Ibnatu Ali

Member
Kahin Hum Quran o Hadees Ko Nazarandaaz To Nahi Kar Rahe?

Tehreer: Umar Asari

Quran o Hadees Ko Jab Share Kiya Jaata Hai To Hamara Farz Banta Hai Ki Hum Usko Dhiyaan Se Padhen, Samjhen Or Us Par Amal Karen. Lekin Hamein Kya Ho Gaya Hai Ki Hum Quran o Hadees Ko Padhte Hi Nahi Hain. Samjhna Aur Amal Karna To Door Ki Baat Hai?

Bade Afsoos Ka Maqaam Hai….

Ruko! Zara Apne Aamal Ka Muhasbaa Kar Lo Is Se Pahle Ki Tumhara Muhasba Kiya Jaye.

Aaj Musalmaano Ko Filmstar Ke Baare Mein Bahut Achche Se Maloom Hai Or Wo Bahut Hi Intrest Se Unke Baare Mein Padhte Hain Lekin Jab Baat Quran o Hadees Ki Aati Hai To Unka Kya Amal Hota Hai Yeh Kisi Se Chupa Nahi Hai.

Musalmoono Ko Kuch Aaye Ya Na Aaye Lekin Paida Hone Ke Kuch Hi Saalon Baad Gaane Zaroor Aa Jaate Hain.

Or Unse Agar Kuch Islam Ke Baare Mein Poocha Jaye To Muh Par Taale Lag Jaate Hain.

Aakhir Yeh Sab Kya Hai? Kya Yeh Ek Musalmaan Ka Amal Hai? Kya Yeh Momineen Ki Shaan Hai?

Musalmaano! Ab Bus Karo or Quran o Hadees Ki Taraf Laut Aao. Tum Bahane (Excuses) Karte Ho Ki Tumhein Quran o Hadees Padhna Nahi Aata Yaad Rakho Kal Qayamat Ke Din Tumhare Yeh Bahane Dhare Ke Dhare Reh Jaayenge.

Tumhare Paas Films Dekhne Ka Waqt Hai Lekin Quran o Hadees Padhne Ka Nahi?

Tumhein Dunya Ki Cheezon Ki Knowledge Hai Lekin Quran o Hadees Ki Nahi?

Tumhein Science, Methametics Ke Formulas Yaad Hain Lekin Quran o Hadees Nahi?

Halanki Dunya Ki Cheezein Koi Hasiyat Nahi Rakhti Hain. Asal Zindagi To Aakhirat Ki Zindagi Hai.

Suno Tumhein Allah Ki Ibadat or Uske Farmaan Par Amal Karne Ke Liye Paida Kiya Gaya Hai. Allah Ke Waaste Quran o Hadees Ki Taraf Laut Aao.

Aakhir Mein Sirf Itna Hi Kahunga Ki Plz Quran o Hadees Ko Padhen or Us Par Amal Kar Ke Jannat Hasil Karen. Na Ki Quran o Hadees Ko Nazarandaaz Kar Ke Apne Aap Ko Gunahgaar Banayen.

Yeh Shaitaan e Rajeem Hi Hai Jisne Hamare Saamne Hamare Bure Aamaal Ko Achcha Bana Kar Paish Kar Diya Hai. Plz Apne Dushman Ko Pehchaanen, Us Se Bachne Ki Tadbeer Ikhtiyaar Karen Or Quran o Hadees Ko Follow Karen.

Ek Aayat Se Apni Baat Mukammal Karta Hun. Allah Taala Surah Ambiya Ayat No: 1 Mein Farmata Hai:
اِقْتَرَبَ لِلنَّاسِ حِسَابُهُمْ وَهُمْ فِيْ غَفْلَةٍ مُّعْرِضُوْنَ​
Tarjuma: Logon Ke Hisab Ka Waqt Qareeb Aa Gaya Phir Bhi Woh Ghaflat Mein Muh Phere Huwe Hain.
(Surah Al-Ambiya, Surah No: 21 Ayat No: 1)
 

Similar threads


Top