sahih Ho To Use Amal Me Laya Jaa Sake Warna Is Tariqa e Ilaaj Se Bacha Jaaye. Black Hepatitis (C) Ka Ilaaj Aaj Kal Jungli Kabootar Se Kiya Jata Hai. Is Ka Tariqa Yah Hai Ke Jo Is Bimari Ka Shikaar Ho Uski Naaf Par Jungli Kabootar (Male) Ke Paikhaane Ki Jagah Mila Kar Rakhi Jaaye, Is Se Mareez Ka Virus Naaf Ke Raste Se Kabootar Me Muntaqil Ho Jaayega Aur Kabootar Khud-Ba-Khud Mar Jaayega, Kabootar Wala Yah Amal Us Waqt Tak Jaari Rakhna Hai Jab Tak Kabootar Naaf Se Lag Kar Marta Rahe Aur Agar Marna Band Ho Jaaye To Iska Matlab Yah Huwa Ke Ab Mareez Theek Ho Gaya Hai, Us Mareez Ka Test Kiya Jaaye To Maloom Ho Jaayega Ke Black Hepatitis Ki Bimaari Khatam Ho Chuki Hai. Yah Awaami Khayaal Hai.
Jawab Is Buniyaad Par Diya Ja Raha Hai Ke Agar Yah Awaami Khayaal Sahih Ho To Is Ilaaj Ki Sharai Haisiyat Kya Hogi? Iske Liye Hamein Yah Jaanna Hoga Ke Islaam Ne Hamein Janwaro Ke Saath Kaisa Sulook Karne Ka Hukm Diya Hai Aur Kya Ilaaj Ke Maqsad Se Janwar Ka Qatl Jaiz Ho Sakta Hai?
Hamara Yah Aqeedah Hai Ke Tamaam Kayenaat Ka Khaaliq Akela Allaah Hai, Wahi Insaano Ka Bhi Aur Haiwano Ka Bhi Khaaliq Hai. Woh Apni Tamaam Makhluqaat Par Shafeeq Aur Meharbaan Hai. Farmaan e Ilaahi Hai:
إِنَّ رَبَّكُمْ لَرَءُوفٌ رَّحِيمٌ​
Tarjumah: Yaqeenan Tumhara Rab Bada Hi Shafeeq Aur Nihayat Meharbaan Hai.
(Surah An-Nahl: 7)

Jis Tarah Apni Makhlooq Par Meharbaan Hai Usi Tarah Apne Nabi Muhammad ﷺ Ke Zariye Bandon Ko Bhi Zameen Par Rehne Wali Tamam Makhlooq Ke Sath Meharbaani Karne Ka Hukm Diya Hai, Nabi ﷺ Ka Farmaan Hai:
الراحمون يرحمهم الرحمن، ارحموا اهل الارض يرحمكم من في السماء​
Tarjumah: Raham Karne Waalo Par Rahmaan Raham Farmata Hai Tum Zameen Waalo Par Raham Karo Aasmaan Wala Tum Par Raham Karega.
(Sahih Abi Dawood: 4961)

Yah Hadees Hamein Ta'leem Deti Hai Ke Zameen Par Rehne Waali Tamam Makhlooq Ke Saath Piyaar, Muhabbat Aur Husn e Sulook Se Paish Aana Chaahiye Aur Kisi Makhlooq Ko Bagair Kisi Wajah Ke Takleef Dene Se Bachna Chaahiye Yahan Tak Ke Cheenti (Ant) Ka Bhi Qatl Mana Hai.
Kaha Jaata Hai Ke Jungli Kabootar Se Black Hepatitis Ka Ilaaj Karne Me Kabootar Khud-Ba-Khud Mar Jaata Hai, Us Ka Gala Nahi Dabaya Jaata Hai. Yah Bhi Bataya Jaata Hai Ke Ek Aadmi Ke Ilaaj Me 80-80 Aur 40-40 Kabootar Marte Hain.
Agar Yah Baat Sahih Maan Li Jaati Hai To Iska Matlab Yah Nikalta Hai Ke Kabootar Ki Maut Takleefdeh Surat Me Tadap Tadap Kar Hoti Hogi Kiunki Jab Use Tez Aale (Hathyaar) Se Zabah Nahi Kiya Gaya To Kabootar Ki Jaan Nikalne Ki Surat Yahi Takleefdeh Banti Hai. Is Baat Ko Saamne Rakhte Huwe Zara Us Hadees Par Gaur Karen Jis Me Halaal Janwar Ko Zabah Karne Me Takleef Se Bachte Huwe Aaraam Pahunchaane Ka Hukm Diya Gaya Hai. Nabi ﷺ Farmate Hain:
إن الله كتب الإحسان على كل شيء، فإذا قتلتم فاحسنوا القتلة، وإذا ذبحتم فاحسنوا الذبح وليحد احدكم شفرته، فليرح ذبيحته​
Tarjumah: Allaah Ne Har Cheez Ke Baare Me Ahsaan Ka Hukm Diya Hai Lihaza Jab Tum Qatl Karo To Achche Tareeqe Se Qatl Karo Aur Jab Zabah Karo To Achche Tareeqe Se Zabah Karo Nez Tum Me Se Har Shakhs Ko Chaahiye Ke Apni Churi (Chaaqo) Tez Kar Le Aur Zabah Hone Wale Janwar Ko Aaraam Pahunchaaye.
(Sahih Muslim: 1955)

