Shona shaikh

Active member
Khareed o Farokht Mein Jhoot Bolna

Prepared By: Umar Asari
▪Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Paisheengoi (Prediction) Ki Thi Ke Aik Waqt Aisa Aayega Ki Insan Is Baat Ki Bilkul Parwaah Nahi Kareyga Ki Wo Jo Maal Hasil Kar Raha Hai Wo Halal Hai Ya Haraam:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ"يَأْتِي عَلَى النَّاسِ زَمَانٌ، لاَ يُبَالِي الْمَرْءُ مَا أَخَذَ مِنْهُ أَمِنَ الْحَلاَلِ أَمْ مِنَ الْحَرَامِ​
Tarjuma: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu Bayan Kartey Hain Ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Logon Par Aisa Zamana Aayega Ki Insaan Koi Parwah Nahi Karega Ki Jo Usney Hasil Kiya Hai Wo Halal Sey Hai Ya Haram Sey Hai.
(Sahih al-Bukhari: 2059)

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Paisheengoi (Prediction) Bilkul Sahih Sabit Ho Rahi Hai. Aaj Jab Hum Apney Mo’aashrey (Society) Ko Dekhtey Hain To Hamein Mehsoos Hota Hai Ki Yaqeenan Insaan Aaj Is Baat Ki Fikr Nahi Karta Ki Wo Kis Tareeqey Sey Maal Hasil Kar Raha Hai. Bus Usko Maal Hasil Karney Sey Matlab Hota Hai.

Jis Tarah Sey Aam Bol Chal Mein Sach Bolna Or Jhoot Se Bachna Lazim Hai Usi Tarah Khareed o Farokht Ke Maamlaat Mein Bhi Hamein Yahi Rawayya Apnana Chahiye. Isliye Ki Len Dain (Khareed o Farookht) Mein Sach Bolney Ki Wajah Se Allah Ta’ala Usmein Barkat Ata Farmata Hai Or Jhoot Bolney Ki Bina Par Uski Barkat Ko Mita Deta Hai. Jaisa Ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:
الْبَيِّعَانِ بِالْخِيَارِ مَا لَمْ يَتَفَرَّقَا ـ أَوْ قَالَ حَتَّى يَتَفَرَّقَا ـ فَإِنْ صَدَقَا وَبَيَّنَا بُورِكَ لَهُمَا فِي بَيْعِهِمَا، وَإِنْ كَتَمَا وَكَذَبَا مُحِقَتْ بَرَكَةُ بَيْعِهِمَا​
Tarjuma: Khareed o Farokht Karney Walon Ko Ikhtiyar Hai Jab Tak Woh Aik Dosray Se Juda Na Hon (Ke Sauda Khatm Kar Den Ya Baqi Rakhen) Ya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne («ما لم یتفرقا» Ke Bajaye) «حتى یتفرقا» Farmaya. Pas Agar Dono Ne Sachchaai Ikhtiyar Ki Aur Har Baat Khol Khol Kar Bayan Ki To Un Ki Khareed o Farokht Mein Barkat Hogi Aur Agar Unhon Ne Kuch Chupaye Rakha Ya Jhoot Bola To Unkey Khareed o Farokht Ki Barkat Khatm Kar Di Jayegi.
(Sahih Bukhari: 2082, Sahih Muslim: 1532)

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Key Is Farmaan Key Bawjood Aaj Hum Dekhtey Hain Ki Khareed o Farokht Mein Bohot Zada Jhoot Bola Jata Hai.
For Example Aap Koi Cheez Khareedney Gaye, Abhi Aap Us Cheez Ko Dekh Hi Rahe Hotey Hain Ki Dukandaar Khud Hi Us Cheez Ki Tareef Karna Shuru Kar Deta Hai. Aur Wo Us Cheez Key Baarey Mein Aisi Batein Batata Hai Jinka Haqeeqat Sey Koi Talluq Nahi. Wo Aapko Batata Hai Ki Yeh Cheez Falan Country Ki Bani Hue Hai or Wo Us Country Ka Name Leta Hai Jiskey Products Logon Ko Zada Pasand Hotey Hain, Halanki Wo Us Country Ki Bani Hue Nahi Hoti Hai. Fir Jab Qeemat Ki Baat Hoti Hai To Wo Jaan Boojh Kar Bohot Zada Qeemat Batata Hai, Taki Wo Costumer Ke Saath Bargaining Kartey Hue Us Qeemat Par Le Aaye Jismein Uskey Liye Itna Nafa (Faida) Hota Hai Jo Us Ney Apne Zehan (Mind) Mein Pahle Hi Sooch Rakha Hota Hai.
Agar Costumer Kehta Hai Ki Yeh Cheez Mujhey Itney Rupees Mein De Do To Wo Fauran Kehta Hai Ki Nahi, Itne Mein To Meri Khareed Hi Nahi Hai. Halanki Uski Khareed Ussey Kam Mein Hoti Hai. Fir (Kabhi Kabhar Aisa Bhi Hota Hai Ki) Jab Sauda Ho Jaata Hai To Costumer Kehta Hai Ki Jitney Paise Fix Hue Hain Mein Aap Ko Utney Hi Paise Dunga Lekin Aap Raseed (Receipt) Zada Paison Ki Bana Kar Den. Kiunki Ho Sakta Hai Ki Wo Costumer Apni Company Ya Kisi Shakhs Wagera Ki Taraf Sey Us Cheez Ko Khareedney Gaya Ho Or Us Mein Apna Commission Bhi Banana or Hasil Karna Chahta Hai. Is Tarah Wo Khud Bhi Jhoot Bolta Hai Or Dukaandaar Ko Bhi Us Jhoot Mein Shamil Karta Hai.

