Umar Asari

Administrator
Staff member
Kamyaab Shohar Bannay Key Liye 10 Tajaweez (Advices)

Tehqeeq Key Saath: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari


(1) Shreek e Hayaat (Wife) Key Liye Zebaish (Expositions) Ikhtiyar Kiijiye:
Apni Shreek e Hayaat (Biwi) Key Liye Khubsoorat Libaas Pehanye, Khushbu Lagayee. Aap Aakhri Baar Apni Biwi Key Liye Kab Banay Sanwre They?
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:
إنَّ اللهَ جميلٌ يحبُّ الجَمالَ​
Tarjuma: Allah Taala Khud Bhi Khubsurat Hai Aur Khubsoorti Ko Pasand Farmata Hai.
(Silsila As-Sahiha: 4/167)

Jaisay Mard Chahtay Hain Key Un Ki Biwiyan Un Key Liye Zebaish Ikhtiyar Karen, Usi Tarah Khawateen Bhi Yeh Khuwahish Rakhti Hain Key Un Key Shohar Bhi Un Key Liye Zebaish (Khubsoorti) Ikhtiyar Karen. Yaad Rakhiye Key Allah Key Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ghar Lot-tay Waqt Miswaak Istemaal Karte.
سألتُ عائشةَ . قلتُ : بأيِّ شيءٍ كان يبدأُ النبيُّ صلَّى اللهُ عليهِ وسلَّمَ إذا دخل بيتَهُ ؟ قالتْ : بالسواكِ​
Tarjuma: Hazrat Aisha Radhiallahu Anha Se Sawal Kiya Gaya Key Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Ghar Mein Dakhil Hotay To Kis Cheez Se Shuru Kartey? To Unhon Ne Jawab Diya: Miswak Se.
(Sahih Muslim: 253)

(2) Shreek e Hayaat Ko Us Key Apne Mehboob Naam Se Pukara Jaye:
Bohat Se Log Apni Biwi Ko Buray Buray Alqab Se Pukartey Hain Jis Ki Wajah Se Biwi Key Dil Mein Hamesha Nafrat Bani Rehti Hai.
Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Apne Biwiyon Ko Us Ke Apney Naam Sey Pukara Kartey They. Jisa Key Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:
عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ، أَنَّهُ سَمِعَ أَنَسَ بْنَ مَالِكٍ ـ رضى الله عنه ـ يَقُولُ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ:‏ فَضْلُ عَائِشَةَ عَلَى النِّسَاءِ كَفَضْلِ الثَّرِيدِ عَلَى الطَّعَامِِ​
Tarjuma: Anas Bin Malik Radhiallahu Anhu Kehtey Hain Key Meiney Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Farmatey Hue Suna Aap Keh Rahey They Ke Hazrat Aisha Radhiallahu Anha Ki Fazeelat Tamam Aurton Mein Waisay Hi Hai Jaisay Saaray Khaano Mein Sareed (ثرید).
(Sahih Bukhari: 3770 And Sahih Muslim:2446)

Agar Shohar Biwi Ko Us Key Pasandeeda Naam Se Pukarey To Yeh Bhi Achcha Hai, Is Se Mohabbat Mein Izafa Hoga.

(3) Khoobiyon Ki Qadr Kijiye:
Apni Shrik e Hayaat Se Makhkhi Jaisa Bartao Mat Kijiye. Apni Roz Marrah (Daily Ki) Zindagi Mein Hum Makhkhi Key Baray Mein Sochtey Bhi Nahi, Yahan Tak Key Woh Hamein Tang Kare. Isi Tarah Baaz Auqaat (Some Times) Aurat Tamam Din Achcha Kaam Kar Key Bhi Shohar Ki Tawajjo Haasil Nahi Kar Paati, Yahan Tak Key Us Ki Koi Galati Shohar Ka Dhiyaan Khech Leti Hai. Aisa Bartao Mat Kijiye, Yeh Galat Hai. Us Ki Khoobiyon Ki Qadr Kijiye Aur Unhin Khoobiyon Par Dhiyaan Dijiye.
خَيْرُكُمْ خَيْرُكُمْ لأَهْلِهِ، وَأَنَا خَيْرُكُمْ لأَهْلِي​
Tarjuma: Tum Mein Se Behtar Woh Hai Jo Apne Ghar Walon Ke Sath Behtar Bartao Karney Wala Hai. Aur Mein Tum Sab Mein Apne Ghar Walon Se Behtareen Paish Anay wala Hon.
(Ibne Majah: 1977 And Tirmidhi: 3895)

