Kya "GYARVI" Deen Ka Hissa hai???


Shona shaikh

Active member
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

Kya "GYARVI" Karna Jayez hai???
Kya "GYARVI" Deen Ka Hissa hai???



GYAARVI

Gyaarvi:-Urdu, NON-ARABIC lafz hai.
Dus(10)vi ke baad, (11vi) Gyarvi.

NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ARABI hai,

QUR'AN ARABIC Me naazil hua,
Shari'at ARABIC Me,
Deen Mukammal ARABIC Me hua.
GYAARVI ka Ta'alluq;
URDU zubaan se,
Hind-Pak Bar-Sagheer ke logo se hai.

NA NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM se hai,
NA Arabic zubaan se hai.
GYAARVI naam ki, Islam Me;

Na koi Eid,
Na koi Rasm,
Na koi amal,
Na koi Neki aur
Na hi koi Wajood hai.

Islam ka GYAARVI se Koi Taa'lluq NAHI.

Ye ek NAYI cheez(BIDDAT) hai.
Iske karne se KOI Sawab NAHI, balke GUNAH hai.

NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya Deen Me 'HAR Nayi Cheez', BIDDAT hai. Aur 'HAR Biddat', GUMRAHI hai.
(Abu Dawood Jild No.3 Hadees No.1198)

NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya 'HAR Gumraahi',AAG (JahannuM) ki taraf le jaane wali hai.
(Ibn KhuzaiyMa 1785)

ALLAH ne IBADAT (har NEK AMAL ko) MUQARRAR kar diya hai.

"Humne(Allah),tum me se har(ummat) ek ke liye, ALAG SHARIYAT aur Kushadaah RAAH-e-AMAL banaya hai"
(Surah Al-Maeda Surah No.5 Ayat No.48)

"HuMne(Allah), HAR UMMat ke liye Ek Raah (AhkaM-e-Shariyat) MUQARRAR kar di hai aur unhein Isi par chalna hai"
(Surah Hajj Surah No.22 Ayat No.67)

Sabse Nek, Behtareen aur Ibaadat-Guzaar Insaan banna hai?
NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya 'HARAAM cheezon se Bach jaao', sabse Bahtareen 'IBAADAT-GUZAAR' ban jaaoge.
(Tirmizi Hadees No.2305)

HAR Biddat, Sunnat ke Khilaaf hoti hai aur us par amal karna 'Haraam' hai.

"Jo cheez tum ko Rasool(SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM de, woh le lo, aur jis se MANA'A kare, us se BAAZ raho (Bach jaao)"
(Surah Hashr Surah No.59 Ayat No.7)

"Aye Imaan walo Tum ALLAH ki Itaa'at kiya
karo aur RASOOL (SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM)ki Itaa'at kiya karo aur 'apne Aa'mal BARBAAD NA karo"
(Surah MUHAMMAD Surah No.47 Ayat No.33)

"Allah ka Deen Mukammal ho chuka hai."Maine(Allah) aaj tumhare liye, tumhara Deen MUKAMMAL kar diya hai" (Surah Al-Maeda Surah No.5 Ayat No.3)

Allah ke Deen Me hamare Pyare NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne,
'GYAARVI jaisi KOI Rasam' ka NA hi Zikr kiya aur NA hi Manaane ka hukm diya.
GYAARVI ke naam par aise Rasoomat Manaana Islam NAHIN, 'Be-Deeni' hai.

Inka ehtamaam saraasar BIDDAT hai. isliye ke aisi Rasam,
NA Nabi(SAW) ne,
NA Khulafaa-e-Rashideen(RA) ne,
NA Sahaba(RA) ne,
NA Tabai'een(Rh) ne,
NA Taba'a Tabai'een(Rh) ne,
NA Aa'imma(Rh) ne,
NA Mufassireen(Rh) ne aur
NA Muhaddiseen(Rh) ne Manaayi,
Na hi Khud Shaik Abdul Qader Jeelani RH ne
Na hi kuch Aisa khissa milta hai isey manane ka.

Is Rasam ka NA Allah ke Deen se aur NA hi Nabi(SAW) ki Sunnat se KOI Ta'alluq hai, balke yeh Ahle-BIDDAT ka Deen hai.

Yeh Rasam (Biddat) KAB aur KAISE shuru' hui?

'Ahle-Biddat'

GYAARVI ko 'Shaykh Abdul Qadir Jilani' ke naam Eesaal-e-Sawaab, ke taur par Manaate hain.

Is Biddat ki TAARIKH (History)

"Allama Ya'fi, 'Qurrat-un-Naazirah' Me, page 11 par likhte hain;

"Peeran-e-Peer, 'Har Chand ki GYAARAH' ko Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ki NIYAZ [Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ka URS] dilvaya karte. Ye NIYAZ itni Mashoor-wa-Maqbool hui ke, Peeran-e-peer 'HAR Maah ki Gyaarah taarikh ko Nabi(SAW) ki Niyaz dilvate.Rafta rafta, yehi NIYAZ ab Khud Shaykh Abdul Qader Jeelani ki Niyaz qaraar payi."
(Taaruf Syedna Ghaus-e-AzaM, GYARVI Shareef pg 15-16) (Faiz Ahmad Owaisi QADRI).

