Kalimah E Taiyabah (La Ilaha Illallah) Ki Sharaayit:


Ibnatu Ali

Member
بــسـم الله الــرّحــمــن الــرّحــيــم​

➧Kalimah E Taiyabah (La Ilaha Illallah) Ki Sharaayit:

Kalimah e tawheed ke taqaazon ko poora karney ke liye jin sharaayit ka paaya jaana zaroori hain ulama e ummat ne in ko saat (7) sharaayit mein mahsoor kiya hai:

➀ Ilm: "kalimah e taiyabah" ke ma'na wa mafhoom se aaghahi aur nafi wa isbaat ke taqaazon se waaqfiyat haasil karna iski buniyaadi shart hai, kiyunke kisi bhi cheez ke bareme koi nazariya qaayim karney se pehle is se aaghahi aur waaqfiyat hona zaroori hai, Allah ﷻ ka irshaad hai:
فَاعْلَمْ أَنَّهُ لَا إِلَٰهَ إِلَّا اللَّهُ​
"Achchyi tarha jaan lo! ke Allah ke 'ilaawah koi mabood e bar-haq nahi."
(Surah Muhammad: 19)

Is se yeh baat "zaahir minash shams" (yane suraj ki tarha raushan) hai ke kalimah e taiyabah ke maa'ni wa matlab ko jaanna farz wa zaroori hai.

➁ Yaqeen: yaqeen shak ki zid hai aur iska matlab yeh hai ke "La Ilaha Illallah" padhne waala yeh aiteqaad rakhe ke sifaat e ulohiyat ka haqdaar sirf aur sirf Allah ﷻ hi hai aur kisi doosrey mein in sifaat ka paaya jaana na-mumkin aur muhaal hai aur kalimah ke taqaazon par aisa yaqeen e jaazim ho jo shak ke munaafi hai, Allah ﷻ ka irshaad hai:
إِنَّمَا الْمُؤْمِنُونَ الَّذِينَ آمَنُوا بِاللَّهِ وَرَسُولِهِ ثُمَّ لَمْ يَرْتَابُوا وَجَاهَدُوا بِأَمْوَالِهِمْ وَأَنفُسِهِمْ فِي سَبِيلِ اللَّهِ ۚ أُولَٰئِكَ هُمُ الصَّادِقُونَ​
"Momin wo log hain jo Allah ﷻ aur uske Rasool par emaan laatey hain phir shak wa shubah nahi kartey aur apne maal aur jaan ke zariye Allah ki raah mein jihaad kartey hain, yehi log sachchey hain."
(Surah al-Hujuraat: 15)

➂ Ikhlaas: "La Ilaha Illallah" ka padhne waala jis tarha Allah ki ulohiyat ka aqraar karta hai, isi tarha ghairullah se baraat ka izhaar bhi karey, isi liye "La Ilaha Illallah" ko kalimatul ikhlaas kaha jaata hai aur "قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ" ko Surah Ikhlaas isi liye kehtey hain ke is mein khaalis Allah ki tawheed ka zikr hai aur Allah ﷻ ke liye har qism ke ristey, shareek aur humsar ki nafi ki gayi hai, lehaaza yeh aqeedah rakhna ke Allah ﷻ sab kuch karney waala hai lekin fulaan bhi kuch kam nahi, yeh ikhlaas ke munaafi hai.

➃ Sidq: sidq, yeh kizb yene jhoot ki zid hai yane kalimah goh sidq e dil se iskaa aqraar karey, sirf zabaani iqraar kaam nahi aayega, jaisa ke Allah ne munafiqeen ka tazkirah kiya hai ke wo zabaan se tou kalimah padhtey thhey lekin inke dil iski tasdeeq nahi kartey thhey, irshaad hai:
وَمِنَ النَّاسِ مَن يَقُولُ آمَنَّا بِاللَّهِ وَبِالْيَوْمِ الْآخِرِ وَمَا هُم بِمُؤْمِنِينَ​
"Baaz log kehtey hain ke hum Allah ﷻ aur yaum e aakhirat par emaan laaye haalanke dar haqeeqat wo momin nahi hain."
[Surah al-Baqarah: 8]

Aur Mu'aaz bin Jabal Radhi Allahu Anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
ما من أحد يشهد أن لّا إله إلّا الله وأنّ محمدا رّسول الله صدقا من قلبه إلّا حرّمه الله على النّار​
"Jo shaksh sachchey dil se yeh gawaahi dey ke Allah ke 'ilaawah koi mabood e bar-haq nahi aur Muhammad ﷺ Allah ke sachchey Rasool hain tou Allah ﷻ us par jahannam ki aag ko haraam kar deyga."
(Bukhari: Kitaabul Ilm)