Is Hadees Me Sab Se Pehle Ahsaan Ka Hukm Dene Ka Matlab Yah Hai Ke Tum Janwar Ko Zabah Karo To Wahan Bhi Ahsaan Ko Saamne Rakho Yani Knife Tez Kar Ke Is Tarah Janwar Zabah Karo Ke Use Takleef Na Ho. Zara Andazah Lagaayen Ke 80-80 Kabootar Ko Ek Aadmi Ke Ilaaj Ke Liye Tadpa Tadpa Kar Maarna Kisi Bhi Surat Jaaiz Ho Sakta Hai Jab Ke Is Bimaari Ke Liye Kayi Tarah Ke Ilaaj Maujud Hain?
Ise Zaroorat Ke Tahat Qatl Nahi Kahenge Balke Yah Sarasar Janwar Ka Nahaq Qatl Hai. Yah Qatl Hadees Me Maujood Us Janwar Ke Qatl Ke Jaisa Hai Jise Baandh Kar Qatl Karna Kaha Gaya Hai, Ya Nishana Lagaane Ke Liye Qatl Kaha Gaya Hai, Ya Target Kar Ke Qatl Karna Kaha Gaya Hai. Aaiye Un Ahaadees Ko Ek Nazar Dekhte Hain:
عن سعيد بن جبير ، قال: مر ابن عمر بنفر قد نصبوا دجاجة يترامونها، فلما راوا ابن عمر تفرقوا عنها، فقال ابن عمر : من فعل هذا؟ إن رسول الله صلى الله عليه وسلم لعن من فعل هذا​
Tarjumah: Sa’eed Bin Jubair Rahimahullah Se Rivayat Hai Ki Abdullaah Bin Umar Radhiallahu Anhu Kuch Logon Ke Paas Se Guzre Jinhone Ek Murghi Ko Nishana Banaya Huwa Tha Aur Us Par Teer Chala Rahe The. Jab Un Logon Ne Ibn e Umar Radhiallahu Anhu Ko Dekha To Wahan Se Alag Ho Gaye. Ibn e Umar Radhiallahu Anhu Ne Kaha Ke Yah Kaam Kis Ne Kiya? Rasoolullah ﷺ Ne To Lanat Ki Hai Us Par Jo Aisa Kaam Kare.
(Sahih Muslim: 1958)

Isi Tarah Jabir Bin Abdullaah Radhiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki:
نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم ان يقتل شيء من الدواب صبرا​
Tarjumah: Rasoolullah ﷺ Ne Kisi Janwar Ko Baandh Kar Maarne Se Mana Kiya Hai.
(Sahih Muslim: 1959)

Ek Dusri Hadees Me Abdullaah Bin Umar Radhiallahu Anhu Se Marvi Hai Ke Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya:
عذبت امرأة فى هرة سجنتها حتى ماتت فدخلت فيها النار لا هي اطعمتها وسقتها إذ حبستها ولا هي تركتها تأكل من حشاش الأرض​
Tarjumah: Ek Aurat Ko Billi Ke Maarne Ki Wajah Se Azaab Huwa. Usne Billi Ko Pakad Kar Rakha Yahan Tak Ke Woh Mar Gayi Fir Us Billi Ki Wajah Se Woh Jahnnam Me Gayi, Usne Billi Ko Na Khaana Diya Na Paani Jab Usko Qaid Me Rakhkha Na Usko Chhoda Ke Woh Zameen Ke Janwar Khaati.
(Sahih Muslim: 2242)

