Umar Asari

Administrator
Staff member
Ghilaaf e Ka'ba Badalna Kaisa Hai?

❀Sawaal:❀
ASLAM-U-ALAIKUM,,, Mera sawal ye hai k jab mein kisi ko ese kaam se rokta hon jiska deen se koi taluq nahi jesa k meladun-Nabi,Tazeemi sajda,khatam dilana,Taweez pehnana,Azan se pehle salaam pardhna,etc to kuch log kehte hain k bhi agar ye sb deen ka hisa nahi to phir gulafe kaba q tabdeel karte ho ye to hamare Nabi SAW ne nahi kia or na he quran me hai.

✿Jawaab:✿
Walaikum Assalam Warehmatullahi Wabarakatuhu

Yeh sawaal ya to jihaalat par mabni hai ya jaante boojhte huwe gumraahi phailaane aur apni banaayi aur phailaayi hue bidaat ko tahaffuz dene ki mazmoom koshish hai.
Ka'ba par ghilaaf chadhana, Ka'ba ko kapdon se dhanpna, Islam se pehle se chalta aa raha tha, aur Islam ke bad, fatah e Makkah ke baad RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne bhi is riwayat ko barqarar rakha, aur Sallallahu Alaihi Wasallam ke khulafa e rashideen, aur deegar Sahaba Radhiallahu Anhum ne bhi is par amal jaari rakha.
Ka'ba par ghilaaf chadhaane ki bahut si aisi riwaayaat milti hain jin mein yeh khabar milti hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne, aur Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum ne Ka'ba par kapde daale, ghilaaf chadhaaye, un mein kuch riwayaat sahih hain aur kuch zaeef, ek riwaayat mulaahza farmaayen:
Fatah e Makkah ke mauqa par RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya:
وَلَكِنْ هَذَا يَوْمٌ يُعَظِّمُ اللَّهُ فِيهِ الْكَعْبَةَ، ‏‏‏‏‏‏وَيَوْمٌ تُكْسَى فِيهِ الْكَعْبَة​
Tarjumah: Balki aaj ka din woh hai jis mein Allah Ka'ba ki azmat aur ziyadah karega, aaj Ka'ba ko ghilaaf pehnaaya jaayega.
(Sahih Bukhari: 4280)

Yeh Hadees ghilaaf e Ka'ba ke suboot par sareeh daleel hai. Iske alawah bhi kai dalaail maujood hain.

Shaikh Adil Suhail Zafar Hafizahullah ke shukriye ke saath

Mazeed yeh link bhi dekhen:
 
Top