➄ Muhabbat: marghoob aur pasandidah cheez ki taraf tabee'at ke mailaan ko muhabbat kehtey hain aur yeh nafrat ki zid hai, aur yahan muhabbat se muraad yeh hai ke aadmi ko kalimah e tawheed aur iske taqaazon se muhabbat aur ulfat ho aur is ke dil mein Allah aur uske Rasool ﷺ ki muhabbat har cheez se hatta ke apni jaan se bhi ziyadah ho aur isi tarha usey momineen se muhabbat ho jo "La Ilaha Illallah" par kaarband aur iske taqaazon ko poora karney waaley hon aur un logon se dil mein nafrat ho jo iske taqaazon ko poora nahi kartey, kiyunke jise Allah ﷻ aur uske Rasool ﷺ se muhabbat hogi wo laaziman Allah ke deen se muhabbat kareyga aur is par aamal pairaa honey ki koshish kareyga aur shirk aur mushrikaanah aqaaid wa aamaal se nafrat kareyga. Allah ﷻ ka irshaad hai:
وَمِنَ النَّاسِ مَن يَتَّخِذُ مِن دُونِ اللَّهِ أَندَادًا يُحِبُّونَهُمْ كَحُبِّ اللَّهِ ۖ وَالَّذِينَ آمَنُوا أَشَدُّ حُبًّا لِّلَّهِ ۗ​
"Logon mein aise bhi hain jo Allah ﷻ ke 'ilaawah doosron ko Allah ﷻ ka shareek bana kar un se bhi waisi muhabbat rakhtey hain jaisi ke Allah ﷻ se, aur emaan waaley Allah ﷻ ke saath sab se ziyadah muhabbat kartey hain."
(Surah al-Baqarah: 165)

Hazrat Abu Razeen al-'Uqaili Razi Allahu Anhu ne ek martabah Nabi E Akram ﷺ se daryaaft kiya:
يارسول الله! ما الإيمان؟ فقال ان تشهد ان لا إله إلا الله وحده لا شريك له وان محمدا عبده و رسوله، وان يكون الله و رسوله احب اليک مما سواهما​
"Aye Allah ke Rasool! Emaan kya hai? Aap ﷺ ne farmaaya: "Emaan yeh hai ke tou gawaahi dey ke Allah ﷻ ke siwa koi mabood e bar-haq nahi, wo tanhaa hai uska koi shareek nahi, aur yeh ke Muhammad ﷺ Allah ke bandey aur Rasool hain aur yeh ke Allah aur uske Rasool tere haan sab se ziyadah mehboob ho jaayen."
(Musnad Ahmed)

➅ Inqiyaad Wa Tabe'daari: inqiyaad, khuzoo', tabe'daari aur sar e tasleem kham kar deney ko kehtey hain, aur yahan is se muraad yeh hai ke "La Ilaha Illallah" aur is ke taqaazon ka zaahiri wa baatani taur par taabe' ho jaaye aur yeh is waqt hoga jab insaan Allah ﷻ ke 'aayid kardah farayiz par aamal pairaa ho aur uski haraam kardah chizon ko tark kar dey. Allah ﷻ ka irshaad hai:
وَأَنِيبُوا إِلَىٰ رَبِّكُمْ وَأَسْلِمُوا لَهُ مِن قَبْلِ أَن يَأْتِيَكُمُ الْعَذَابُ ثُمَّ لَا تُنصَرُونَ​
"Aur apne Rab ki taraf rujoo' karo aur us ke mutee' ban jaao is se pehle ke tum par azaab aajaye aur phir tumhaari madad na ki jaa sakey."
(Surah az-Zumar: 54)

➆ Qubool: qubool ka matlab hai kisi cheez ko dil ki khushi se ley leyna aur yahan is se muraad hai kalimah e tawheed aur iske taqaazon ko basar o chashm (yane khushi se razamandi ke saath) qubool kar leyna, in mein se kisi cheez ka inkaar na karna aur iske maqsood wa muraad par aamal pairaa honey ko khudh par jabr ya zabardasti na samahjna balke ba-tasleem wa raza qubool karna. Allah ﷻ ka irshaad hai:
إِنَّهُمْ كَانُوا إِذَا قِيلَ لَهُمْ لَا إِلَٰهَ إِلَّا اللَّهُ يَسْتَكْبِرُونَ وَيَقُولُونَ أَئِنَّا لَتَارِكُو آلِهَتِنَا لِشَاعِرٍ مَّجْنُونٍ ○ بَلْ جَاءَ بِالْحَقِّ وَصَدَّقَ الْمُرْسَلِينَ​
"Bila-shubah jab in se kaha jaata tha ke Allah ﷻ ke siwa koi mabood e bar-haq nahi tou wo takabbur kiya kartey thhey aur kaha kartey thhey ke kya hum is shaa'yir aur diwaaney ki khatir apne maboodon ko chhor den? halanke (hummara Nabi) haq ley kar aaya tha aur us ne Rasoolon ki tasdeeq ki thi."
(Surah as-Saaffaat: 35-37)

Allamah Muhammad al-Amin al-Shinqiti Rahimahullah is aayat ki tafseer mein farmaatey hain:
"Yane is kalimah ko qubool karney mein takabbur kiya kartey hain aur is baat par raazi nahi hai ke Rasoolon ki itteba' karen."
(Adwaa' al-Bayaan: 6/685)
_____________

Reference: |Kitaab: Arkaan E Islaam (Ek Ijmaali Taa'ruf). Taleef: Shaykh Hafiz Muhammad Ishaaq Zaahid Hafizahullah, Shaykh Abdul Khaliq Muhammad Saadiq Hafizahullah. Taqdeem: Shaykh Abu Adnaan Muneer Qamar Hafizahullah. Page No: 25-29|

Romanised: Syed Ibraheem Salafi
 

Similar threads


Top