Kis Ki Dua Qabool Hoti Hai?


Kis Ki Dua Qabool Hoti Hai?

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah
Daai Islamic Dawah Center Taif Saudi Arab.​

Dua Moamin Ki Zindagi Ka Aham Tareen Hissa Hai. Moamin Haraan Aur Har Lamha Us Se Juda Rehta Hai Aur Zindagi Ke Tamaam Masaail Apne Khaaliq Aur Maalik Ke Samne Bayan Karta Rehta Hai. Khaaliq Apne Bando Ki Pukaar Se Khoosh Hota Hai Aur Har Woh Chiz Ata Karta Hai Jis Ke Liye Uske Bande Ne Nida Lagaai Hai. Aaj Logo Ki Aksariyat Ne Zaeeful Etiqaadi Aur Imaan Me Kamzor Hone Ke Baais Dua Ki Ahmiyat Aur Uski Qabooliyat Se Apna Bharosa Utha Liya Hai. Dua To Log Karte Hai Magar Adam E Qabooliyat Ka Rona Rote Hai Apni Duao Par Bharosa Karne Ke Liye Fir Gairullaah Ka Waseela Lagate Hai. Pata Nahi Logo Ko Kya Ho Gaya Hai Ke Baraahe Raasat Allaah Ko Pukaarne Me Koi Faidah Nazar Nahi Aata Magar Mazaaraat Par Dua Kar Ke Bade Khoosh Hote Hai Murdo Ka Waseela Laga KAR Duao Ki Qabooliyat Par Bharosa Bandh Jata Hai
Ibditaa E Afzaish Se Allaah Ki Makhlooq Ne Hamesha Allaah Ko Pukara Hai,Ambiya Ke Paida Hone Ka Azeem Maqsad Ek Rab Ko Pukarne Ki Taraf Bulana Hai. Ambiya Ne Khood Bhi Allaah Ko Pukaar Kar Apni Apni Ummat Ko Iski Taaleem Di. Quraan Me Kitne Paigambaro Ka Zikar Hai Jo Apne Rab Ko Pukaarte Hai Aur Har Moamin Balke Allaah Ka Har Wali Jo Waqai Allaah Ka Wali Ho Unhone Hamesha Allaah Ko Hi Pukara.
Dua Khaalis Ibaadat Ka Naam Hai Tamam Nabiyo Ke Sardaar Tamam Insaano Me Ashraf,Tamam Auliya Me Sab Se Mukarram Ham Sab Ke Imaam E Azam Muhammad SAV Ne Irshaad Farmaya:
الدعاء هو العبادة ثم قرأ وقال ربكم ادعوني استجب لكم ان الذين يستكبرون عن عبادتي سيدخلون جهنم داخرين.(صحيح الترمذي:3372)
Tarjumah: Dua Hi Ibaadat Hai Fir Aap Ne Aayat Padhi:
وقال ربكم ادعوني استجب لكم ان الذين يستكبرون عن عبادتيسيدخلون جهنم داخرين》
Tumhara Rab Farmata Hai Tum Mujhe Pukaaro Me Tumhari Pukaar Yani Dua Ko Qabool Karunga Jo Log Mujh Se Mangne Ka Ghamand Karte Hai Woh Jahnnam Me Zaleel Aur Khuwaar Ho Kar Daakhil Honge.
Aaj Musalmano Ka Imaan Kis Qadar Gaya Guzra He Ke Ja'li Peer Aur Faqeer Aur Pakhandi Babao Ki Baat Yah To Shak Nahi Hota Magar Unhe Na Allaah Ke Kalaam Par Bharosa Hai Aur Na Hi Kaainaat Ki Sab Se Azeem Hasti Ke Farmaan Par Bharosa Hai. Mazkoorah Bala Hadees Me Rasool E Akram SAV Ne Batlaya Ke Dua Ibaadat Hai Aur Aap SAV Ne Daleel Me Quraan Ki Aayat Paish Ki Ke Rab Ka Farmaan Hai Tum Sirf Mujhe Pukaaro Me Tumhari Pukaar Ka Jawaab Deta Hu Haa Allaah Ne Mazeed Farmaya Ke Logo Sun Lo Agar Tum Ne Mujhe Chhod Kar Gair Ko Pukara To For Tumhara Thikana Jahnnam Hoga Woh Bhi Zillat Aur Ruswaai Ke Sath. Alhifaz Wal Amaan.