Yah Farmaan Mazeed Waazeh Hai Ke Jis Me Bhi Jaan Hai Use Target Aur Hadaf Banaana Jaiz Nahi Hai Kiunki Nabi ﷺ Ka Farmaan Hai:
لا تَتَّخِذُوا شَيْئًا فِيهِ الرُّوحُ غَرَضًا​
Tarjumah: Jis Chiz Me Bhi Rooh Ho Use Target Mat Banaao.
(Sahih Muslim: 1957)

In Sari Ahaadees Se Maloom Huwa Ke Black Hepatitis Ke Ilaaj Ke Liye Kabootar Ki Jaan Lena Wazeh Taur Par Qatl Hai Balke Is Amal Ke Bare Me Qayamat Ke Din Pooch Ho Sakti Hai Aur Us Aurat Ka Haal Bhi Jaan Liye Jo Billi Ke Qatl Ke Sabab Jahnnam Me Daakhil Hui.
Abdullaah Bin Amr Radhiallahu Anhu Se Rivaayat Hai Ke Nabi ﷺ Ne Farmaya:
ما من إنسانٍ يَقْتُلُ عُصْفُورًا فما فَوْقَها بغيرِ حَقِّها، إلَّا سَأَلهُ اللهُ عَنْها يومَ القيامةِ قيل: يا رسولَ اللهِ ! وما حَقُّها؟ قال: حَقُّها أنْ يذبحَها فَيأكلَها، ولا يَقْطَعَ رَأْسَها فَيَرْمِيَ بِه​
Tarjumah: Jo Shakhs Chidya Ya Us Se Bhi Chhote Janwar Ko Nahaq Qatl Kare Allaah Qayamat Ke Din Us Se Uske Bare Me Poochega. Pucha Gaya: Aye Allaah Ke Rasool! Uska Haq Kya Hai? Aap Ne Farmaya: Use Zabah Kar Ke Khaaye. Uska Sar Kaat Kar Na Phaink De.
(Sahih ut Targeeb: 2266)

Isi Tarah Rasoolullaah ﷺ Ka Yah Bhi Farmaan Hai:
لتؤدن الحقوق إلى اهلها يوم القيامة حتى يقاد للشاة الجلحاء من الشاة القرناء​
Tarjumah: Qayamat Ke Din Tum Haqdaaro Ke Huqooq Zaroor Ada Karoge Yahan Tak Ke Bagair Seengh Wali Bakri Seengh Wali Bakri Se Qisaas Legi.
(Sahih Muslim: 2582)

In Saari Ahaadees Ko Samne Rakhte Huwe Faisla Karen Ke Jab Ek Bimaari Ke Liye Kayi Ilaaj Maujood Hain Balke Saste Aur Muft (Free) Ilaaj Bhi Maujood Hain To Aisi Surat Me Ek Aadmi Ke Liye Kya Darjano (Dozens) Kabootar Ki Takleefdeh Surat Me Jaan Lena Sahih Hai? Waise Bhi Yah Scientific Tariqa e Ilaaj Nahi Hai, Ise Logon Ne Banaaya Aur Mashhoor Kar Rakhkha Hai. Ek Hoshmand Aadmi Ko Ilaaj Ke Liye Khaas Taur Se Khatarnaak Bimaari Ke Waaste Authentic Doctor Aur Authentic Hospital Se Rujoo’ Karna Chaahiye Na Ke Ayre Ghyre Ka Nuskha Apnana Chaahiye. Saath Hi Jin Logon Ne Bhi Be-Qasoor Parindon Ka Ilaaj Karne Ke Liye Jaan Liya Hai Use Taubah Karna Chaahiye Aur Aaindah Us Amal Se Bachna Chahiye. Is Silsile Me Ek Aakhri Baat Yah Hai Ke Agar Medical Aur Science Ka Maahir Is Tariqe Ko Faidemand Qaraar De Aur Koi Black Hepatitis Ka Aisa Mareez Ho Jis Ki Jaan Ko Khatrah Ho Aur Us Bimaari Ka Kabootari Ilaaj Ke Alawa Koi Doosra Ilaaj Na Ho Tab Jaan Bachaane Ke Liye Se Is Tariqe Ko Apnaane Me Harj Nahi Hai Jabke Hamein Maloom Hai Hepatitis C Ka Aisa Ilaaj Maujud Hai Jis Me Koi Nuqsaan Nahi To Fir Kabootar Ka Ilaaj Ke Liye Jaan Lena Gunaah Ka Sabab Hai.
 
Last edited by a moderator:
Top