Khulafa E Rashideen Razi Allahu Anhuma se Rafadain Ka Saboot


Abdul Adil

Member
Khulafa E Rashideen Razi Allahu Anhuma se Rafadain Ka Saboot

۞ Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya Ki

فَعَلَيْكُمْ بِسُنَّتِي، وَسُنَّةِ الْخُلَفَاءِ الرَّاشِدِينَ الْمَهْدِيِّينَ الْمَهْدِيِّينَ عَضُّوا عَلَيْهَا بِالنَّوَاجِذِ،

Tum Meri Sunnat Aur Hidayat Yaafta Khulfaa e Rashideen Ki Sunnat Ki Pairwi Karna, Usko Mazbooti Se Thamna Aur Daant Se Pakad lena

[Sunan At Tirmizi : 2676, Abu Dawood : 4607, Sahih Ibn e Hibban : 5, Ibn e Majah : 43, 44, Musnad Ahmad : 16694, 16692, Miskaat ul Masaabih : 165, Al Mustadrak Ala As Saheehain : 334, Sunan Darmi Wagairah]

Chunache

❶ Sayyadana Abu Bakar Razi Allahu Anhu Farmate Hai :

صَلَّیْتُ خَلْفَ رَسُوْلِ اللّٰهِ صلی للّٰهُ علیہ وسلم فَکَانَ یَرْفَعُ یَدَیْہِ اِذَا افْتَتَحَ الصَّلوٰۃَ وَاِذَا رَکَعَ وَاِذَا رَفَعَ رَاْسَہٗ مِن الرُّکُوْعِ

Maine Tamam Umr Rasoolullah ﷺ ke sath namaz padhi . Aap ﷺ hamesha shuru namaz aur ruku mein jane aur ruku se sar uthane ke waqt rafadain kiya karte tha

[Sunan Al-Kubra Lil Baihaqi Jild - 2 , Safa : 73 , Talkheesh Ul Hubair Safa : 85 , Juz Subki Safa : 6 Tareekh E Khulafa Safa : 40]

۞ Imam Baihaqi Rahimahullah , Imam Subki Rahimahullah , Imam Ibne Hajar Rahimahullah Alaihim Azmayeen Farmate hai

رِجَالُہَ ثِقَاتٌ

Is Hadees ke Sare raawi siqa'a hai

[Baihaqi Jild - 2 Safa : 73-74 , Juz Subki Safa : 6, Talkheesh Ul Hubair Safa : 82]

۞ Imam Hakim Rahimahullah Farmate Hai :

اِنَّہٗ مَحْفُوْظٌ

Ye Hadees Mahfooz hai

[Talkheesh Ul Hubair Safa : 82]

Is hadees se sirf Rafadain Ka saboot hi nahi milta balki Abu Bakar Razi Allahu Anhu jaise Jaleel ul Qadr Sahabi Rasoolullah ﷺ ke Yaar E Gaar Hamesha Aap ﷺ ke saath rahne wale کَانَ یَرْفَعُ یَدَیْہِ ke sath Rasoolullah ﷺ se rafadain nakal kar rhe hai.

❷ Sayyadan Umar Bin Khattab Razi Allahu Anhu ______

Abdullah Bin Qaasim Farmate hai :

بينما الناس يصلون في مسجد رسول اللہ ﷺ إذخرج عليهم عمر بن الخطاب رضي الله . عنه فقال : اقبلوا علي بوجوهكم أصلي بكم صلوة رسول اللہ ﷺ التي كان يصلي و يأمر بها فقام مستقبل القبلة و رفع يديه حتى حاذا بهما منكبيه و كبر ثم غض بصره ثم رفع يديه حتى حاذابهما منكبيه ثم كبر ثم ركع و كذلك حين رفع صلى الله

قال للقوم : هكذا كان رسول اللہ ﷺ یصلي بنا۔

Log Rasoolullah ﷺ Ki Masjid Mein namaz padh rahe the ki Achanak unke paas Umar Bin Khattab Razi Allahu Anhu tashreef laye aur farmaya : Logo apne chehre meri taraf karo , Main Tumhe Rasoolullah ﷺ ki namaz padha kar dikhata hun jo Aap ﷺ padhte the aur jiska huqm dete the. pas Aap Razi Allahu Anhu Qibla ki taraf munh karke khade ho gaye aur apne kandho tak Rafadain kiya aur Allahu Akbar kaha . Fir Aapne Apni Nazar Jhukha li , fir Aapne Rafadain kiya hatta ki Aapke dono hanth kandho ke barabar ho gaye fir aapne takbeer kahi fir ruku kiya aur isi tarah (Rafadain) kiya jab aap khade huye . Aap Razi Allahu Anhu ne (namaz ke baad) logon se kaha ki Rasoolullah ﷺ hame isi tarah se namaz padhate the.