Baari E Taala Ne Ek Dusri Jagah Irshaad Farmaya:
واذا سألك عبادي عني فإني قريب أجيب دعوة الداع إذا دعان فليستجيبوا لي وليؤمنوا بي لعلهم يرشدون.(البقرة:186)
Tarjumah: Jab Mere Bande Mere Bare Me Aap Se Sawaal Kare To Aap Keh De Ke Me Bahut Hi Qareeb Hu Har Pukarne Wale Ki Pukaar Ko Jab Bhi Woh Mujhe Pukaare Qabool Karta Hu Is Liye Logo Ko Bhi Chaahiye Woh Meri Baat Maan Liya Kare Aur Mujh Par Imaan Rakhe Yahi Unki Bhalaai Ka Baais Hai.
Allaah Ne Is Qadar Waazeh Kar Ke Batla Diya Ke Na Samjho Ko Bhi Samjh Aa Jaae. Allaah Qareeb Hai Aur Hamesha Aadmi Qareebi Ko Hi Pukarta Hai Isi Tarah Ki Misaal De Kar Allaah Ne Apne Bando Ko Batlaya Ke Mujhe Hi Pukara Karo Mujhe Jo Bhi Pukarta Hai Me Uski Pukaar Sunta Hu. Aage Allaah Ne Nishaani Bhi Zikar Farmaai Hai Ke Jo Apne Haqeeqi Ma'bood Ko Pukarte Hai Unka Shiaar Apne Rab Par Sahih Ma'no Me Imaan Lana Aur Apne Khaaliq Ki Ita'at Aur Farmabardaari Karna Hai. Jo Log Allaah Ko Chhod Kar Gairullaah Ko Pukarte Hai Woh Na Rab Par Sahih Imaan Laane Wale Hai Aur Na Rab Ki Ita'at Baja Lane Wale Hai.
Allaah Har Jagah Se Aur Har Lamha Bando Ki Pukaar Sunta Hai Magar Uski Shaan E Kareemi Aur Bando Par Azeem Mehrbaani Dekhe Ke Woh Fariyaad Sunne Har Raat Aasman E Duniya Par Nuzool Farmata Hai:
يتنزل ربنا تبارك وتعالى كل ليلة إلى السماء الدنيا حين يبقى ثلث الليل الآخر يقول من يدعوني فاستجيب له من يسألني فاعطيه من يستغفرني فاغفر له.(صحيح البخاري:6321)
Tarjumah:Hamara Rab Tabarak Wa Taala Har Raat Aasmaan E Duniya Ki Taraf Nuzool Farmata Hai Us Waqt Jab Raat Ka Aakhri Tihaai Hissa Baaqi Reh Jata Hai Aur Farmata Hai Kon Hai Jo Mujh Se Dua Karta Hai Ke Me Uski Dua Qabool Karu Kon Hai Jo Mujh Se Mangta Hai Ke Me Use Du Kon Hai Jo Mujh Se Bakhshish Talab Karta Hai Ke Me Uski Bakhshish Karu.
Dua Se Mutalliq Quraan Aur Hadees Me Bahut Sare Nusoos Hai Jin Ke Zikar Ka Yah Maqaam Nahi Hai Yaha Mera Maqsad Un Logo Ka Zikar Karna Hai Jin Ki Duaae Qabool Hoti Hai Mazkoorah Baate Bataur Tamheed Thi Taaki Agar Kisi Ko Yah Mehsoos Hota Hai Ke Hamari Duaae Qabool Nahi Hoti To Adam E Qabooliyat Ki Wajah Se Talaash Kare Aur Apni Islaah Kar Le.
3 Qisam Ke Logo Ki Dua Kabhi Radd Nahi Hoti. Rasool E Akram SAV Ne Irshaad Farmaya:
ثلاث دعوات مستجابات دعوة المظلوم ودعوة المسافر ودعوة الوالد على ولده.(صحيح الترمذي:3448)
Tarjumah: 3 Tarah Ki Duaae Maqbool Hoti Hai Mazloom Ki Dua,Musaafir Ki Dua,Aur Baap Ki Bad Dua Apne Bate Ke Haq Me.