▪Hamarey Mu’ashrey (Society) Mein Kuch Aisey Log Bhi Paaye Jaatey Hain Jo Apna Saaman (Maal) Jald Sey Jald Baichney Key Liye Customer Key Saamney Jhooti Qasamein Khaney Mein Bhi Nahi Hichkichatey. Halanki Jhooti Qasam Khaa Kar Apna Saaman Baichna Aik Bohot Bada Gunaah Hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
عَنْ أَبِي ذَرٍّ، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ " ثَلاَثَةٌ لاَ يُكَلِّمُهُمُ اللَّهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ وَلاَ يَنْظُرُ إِلَيْهِمْ وَلاَ يُزَكِّيهِمْ وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ " قَالَ فَقَرَأَهَا رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ثَلاَثَ مِرَارٍ . قَالَ أَبُو ذَرٍّ خَابُوا وَخَسِرُوا مَنْ هُمْ يَا رَسُولَ اللَّهِ قَالَ " الْمُسْبِلُ وَالْمَنَّانُ وَالْمُنَفِّقُ سِلْعَتَهُ بِالْحَلِفِ الْكَاذِبِ​
Tarjuma: Abu Zarr Radhiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke Teen Aadmi Aisay Hain Ke Jin Se Allah Taala Qayamat Ke Din Baat Nahi Kareyga Aur Na Hi Un Ki Taraf Nazar e Rehmat Se Dekhega Na Unhein Gunaaho Se Pak o Saaf Kareyga (Means Maaf Kareyga) Aur Unkey Liye Dardnaak Azaab Hai, Hazrat Abu Zarr Radhiallahu Anhu Kehtey Hain Ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Teen Baar Yeh (Sentence) Farmaya,
Hazrat Abu Zarr Radhiallahu Anhu Ne Arz Kiya: Aye Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Yeh Log To Sakht Nuqsaan Aur Khasaray Mein Hongey, Yeh Kon Log Hain? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Takhnon Se Neechay Kapda Latkanay Wala, Ehsaan Jatlane Wala Aur Jhooti Qasam Kha Kar Apna Samaan (Maal: Sauda) Baichnay Wala.
(Sahih Muslim: 106)

Allahu Akbar! Kitna Bada Gunah Hai. Lekin Aaj Ka Musalmaan Is Baat Ki Bilkul Parwaah Nahi Karta Wo Bus Apna Maal Baichna Chahta Hai. Halanki Jhooti Qasam Kha Kar Sauda (Maal) Baichney Se Barkat Khatam Ho Jaati Hai Jaisa Ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:
إِنَّ أَبَا هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ قَالَ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ " الْحَلِفُ مُنَفِّقَةٌ لِلسِّلْعَةِ مُمْحِقَةٌ لِلْبَرَكَةِ​
Tarjuma: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu Kehtey Hain Ke Mein Ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Yeh Farmatay Hue Suna Ke (Samaan Baichtay Waqt Dukandaar Ke) Qasam Khanay Se Samaan To Jaldi Bik Jata Hai Lekin Woh Qasam Barkat Ko Mita Dainay Wali Hoti Hai.
(Sahih Bukhari: 2087, Sahih Muslim: 1606)

Zara Gaur Karen Ki Jhoot Bol Kar Saamaan Baichna or Khareedna Kitna Bada Gunaah Hai.

Aaj Zaroorat Is Baat Ki Hai Ki Hum Islam Ki Taleemaat Ko Failaayen or Apne Mu’ashrey (Society) Mein Faili Is Burai Ko Khatam Karen.

Allah Hamein Iski Tufeeq Ata Farmaye.
Aameen.
 
Last edited:
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Ibnatu Ali Khareed o Farokht 0

Similar threads


Top