[نصب الرایۃ ج ۱ص۴۱۶ مسند الفاروق لا بن کثیر ج ص ۱۲۶،۱۲۵ شرح سنن الترمذی لا بن سید الناس ج ۲ ص ۲۱۷ واللفظ له]

Sayyadana Umar Farookh Razi Allahu Anhu khaleefa e Shaani Jaleel ul Qadr Sahabi Hamesha Aap ﷺ ke sath rahne wale Hamesha Sach bolne wale Rasoolullah ﷺ ki rafadain nakal kar rhe hai.

❸ Sayyadana Usman Razi Allahu Anhu Ki Gawahi ______

۞ Imam Baihaqi Aur Imam Haaqim Rahimahullah kahte hai :

فقد رُوِیَ ھٰذِہِ السُّنَّۃُ عَنْ اَبِیْ بَکْرٍ وَ عُمَرَ وَ عُثْمَانَ وَ عَلیٍّ رَضِیَ اللّٰهُ عَنْہُمْ

Ki Rafadain Ki Hadees Jis Tarah Sayyadana Abu Bakar Razi Allahu Anhu aur Sayyadana Umar Farookh Razi Allahu Anhu ne bayan ki isi tarah se Sayyadana Usman Razi Allahu Anhu se bhi marwi hai.

[Ta'aleeq Al-Mugni Safa : 111]

۞ Allama Subki Rahimahullah Farmate Hai :

الذین نقل عنہم روایۃ عن النبی صلی للّٰهُ علیہ وسلم ابوبکر و عمر و عثمان و علی وغیرہم رضی اللّٰهُ عنہم

Jin Sahabi Ne Rasoolullah ﷺ se Rafadain ki riwayat nakal ki hai wo Abu Bakar Razi Allahu Anhu , Hazrat Umar Razi Allahu Anhu aur Hazrat Usman Razi Allahu wagairah hai.

[Juz Subki Safa : 9]

❹ Sayyadana Ali Razi Allahu Anhu ____

Sayyanda Ali Razi Allahu Anhu Farmate Hai Ki :


عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏ أَنَّهُ كَانَ إِذَا قَامَ إِلَى الصَّلَاةِ الْمَكْتُوبَةِ كَبَّرَ وَرَفَعَ يَدَيْهِ حَذْوَ مَنْكِبَيْهِ، ‏‏‏‏‏‏وَيَصْنَعُ مِثْلَ ذَلِكَ إِذَا قَضَى قِرَاءَتَهُ وَأَرَادَ أَنْ يَرْكَعَ، ‏‏‏‏‏‏وَيَصْنَعُهُ إِذَا رَفَعَ مِنَ الرُّكُوعِ، ‏‏‏‏‏‏وَلَا يَرْفَعُ يَدَيْهِ فِي شَيْءٍ مِنْ صَلَاتِهِ وَهُوَ قَاعِدٌ وَإِذَا قَامَ مِنَ السَّجْدَتَيْنِ رَفَعَ يَدَيْهِ كَذَلِكَ وَكَبَّرَ ،

Beshaq Rasoolullah ﷺ Hamesha Takbeer E Tahrima ke waqt Kandho tak hanth uthaya karte the aur jab Ruku jaate aur Ruku se sar uthate aur Jab do Rakato se khade hote to Takbeer E Tahrima Ki Tarah hanth uthaya karte the

[Juz Rafadain Hadees Number : 1]

Sayyadana Ali Razi Allahu Anhu Yaar E Khaash , Jaleel Ul Qadr Sahabi , Qadeem Ul Islam , Rasoolullah ﷺ ke sath hamesha rahne wale کَانَ یَرْفَعُ یَدَیْہِ se Aap ﷺ ka rafadain bayan kar rhe hai , Yaani Aap ﷺ hamesha Rafadain Karte the.

Allah Ta'ala Ham Sab Musalmanon Ko Rasoolullah ﷺ ke Tareeke ke mutabik Namaz Padhne Ki Taufeeq Ata Farmaye , Aur Mashlaki Ta'asuub Ko Chodne Ki Taufeeq Ata Farmaye

Ameen Ya Rabbul Alameen.
 
Top