Mazloom Par Zulam Karne Wala Allaah Se Be Khauf Hota Hai Ya Yah Bhi Keh Sakte Hai Ke Is Waqt Apne Zahan De Khaaliq Ka Taswwur Nikal Chuka Hota Hai Jis Ke Zahan Me Khaaliq Ja Tasvvur Ho Woh Kabhi Dusro Par Zulam Nahi Kar Sakta Kuy Ke Khaaliq Is Kaainaat Ka Khaaliq Hi Nahi Munsif Bhi Hai Uski Adaalat Me Haq Ke Sath Faisle Hote Hai. Agar Uske Yaha Insaaf Na Hota To Firaun Jaise Log Kamzoro Ko Duniya Me Zindah Nahi Chodte. Duniya Me Logo Ki Adaalat Sirf Dhoka Hai Insaaf To Allaah Ki Adaalat Me Hai. Jab Kabhi Koi Kisi Par Zulam Karta Hai Aur Mazloom Apne Khaaliq Se Is Zaalim Ke Khilaaf Faryaad Karta Hai To Fir Duniya Me Zaalim Ko Bachaane Wala Koi Nahi Hota. Nabi SAV Ne Maaz RA Ko Jab Aamil Bana Kar Yaman Bheja To Aap SAV Ne Unhe Hidaayat Farmaai:
اتق دعوة المظلوم فإنها ليس بينها وبين الله حجاب.(صحيح البخاري:2448)
Tarjumah:Mazloom Ki Bad Dua Se Darte Rehna Ke Us(Dua)Ke Aur Allaah Ke Darmiyaan Koi Pardaah Nahi Hota.
Mazloom Kaafir Bhi Ho To Uski Dua Radd Nahi Ki Jaati Hai. Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
دعوة المظلوم المستجابة وان كان فاجرا ففجورة على نفسه.(صحيح الترغيب:2229)
Tarjumah: Mazloom Ki Dua Qabool Ki Jaati Hai Chaahe Faajir Hi Kuy Na Ho,Fujoor(Ka Khimyaazah)Usi Ki Jaan Par Hoga.
Zulam Aur Ziyadti Darbaar E Ilaahi Me Is Qadar Sangeen Juram Hai Ke Iski Saza Duniya Me Bhi Milti Hai Aur Aakhirat Me Bhi Di Jaae Gi. Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
ما من ذنب اجدر ان يعجل الله لصاحبه العقوبة في الدنيا مع ما يدخر له في الاخرة من البغي وقطيعة الرحم.(صحيح ابن ماجه:3413)
Tarjumah: Zulam Aur Qat'a E Rehmi Se Badh Kar Koi Gunaah Aysa Nahi Jis Ka Murtakib Ziyadah Laaiq Hai Ke Usko Allaah Ki Jaanib Se Duniya Me Bhi Jald Saza Di Jaae Aur Aakhirat Ke Liye Bhi Use Baaqi Rakha Jaae.
Mazloom Ki Tarah Musaafir Ki Dua Aur Waalid Ki Apne Aulaad Ke Haq Me Dua Kabhi Radd Nahi Hoti.
Is Pase Manzar Me Aap Se Yah Arz Karna Hai Ke Zulam Ka Badla Le Lene Se Koi Mazloom Nahi Reh Jata,Safar Me Buraai Karne Se Dua Be Asar Ho Jaae Gi Aur Baap Ka Nek Aur Saaleh Na Hona Dua Ki Taasir Chhin Leta Hai.
In 3 Logo Ke Alawah Hadees Me Saaleh Aulaad Ki Dua Ka Zikar Hai Jo Baap Ke Haq Me Qabool Ki Jati Hai. Ek Rivayat Muslim Me Hai Jis Me 3 Chizo Ke Sadqa E Jariya Ka Zikar Hai. Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
إذا مات الإنسان انقطع عنه إلا من ثلاث إلا من صدقة جارية اؤ علم ينتفع به اؤ ولد صالح يدعوا له.(صحيح مسلم:1631)
Tarjumah:Jab Insaan Mar Jata Hai To Uska Amal Munqateh Ho Jata Hai Siwaae 3 Chizo Ke(Jin Ka Faiz Use Barabar Pohnchta Rehta Hai) 1. Sadqa E Jariya,2. Ilm Jis Se Logo Ko Faidah Pohnche,3. Nek Aulaad Jo Uske Liye Duaae Karti Rahe.
Ibne Majah Ki Hasan Darje Ki Rivayat Me Hai Nabi SAV Farmate Hai:
ان الرجل لترفع درجته في الجنة فيقول انى هذا فيقال باستغفار ولدك لك.(صحيح ابن ماجه: 3/214)
Tarjumah: Aadmi Ka Darjah Jannat Me Buland Kiya Jaae Ga Fir Woh Kehta Hai Ke Mera Darja Kaise Buland Ho Gaya(Halanki Hame Koi Amal Ka Koi Mauqa Nahi Raha)Usko Jawaab Diya Jaae Ga Ke Tere Liye Teri Aulaad Ke Dua Aur Istigfaar Karne Ke Sabab Se.