(4) Galatiyon Ko Maaf Kijiye:
Agar Aap Apni Shreek e Hayaat Se Koi Galati Hotay Dekhen To DarGuzar (Maaf) Kijiye. Yahi Tareeqa Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apnaya Key Jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Azwaaj e Mutahharat Se Kuch Ghair Mozoon (Ghair Munasib) Hotay Dekha To Aap Ne Khamoshi Ikhtiyar Ki. Is Usloob (Andaaz) Mein Bohat Hi Kam Musalman Mard Mahaarat Rakhtay Hain.
Hazrat Umm e Salma Radhiallahu Anha Sey Riwayat Hai Key Woh Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Sahaba Radhiallahu Anhum Key Liye Aik Chaudey Bartan Mein Khana Layein. (Itnay Mein) Hazrat Aisha Radhiallahu Anha Aa Gaien. Unhon Ne Aik Chadar Ourh Rakhi Thi Aur Un Key Paas Aik Paththar Tha. Unhon Ney Paththar Maar Kar Bartan Tod Diya. Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Ne Bartan Key Dono Tukdon Ko Mila Kar Rakha Aur Do Baar Farmaya: Khao, Tumhari Maa Ko Ghairat Aagai Thi. Us Key Baad Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Hazrat Aisha Radhiallahu Anha Ka Bartan Ley Kar Hazrat Umm e Salma Radhiallahu Anha Key Haan (Ghar, Paas) Bhej Diya Aur Hazrat Umm e Salma Radhiallahu Anha Ka (Toota Hua) Bartan Hazrat Aisha Radhiallahu Anha Ko Day Diya.
(Sunan Nasai: 3956)
Allama Albani Rahimahullah Ne Hadees Ko Sahih Kaha Hai.
(Sahih Sunan Nasai: 3693)

(5) Shreek e Hayaat Ko Dekh Kar Muskuraiyee:
Jab Bhi Apni Biwi Ko Dekhen To Dekh Kar Muskura Dijiye Aur Aksar Galey Lagaiye. Muskurana Sadqa Hai Aur Aap Ki Shareek e Hayat Ummat e Musilmah Se Alag Nahi Hai. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
تبسُّمُكَ في وجْهِ أخيكَ لَكَ صدقةٌ​
Tarjuma: Tumhara Apne Bhai Par Muskurana Bhi Sadqa Hai.
(Tirmidhi: 1956)

Tasawwur Kijiye Key Aap Ki Shreek e Hayaat Aap Ko Hamesha Muskuratey Hue Dekhe To Aap Ki Zindagi Kaisi Guzraygi. Un Ahadees Ko Yaad Kijiye Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Namaz Key Liye Jaane Se Pehlay Apni Zauja (Biwi) Ko Bosa Detey Jabkay Aap Rozey Ki Haalat Mein Hotey.
عن عائشة رضي الله عنها قَالَتْ : كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُقَبِّلُ وَيُبَاشِرُ وَهُوَ صَائِمٌ وَكَانَ أَمْلَكَكُمْ لأرْبِهِ​
Tarjuma: Aisha Radhiallahu Taala Anha Bayan Karti Hain Key Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Un Se Roze Ki Haalat Mein Bos o Kinar Kiya Karte They, Aur Unhen Apne Aap Par Tum Se Ziyadah Control Tha.
(Sahih Bukhari: 1927 And Sahih Muslim: 1106)

(6) Shukriya Ada Kijiye:
Woh Tamam Kaam Jo Aap Ki Shreek e Hayaat Aap Key Liye Karti Hain, Un Sab Key Liye Un ka Shukriya Ada Kijiye. Baar Baar Shukriya Ada Kijiye, Misaal Ke Taur Par (For Example) Ghar Par Raat Ka Khana Woh Aap Key Liye khana Banati Hai, Ghar Saaf Karti Hai Aur Darjanon (Dozens) Dosrey Kaam Karti Hai To Aap Shukriya Ada Karen.
مَنْ لاَ يَشْكُرِ النَّاسَ لاَ يَشْكُرِ اللَّهَ​
Tarjuma: Jo Logon Ka Shukriya Ada Nahi Karta Woh Allah Ka Shukr Bhi Ada Nahi Karta.
(Tirmidhi: 1954 or 1955)

Aksar Dekha Jata Hai Key Shukriya Key Bajaye Har Kaam Ki AibJoi (Kami Nikali) Jati Hai. Baaz Auqaat Wahid (Ek)‘Tareef’ Jis Ki Woh Mustahiq Qarar Paati Hai Woh Yeh Key 'Aaj Saalan Mein Namak Kam Tha . Khudaaraa (Allah Key Waastey)! Aisa Mat Kijiye. Us Ka AhsaanMand Rahiye.

