NABI ﷺ KA YEH FARMAN “ALI رضي الله عنه KE SATH MUHABBAT SIRF MOMIN KAREGA AUR BUGHZ SIRF MUNAFIQ RAKHEGA. YEH SAHABA PAR SAHIH HAI ?


Baaz rafzi aur chupay huway naam nihad sunni ek Hadees pesh kartay hai jismai nabi ﷺ nay ali رضي الله عنه say mu’aeeda kiya tha ke
“Ali رضي الله عنه ke sath muhabbat sirf momin karega aur bughz sirf munafiq rakhega”.

Hadees ko pesh karkay muawiyah رضي الله عنه aur unkay ghirow par fit kiya jaata. kyu kay unhownay ali رضي الله عنه say jung ki lihaaza woh unsay bughz rakhtay thay. In rafziyow say adaban guzarish hai k unhownay jis hadees ko paymana banakar muawiyah رضي الله عنه par fit kiya wahi hadees amma aisha رضي الله عنه, talha رضي الله عنه , zubair رضي الله عنه par kyun fit nahih ki.. hum zayl mai chand ahem batey arz kartay hai. aur unka jawab unsay chahtay hai jinhownay is riwayat ko muawiyah رضي الله عنه aur unkay ghirow par fit kiya.

1) Kya Ali رضي الله عنه nay khud yaa unkay ghirow mai say kissi nay yeh riwayat pesh kar kay muawiyah رضي الله عنه aur unkay ghirow ko tambee ki?

2) Agar yeh riwayat is beena par ke muawiyah رضي الله عنه aur unkay ghirow nay ali رضي الله عنه say jung ki to woh bughz rakhtay thay, to fir pehle ghirow par kyun fit nahih?

3) Joh sahaba رضي الله عنه in donow jungow mai shirkat nahih ki kya unhownay muawiyah رضي الله عنه aur unkay ghirow ke liyeh yeh riwayat fit ki?

4) Yeh baat kaha say sabit hai ke muawiyah رضي الله عنه aur unka ghirow ali رضي الله عنه say bughz rakhtay thay?

5) Kissi ek muhaddis nay mutaqaddimeen say mutakhireen tak is riwayat ko paymana banakar muawiyah رضي الله عنه aur unkay ghirow par fit kiya?

In sarey sawalow ka jawab hum in naam nihad rafziyow say chahtey hai. aab aaiyeh is Hadees ki taraf badhtay uska fahem aimmah huda say jaan letay hai.

Ali رضي الله عنه bayan kartay hai

إِنَّهُ لَعَهْدُ النَّبِيِّ الأُمِّيِّ صلى الله عليه وسلم إِلَىَّ أَنْ لاَ يُحِبَّنِي إِلاَّ مُؤْمِنٌ وَلاَ يُبْغِضَنِي إِلاَّ مُنَافِقٌ
‏.


‏Nabi ﷺ ka meray sath mu’aeeda tha k meray sath muhabbat sirf momin karega aur bughz sirf munafiq rakhega.

(SAHEEH MUSLIM HADEES NO.240)

Kissi ek bhi sahabi nay yaa Khud ali رضي الله عنه aur unkay ghirow nay , ahle sunnat k kissi ek imam nay is hadees ko muawiyah رضي الله عنه aur aapkay sathiyow par fit nahih ki. aur naa hi ali رضي الله عنه say ladayee ki beena par unhay bura bhala kaha, yaa tanqees, takfir, kirdarkashi ka nishaana banaya. Balkay donow say muhabbat ka izhaar kiya. Aur aitedaal ka rasta ikhtiyar kiya. Is Hadees ki sharah mai

HAFIDH DAHABI R.H LIKHTAY HAI.
فمعناه أن حب علي من الايمان، وبغضه من النفاق، فالايمان ذو شعب، وكذلك النفاق يتشعب، فلا يقول عاقل: إن مجرد حبه يصير الرجل به مؤمنا مطلقا، ولا بمجرد بغضه يصير به الموحد منافقا خالصا.فمن أحبه وأبغض أبا بكر، كان في منزلة من أبغضه، وأحب أبا بكر، فبغضهما ضلال ونفاق، وحبهما هدى وإيمان


Is hadees ka mafhum hai ke ali رضي الله عنه say muhabbat imaan aur unsay bughz munafiqat hai. imaan ke kahi shaobay hai, ussi tarah nifaaq ke bhi kahi shaobay hai , Lihaaza koi aqalmand yeh nahih kehsakta ke sirf ali رضي الله عنه ki muhabbat say banda kamil momin banjata hai aur unsay bughz rakhnay say muwahid aadmi munafiq banjata hai. jisnay ali رضي الله عنه say muhabbat ki aur abu bakr رضي الله عنه say bughz rakha woh bhi ali رضي الله عنه say bughz rakhnay walow aur abu bakr رضي الله عنه say muhabbat dum bharnay walow mai say hai. donow say bughz dhalalat aur nifaq hai aur donow say muhabbat wa aqeedat hidayat aur ayn imaan hai.
(سير أعلام النبلاء 12/510)

Aab hum riwayat pesh kartay hai jismai ek sahabi rasool nay ali رضي الله عنه say bughz kiya to nabi ﷺ nay unhay fatwa saadir nahih kiya ke aap mujhsay bughz rakhtay hai. balkay unhay samjhayaa.