Islam me,
NA Urs,
NA YauM-e-Wilaadat,
NA YauM-e-Visaal aur
NA koi aise Rasoomat Manaane ki Ijaazat hai.

Ahle-Biddat,
GYAARVI ko 'Shaykh Abdul Qadir Jilani' ki taraf nisbat karte hain.

Abdul Qadir Jilani 471 Hijri Me,[Wafaat-e-Rasool Sallallahu Alaihi wasallam ke Chaar Sau Saathh (460) saal baad] paida hue aur Wafaat 561 Hijri ko paayi.

Kam-az-kam 460 saal Hijri tak to GYAARVI ka koi Wajood hi NA tha.

Nabi(SAW)ne farMaya:
Sab se BEHTAREEN Zamaana, Mera Zamaana hai; Iske baad, Baad aanewala Zamaana hai,Uske baad, uske Baadwala ZaMaana hai.
(Sahi Al-Bukhari Jild No.5 Hadees No.3651)

Quroon-e-Salasa (Behtareen Teen ZaMaane) me, GYAARVI jaisi koi RasaM/Cheez NAHI thi.

Ahle-Biddat ke GYAARVI ke Manane ke kai Asbab/ Wajuhat/ Maqaasid hain, Inme se kuch ye hain.
(Abdul Qadir Jilani se)

1.MOHABBAT,
2.Unka KHAUFF/DARR,
3.Unse UMMEED,
4.Unki SHAFA'AT,
5.Unke liye Esaal-e-Sawab

1. MOHABBAT:-
Abdul Qadir Jilani ki Be-Inteha MOHABBAT Me GYAARVI Manaate hain.

"Aur logon Me baaz aise bhi hain, jo "Allah ke Shareek" AURON ko tehraate hue, "Unse ALLAH SI MOHABBAT" jaisi Mohabbat karte hain. Aur jo log Imaan wale hain, woh(har ek se badh kar) Allah se BAHUT hi Zyada Mohabbat karte hain.Aur agar ye Zaalim log us Waqt ko Dekh le jab Azaab inki ankhon ke saamne hoga, ke SAARI Quwwaton ka Maalik ALLAH hai. Aur beshak, Allah SAKHT Azaab dene wala hai. (Surah Baqara Surah No. Ayat No.165)

2. KHAUFF/ DARR:-
Gyaarvi NA Manaane ki soorat Me, Abdul Qadir
Jilani
ka Khauff. Ke woh inka NUQSAN kardenge. (Gyaarvi par Doodh NA taqseem karo, to bhains Marne ka KHAUFF ka qissa Mashoor hai).
"Aye Mere Bando! Bas MUJH(Allah) se Darte raho"
(Az-Zumar Surah No.39 Ayat No.16)

3. UMMEED:-

Abdul Qadir Jilani se ummeedein baandhte hain, ke woh inki SAARI Zarooratein poori karenge.
"Momin ki sifat yeh hai ke woh log, 'ALLAH ki RehMat' se ummeed rakhte hain"
(Surah Baqara Surah No.2 Ayat No.218)

4. SHAFA'AT:-

Logon ka ye Aqeedah hai ke Abdul Qadir Jilani QayaMat ke din SIFARISH karenge.
"Farma dijiye! "Tamaam Shafa'at" Allah hi ke Ikhtiyaar Me hai"
(Surah Az-Zumar Surah No.39 Ayat No.44)

Jaabir(RA): NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya;

"Azaan ka Jawaab de,
aur phir khatam hone par yeh Duaa, (AllahuMMaRabba Haazihi........) padhe,
iske liye Qayamat ke din, Meri [Muhammad (SAW) ki] SHAFA'AT Waajib ho jaati hai" (Sahi Al-Bukhari Jild No.6 Hadees 4719)

5.Easaal-e-Sawab:-

Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ki jab koi insan marjata hai to uske nek aamal band kar diye jate hai siwae teen tarah ke:
1) Sadka e jariya(Allah ke raah me lagaya hua hamara maal jo logo ko fayda pohcha raha ho),
2) Jo Ilm logo ko sikhaya ho wo usse fayda utha ra ho,
3) Nek aulad jo uske liye dua kare .
(Sunan At-Tirmidhi, Jild No.3 Hadees No.1376 hasan Sahih)

Is Hadees se Pata chala Shaikh Abdul Qader Jeelani RH ne Jo bhi apni Zindagi me Allah ki Rah me Khairat ki Jo Logou Ko marne ke Baad bhi Faida pahunchati ho Aur Jo Shaik ki Kitabey hai jisse log Faida utha rahe ho Aur Shaik ki Nek Aulad jo unke liye Dua Kare.

Aur Alhumdulillah Shaikh Abdul Qader Jeelani RH ki kitabou se Ahle Hadees Faida utha te hai Aur iska Sawab bhi Shaik Ko pahunchega In Shaa ALLAH

Khulasa:-Gyaarvi Ek Biddat hai aur ye Jayez nahi, Aur jaisa k 470 Tak Shaik ki Wiladat nahi Hui to ye Deen ka hissa bhi Nahi hai...

ALLAH se Dua hai k har MUSALMAAN ko Islam ka Sahih Ilm hasil karne Ki taufiq ata farmaye...

Aameen Ya Rabbul Aalameen....

Facebook.com/Tawheedosunnahvsshirkobiddat
 

Similar threads


Top