FATIHA KHALF'UL IMAM ka hukum QURAN se

Ay RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM humne apko wo 7 AYAT di hain jo bar bar parhi jati hain, aur QURAN AZEEM inayat kya hai. (1)

HAZRAT ABU HURAIRA RADHIALLAHU ANHU farmaty hain kay AP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne irshad farmaya:
kay UMUL'QURAN he wo 7 AYAT hain jo bar bar parhi jati hain. (2)

Yehi riwayat HAZRAT ABU SAEED RADHIALLAHU ANHU aur HAZRAT ABI IBN'E KAAB RADHIALLAHU ANHU se marwi hai, SAHABA KARAM RADHIALLAHU ANHUM mein se HAZRAT UMAR RADHIALLAHU ANHU, HAZRAT ALI RADHIALLAHU ANHU, HAZRAT IBN'E MASOOD RADHIALLAHU ANHU aur HAZRAT IBN'E ABBAS RADHIALLAHU ANHU ka yehi quol hai kay (SAB'E MASANI) yani 7 AYAT se murad SURAH FATIHA hai, jiski 7 AYAT hain yehi quol IMAM IBRAHIM NAKHAI R.A, IMAM HASSAN BASRI R.A, IMAM MUJAHID R.A, IMAM QATADA R.A aur degar tabaein azam ka hai.

HAFIZ IBN'E KASEER R.A raqam taraz hain:
Ye nus hai kay FATIHA he SAB'E MASANI aur QURAN AZEEM hai. (3)

Jis se ye sabit hota hai kay QURAN PAK ki is AYAT se murad SURAH FATIHA hai isay MASANI kyun kaha gaya hai?

IMAM QATADA R.A farmaty hain:
Humein bataya gaya hai wo FATIHA AL'KITAB hai aur wo namaz ki har rakat farz aur nafil mein durahi jati hai. (4)

IMAM IBN'E JARIR R.A farmaty hain:
Inka naam MASANI islye rakha gaya hai kay ye namaz ki har rakat mein durahi jati hain. (5)

MASANI ka yehi mafhom SHEIKH ABU HAYAN R.A (6) ILAMA ALUSI (7) ILAMA ZAMKSHRI R.A (8) ILAMA ABU AL-SAUD (9) aur degar MUFASIREEN RAHMAHUM ALLAH ne bayan kya hai.

ILAMA SAYUTI R.A likhty hain:
Isay MASANI islye kehty hain kay ye har rakat mein durahi jati hain, iski taed HAZRAT UMAR RADHIALLAHU ANHU kay asar se bhi hoti hai jisay IBN'E JARIR R.A ne basanad HASSAN naqal kya hai kay SAB'E MASANI SURAH FATIHA hai aur har rakat mein durahi jati hai. (10)

MUFASIREEN RAHMAHUM ALLAH ki in ibarto ka khulasa ye hai kay SAB'E MASANI SURAH FATIHA ko islye kaha gaya hai kay ye farz aur nafil namazo ki har rakat mein durahi jati hai, Is AYAT mein imam ya munfarid ya muktadi ki koi takhsees nahi balky MUFASIREEN ka aqwal ki roshni mein AYAT kay umom se sabit hota hai kay har namazi ko FATIHA parhni chahiye khuwa imam ho ya muktadi ya akela namaz parh raha ho.

(1) Surah Al-hajar 87
(2) Sahi Bukhari Jild 1 safa 683
(3) Tafseer ibn'e kasir jild 2 safa 557
(4) Tafseer ibn'e jarir jild 14 safa 56
(5) Tafseer ibn'e jarir jild 14 safa 14
(6) Al-bahar al-muhit jild 5 safa 465
(7) Ruh'ul maani jild 14 safa 79
(8) Al-kashaaf jild 2 safa 587
(9) Tafseer abi al-saud jild 2 safa 324
(10) Atqan jild 1 safa 53
 

Similar threads


Top