حَدَّثَنِي مُحَمَّدُ بْنُ بَشَّارٍ، حَدَّثَنَا رَوْحُ بْنُ عُبَادَةَ
حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ سُوَيْدِ بْنِ مَنْجُوفٍ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ بُرَيْدَةَ، عَنْ أَبِيهِ ـ رضى الله عنه ـ قَالَ بَعَثَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم عَلِيًّا إِلَى خَالِدٍ لِيَقْبِضَ الْخُمُسَ وَكُنْتُ أُبْغِضُ عَلِيًّا، وَقَدِ اغْتَسَلَ، فَقُلْتُ لِخَالِدٍ أَلاَ تَرَى إِلَى هَذَا فَلَمَّا قَدِمْنَا عَلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم ذَكَرْتُ ذَلِكَ لَهُ فَقَالَ ‏”‏ يَا بُرَيْدَةُ أَتُبْغِضُ عَلِيًّا ‏”‏‏.‏ فَقُلْتُ نَعَمْ‏.‏ قَالَ ‏”‏ لاَ تُبْغِضْهُ فَإِنَّ لَهُ فِي الْخُمُسِ أَكْثَرَ مِنْ ذَلِكَ ‏”‏‏.‏

Buraidah رضي الله عنه bayan kartay hai. Nabi ﷺ nay ali رضي الله عنه ko khalid bin walid رضي الله عنه ki taraf khumus wusool karnay k liyeh bheja. MAI ALI رضي الله عنه SAY BUGHZ RAKHTA THA. kyun kay wo (maal khumus say ek laundhi lekar ussay jima’a karnay ke baad) ghusl kar chukay thay. Mainay khalid رضي الله عنه say kaha. Ali رضي الله عنه ko dekhay, hum madeenah aayeh to mainay yeh baat nabi ﷺ ke kosh guzarki, aap ﷺ nay farmayaa.

يَا بُرَيْدَةُ أَتُبْغِضُ عَلِيًّا ‏”‏‏.‏ فَقُلْتُ نَعَمْ‏.‏ قَالَ ‏”‏ لاَ
تُبْغِضْهُ فَإِنَّ لَهُ فِي الْخُمُسِ أَكْثَرَ مِنْ ذَلِكَ ‏”‏‏
.‏

BURAIDAH رضي الله عنه | AAP ALI رضي الله عنه SAY BUGHZ RAKHTAY HAI, ARZ KIYA, JI. FARMAYAA BUGHZ NA RAKHAY, KHUMUS MAI UNKA HISSA USSAY BHI ZYADA HAI.

(SAHEEH BUKHARI 4350)


Naraaz hojana aur ghum wa gussa ka aajana bashariyat ka taqazaa hai, sayedna buraidah رضي الله عنه ke dil mai bhi ali رضي الله عنه ke barey mai malaal agaya tha, nabi ﷺ nay unhay naraz dur karnay ka kaha, UNPAR KOI FATWA NAHIH LAGAYAA, kyun kay aap رضي الله عنه ka yeh bartaw ijtihad ki beena par tha, jismai aap khatakar tehray. SAYEDNA MUAWIYAH رضي الله عنه SAY KHAT’AN SABIT NAHIH KE WOH ALI رضي الله عنه KE HAQ MAI RANJEEDA HOO, woh ek ijtihadi khata par thay, jaisa ke sayedna aisha رضي الله عنه aur unki jamaat ijtihadi ghalti par thi. Mushaajarat sahaba kay maslay mai ahle sunnat wal jamaat rahey aitedal aur rahey haq par hai. Wo naa to rawafiz aur muta’zilah ki tarah muawiyah رضي الله عنه ko bura kehtay hai, Naa hi nasbiyat ki tarah ali رضي الله عنه ko bura kehtay hai. Naa hi khawarij ki tarah ali رضي الله عنه aur mauwiyah رضي الله عنه donow say bezaar hai.

KYA MUAWIYAH رضي الله عنه ALI رضي الله عنه SAY BUGHZ RAKHTAY THAY?

Yeh Baat khat’an sabit nahih ke muawiyah رضي الله عنه ali رضي الله عنه say bughz rakhtay thay. woh to ali رضي الله عنه ke fadhail ka iqraar kartay thay. Raha unka ali رضي الله عنه say jung karna woh qisaas uthman رضي الله عنه ko lekar tha.

Muawiyah رضي الله عنه khud farmatay hai

وإني لأعلم أنه أفضل مني وأحق بالأمر

MAI BAKHUBI JANTHA HOO KE ALI رضي الله عنه MUJHSAY KAHI AFZAL AUR KHILAFAT KE ZYADA MUSTAHIQ HAI
(FATH UL BAARI 13/86)


Issay saaf wazhay hojata hai k muawiyah رضي الله عنه ali رضي الله عنه ke fadhail wa manaqib ko manthay thay. Kya koi aqalmand yeh kehsakta hai ke ek shaqs ussay kaisay bugzh rakh sakta jiskay fadhail wa manaqib ka khud Iqraar karey. aur koi is baat ko mannay say inkar karey to woh duniya ka sabsay badha jahil shaqs hai..

HAASIL KALAM.

IS HADEES KO MUAWIYAH رضي الله عنه AUR UNKAY GHIROW PAR FIT KARNA BILKUL DURUST NAHIH.

Yeh article yaha se liya gaya hai
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Abul Husayn Difaa’ 0

Similar threads


Top