(7) Shreek e Hayaat (Biwi) Ko Khush Rakhiye:
Apni Shreek e Hayaat Se Kahiye Ke Woh Aisi 10 Baton Se Mutalliq Aagah Karey (Bataye) Jo Aap Ne Us Key Liye Ki Aur Woh Cheezen Us Ki Khushi Ka Baais (Sabab) Banin. Phir Aap Un Cheezon Ko Apni Shreek e Hayaat (Biwi) Key Liye Dohraiye. Ho Sakta Hai Key Yeh Janna Mushkil Ho Ke Kya Cheez Usay Khushi Day Sakti Hai. Aap Is Baray Mein Khud Se Qayaas (Andaza, Supposedly) Mat Kijiye, Barah e Raast (Direct) Apni Shreek e Hayaat (Biwi) Se Maloom Kijiye Aur Aisay Lamhon Ko Apni Zindagi Mein Baar Baar Dohratey Rahiye.

(8) Aaraam Ka Khayaal Rakhiye:
Apni Shreek e Hayaat (Biwi) Ki Khuwahishaat Ko Kam Mat Jaaniye. Usay Aaraam Pahunchaiye Baaz Auqaat (Some Times) Shohar Apni Biwion Ki Khuwahishaat Ko Hiqarat (Abhorrence) Ki Nigah Se Dekhtey Hain. Aisa Mat Kijiye.
هُوَ الَّذِي خَلَقَكُم مِّن نَّفْسٍ وَاحِدَةٍ وَجَعَلَ مِنْهَا زَوْجَهَا لِيَسْكُنَ إِلَيْهَا​
Tarjuma: Woh Allah Taala Aisa Hai Jis Ne Tum Ko Aik Tan Sey Paida Se Kiya Aur Usi Se Us Ka Joda Banaya Taakey Woh Us Apne Jodey Se Sukoon Haasil Karey.
(Surah al Aaraf: Surah No: 7 Ayat No: 188)

Biwi Apne Shohar Ko Raahat o Sukoon Dainay Wali Hai Lehaza Mard Ko Bhi Apni Biwi Ki Raahat Ka Bharpoor Khayaal Rakhna Chahiye.

(9) Mazah (Humors, Fun) Kijiye :
Apni Shreek e Hayaat (Biwi) se Mazah Kijiye Aur Us Ka Dil Behlaiye. Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Mazah Kiya Kartey They Aur Logon Ka Dil Behlaya Kartey They.
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالُوا يَا رَسُولَ اللَّهِ إِنَّكَ تُدَاعِبُنَا ‏.‏ قَالَ: إِنِّي لاَ أَقُولُ إِلاَّ حَقًّا​
Tarjuma: Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu Se Riwayat Hai Key Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Se Sahaba Ne Kaha Key Aye Allah Key Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Aap Hum Se Khush Tab’ee (Pleasantry) Ki Baatein Kartey Hain. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya (Haan Lekin) Mein Haq Baat Hi Kehta Hon.
(Tirmidhi: 1990)

Aap Bhi Mazah (Fun) Key Zareya Apni Biwi Ka Dil Jeet Satkey Hain Magar Yaad Rahey Khush Tab’ee (Pleasantry) Ya Mazah (Fun) Mein Bhi Biwi Ki Jhooti Tareef Ya Jhoota Mazaq Nahi Karna Chahiye.

(10) Behtar Banney Ki Koshish Kijiye:
Hamesha Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Key Yeh Alfaaz Yaad Rakhiye:
خَيْرُكُمْ خَيْرُكُمْ لأَهْلِهِ، وَأَنَا خَيْرُكُمْ لأَهْلِي​
Tarjuma: Tum Mein Se Behtar Woh Hai Jo Apne Ghar Walon Ke Sath Behtar Bartao Karney Wala Hai. Aur Mein Tum Sab Mein Apne Ghar Walon Se Behtareen Paish Anay wala Hon.
(Ibne Majah: 1977 And Tirmidhi: 3895)

Is Liye Aap Bhi Hamesha Behtar Banney Ki Koshish Kijiye Aur Apni Azdawaji Zindagi (Married Life) Ko Kamyaab Bananay Ke Liye Allah Key Huzoor Dua Karna Mat Bhulye Kiunkay Allah Ki Madad Key Baghair Kuch Bhi Mumkin Nahi Hai, Woh Hamarey Mamlaat Sey Bakhabar Hai.

Note: “Kaamyaab Shohar Banney Key Liye 10 Tajaweez” Mein Aik Misali Shohar Banney Key Liye Achchay Sifaat Ka Zikr Hai, Yeh Bohat Dino Se Social Media Pay Gardish Mein Hai, Aik Bahi Khuwa (Biradram Abu Abdullah Hafizahullah) Ney Isay Tahaqeeq Key Saath Likhney (Share) Karney Ka Mahswara Diya To Mein Ne Isay Hawalon (References) Se Muzayyan Kiya (Means References Is Mein Zikr Kiye) Aur Khamiyan Door Kar Di.
 
Top