Ibnatu Ali

Member
Facebook Par Ladki Key Name Sey ID Chalana

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Social Media Is Waqt Bohat Taraqqi Kar Gaya Hai, Jiski Wajah Se Aksar o Beshtar Mard o Khawateen Is Se Jurey Hue Hain. Is Media Ne Jahan Kuch Achchey Asraat Chorey Wahein Is Ke Manfi Asraat (Negative Effects) Bhi Samaaj Pay Bohat Murattab Hue.

Social Media Mein Facebook Kaafi Maqbool Hai, Is Se Har Aira Gaira Jud Gaya Hai Jis Ki Wajah Se Kai Logon Khusoosan (Specially) Khwatin Ko Bohat Diqqat Ka Saamna Karna Padta Hai.

Facebook Par Maujood Lafango Ne Khawateen Se Is Liye Rabta Banaya Ke Un Se Lazzat Andoz Howa Jaye.

Is Khatre Ke Alawa Facebook Par Aik Khatarnaak Pehlu Ladkoon Ka Ladki Ke Naam Se ID Chalana Hai.

Is Par Kai Pehlu Se Baat Karoonga:
(1) Ladki Ke Naam Se ID Chalanay Ki Wajah?
Is Ke Chand Wujoohat (Reasons) Hain:

◈ Markazi Wajah (Main Reason) Ladkiyon Aur Fuhsh (Gandi) Ashya (Cheezon) Se Lutaf Andoz Hona Hai.
◈ Aik Wajah Apni Post Par Ziyada Se Ziyada Tareef, Comments Aur Likes Jama Karna Hai.
◈ Chonki Larki Ki ID Ko Facebook Par Log Kaafi Ahmiyat Detey Hain, Isi Wajah Sey Kuch Log Khaas Hadaf (Maqsad) Ke Liye Ladki Ka Naam Istemaal Kartey Hain Yahan Tak Ke Deen Ka Kaam Bhi Kartey Hain.
◈ Or Kuch Log Apne Rishtedaar Khawateen Ke Naam Se ID Chalatey Hain Masalan (For Example) Shohar Biwi Ke Naam Se, Aashiq Mashooqa Ke Naam Se Waghera.

(2) Musbat (Positive) Ya Manfi (Negative) Asraat (Effects):
Is Tarah Ki ID Se Mujhey Koi Musbat Asar (Positive Effect) To Nazar Nahi Aata Magar Manfi Asraat (Negative Effects) Ne Hazaron Ladkiyon Ki Zindagi Tabah o Barbaad Kar Dali.

Chand Misalein (Some Examples):
◈ Kisi Ladki Se Gehri Dosti Karkay Barhana Tasweer (Nude Photo) Ka Mutalba.
◈ Khullam Khulla (Openly) Baat Cheet.
◈ Pyar Aur Shadi Ka Jhansa (Confidencetrick) Dey Kar Izzat Se Khilwad (Means Izzat Key Saath Khelna).
◈ Yahan Tak Ke Qatl Ghair Fitri Mout Yani Khudkushi (Suicide) Tak Maamla Pohanch Gaya.

(3) Shar’ee Mauqif (Means Shariyat Ki Nazar Mein):
Islami Aitbaar Se Yeh Bilkul Bhi Jayez Nahi Hai Ke Aik Ladka Kisi Ladki Ke Naam Se ID Banaye Kiyunkay Is Mein Kayi Aisi Baatein Hain Jo Shariyat Ki Nazar Mein Mamnoo’ (Mana) Hain:
◈ Dosron Ke Naam Ka Galat Istemaal.
◈ Wujoohat (Reasons) Se Wazeh Hai Ke Is Ki Asal Wajah Ladkiyon Se Lutf Andoz Hona Hai Jo Ke Haraam Hai.
◈ Yeh Mukammal Fraud, Dhoka Aur Jhoot Ka Pulinda Hai.
◈ Agar Kisi Ne Majboori, Khaas Maqsad Ya Deeni Gharz (Maqsad) Ke Tehat Bhi Aisa Kiya To Yeh Najaayez Hai.
!Yani Is Ke Jawaaz Ki Koi Soorat Nahi Hai.

(4) Harf e Aakhir:
Jinhon Ne Bhi Is Qism Ki ID Banai Hai Woh Foran Apni ID Delete Karen Aur Apne Sabiqa Gunaaho Se Allah Taala Se Mafi Mangen, Agar Kisi Ko Takleef Pohanchai Hai To Us Se Maafi Talab Karen.
Aur Khusoosan (Khaas Taur Sey) Meri Naseehat Hai Khawateen Hazraat Ke Liye Ke Aisay Pur Fitan (Fitney Waley) Daur Mein Aap Ka Facebook Se Alag Rehna Hi Behtar Hai, Phir Bhi Agar Aap Facebook Istemaal Karti Hain To Ehteyati Tadabeer Apnayen:
◈ Anjaan Ko Dost Na Banayen.
◈ Apni Tasweer Kabhi Bhi Upload Na Karen, Profile Mein Bhi Nahi.
◈ Balki Apne Ghar Walon Ki Bhi Tasweer Upload Karney Se Guraiz Karen (Bachen).
◈ Kisi Ajnabi Se Chat Ya Anjaan Call Par Baat Na Karen.
◈ Shar’ee Hudood Mein Reh Kar Hi Facebook Ka Istemaal Karen.

Allah Hamein Shariyat e Islamiyyah Ka Paband Banaye.
Aameen
 

Similar threads


Top