Umar Asari

Administrator
Staff member
Daadhi ke shar'ee hudood

Romanised By: Umar Asari

✵Sawaal✵
Ummeed hai app daadhi ke mundwaane ya qata-o-buraid (kaant chaant) karne ke baare mein wazahat farmaayenge neez yeh farmaayen ke daadhi ke shar'ee hudood kiya hain?

✯Jawaab✯
Daadhi mundaana haraam hai. Is mein Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki na-farmaani hai kiunki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya hai:
أَعْفُوا اللِّحَى، وَحُفُّوا الشَّوَارِبَ​
Tarjumah: Daadhiyaan badhaao aur moonchen kataao.
(Musnad Ahmad: 2/52)

Aur phir yeh Ambiya e Kiraam Alaihimussalam ke tareeqe se hat kar Majoosiyon aur Mushrikon ke tareeqe ko ikhtiyaar karna hai aur daadhi ki hadd jaisa ke ahl e lughat ne zikr kiya hai chehre, dono jabdon aur dono rukhsaaron ke baalon tak hai. Yani dono rukhsaaron, dono jabdon aur thodhi par jo baal hain woh sab dhaadhi mein shamil hain. In sab mein qata o buraid (kaant chaant) ma'siyat hai kiunki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne is silsile mein jo alfaaz irshad farmaaye hain woh yeh hain:
أَعْفُوا اللِّحَى​
(Sahih Bukhari: 5893, Sahih Muslim: 259, Musnad Ahmad: 2/52)

أَرْخُوا اللِّحَى​
(Sahih Muslim: 260)

وَفِّرُوا اللِّحَى​
(Sahih Bukhari: 5892)

أَوْفُوا اللِّحَى​
(Sahih Muslim: 259)

Aur in sab alfaaz ka taqaza yeh hai ke daadhi mein qata o buraid (kaant chaant) na ki jaaye lekin gunaahon aur ma'siyaton ke darjaat choonki mukhtalif hote hain is liye qata o buraid (kaant chaant) ki nisbat dhaadhi mundwaana baherhaal bada gunaah hai kiunki qata o buraid (kaant chaant) karne ki nisbat is mein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam hukm ki mukhalifat ziyadah aur wazeh hai.
✯Shaikh Ibn e Uthaimeen✯

➤Fataawah Islamiyah: 4/38
 
Top