Baap Ka Apne Bete Par Zindagi Bhar Ka Ahsaan Hota Hai Bataur E Khaas Bachcha Se Le Kar Jawaani Tak. Aulaad Ke Liye Walaidain Ki Qurbaani Duniya Me Koi Sila Mumkin Nahi Hai Taaham Unki Qurbaaniyo Aur Ahsaan Aur Sulook Ke Tai Ziyadah Se Unke Liye Dua Aur Istigfaar Karna Chaahiye.
Ek Hadees Me Gaazi,Haaji,Aur Mutamiraan 3 Qisam Ke Aadmiyo Ki Dua Qabool Hone Ka Zikar Hai. Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
الغازي في سبيل الله والحاج والمعتمر وفد الله دعاهم فاجابوه وسالوه فاعطاهم. (صحيح ابن ماجه:2357)
Tarjumah:Allaah Ki Raah Me Nikle Hue Gaazi Aur Hajj Aur Umrah Karne Wale Allaah Ke Mehmaan Hai Allaah Ne Unhe Bulaya To Woh Aa Gae Lihaza Ab Woh Allaah Se Sawaal Kare Ge To Allaah Unhe Ata Farmaae Ga.
Allaah Jinhe Gazwah Ya Hajj Aur Umrah Ki Sa'adat Bakhshe Woh Apne Amal Me Ikhlaas Paida Kare Aur Kasrat Se Allaah Ko Pukaare Allaah Unki Muraade Puri Farmaae Ga.
Apne Bhaiyo Ki Pith Piche Dua Karna Bhi Qabooliyat Ka Baais Hai Nez Dua Karne Wale Ke Haq Me Bhi Woh Dua Qabool Hoti Hai. Nabi SAV Farmate Hai:
دعوة المرء المسلم لأخيه بظهر الغيب مستجابة عند رأسه ملك موكل كلما دعا لأخيه بخير قال الملك الموكل به آمين ولك بمثل.(صحيح مسلم:2733)
Tarjumah:Musalmaan Ki Apne Bhai Ke Liye Uski Pith Ke Piche Ki Gai Dua Mustajaab Hoti Hai Uske Sar Ke Qareeb Ek Farishta Muqarrar Hota Hai Woh Jab Bhi Apne Bhai Ke Liye DUA E Khair Karta Hai To Muqarrar Kiya Hua Farishta Us Par Kehta Hai:Aameen,Aur Tumhe Bhi Usi Ke Jaisa Ata Ho.
Allaah Taala Taubah Karne Wali Ki Big Dua Qabool Karta Hai Balke Taubah Karne Wala Allaah Ke Nazdeek Mehboob Aur Pasandidah Bandah Hai. Farmaan E Ilaahi Hai:
وهو الذي يقبل التوبة عن عباده ويعفو عن السيئات ويعلم ما تفعلون.(الشوري:25)
Tarjumah: Wahi Hai Jo Apne Bando Ki Taubah Qabool Farmata Hai Aur Gunaaho Se Darguzar Farmata Hai Aur Jo Kuch Tum Kar Rahe Ho Sab Janta Hai.
Aur Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
ان عبدا أصاب ذنبا وربما قال اذنب ذنبا فقال رب اذنبت وربما قال اصبت فاغفر لي فقال ربه اعلم عبدي ان له ربا يغفر الذنب ويأخذ به؟غفرت لعبدي.(صحيح البخاري:7507)
Tarjumah: Ek Bande Ne Bahut Gunaah Kiye Aur Kaha Ay Mere Rab Me Tara Hi Gunehgaar Banda Hu Tu Mujhe Bakhsh De Allaah Rabbul Izzat Ne Farmaya:Mera Banda Janta Hai Ke Uska Koi Rab Zaroor Hai Jo Gunaah Maaf Karta Hai Aur Gunaah Ki Wajah Se Saza Bhi Deta Hai Mene Apne Bande Ko Bakhash Diya. Balke Is Hadees Me Hai Ke Banda Baar Baar Gunaah Karta Hai Aur Baar Baar Allaah Se Taubah Karta Hai Aur Allaah Apne Bande Ko Bakhash Deta Hai.
Allaah Kabhi Kabhaar Gunehgaar Ki Bhi Dua Qabool Kar Leta Hai Yaha Tak Ke Shirk Karne Wale Ki Dua Bhi Qabool Kar Leta Hai Yah Allaah Ki Mehrbaani Hai Mumkin Hai Gunehgaar Apne Gunaaho Se Palat Jaae,Taubah Aur Istigfaar Kar Le Allaah Taala Mushriko Ki Dua Ke Bare Me Zikar Karta Hai:
واذا مسكم الضر في البحر ضل من تدعون إلا أياه فلما نجاكم الى البر اعرضتم وكان الإنسان كفورا.(الإسراء:67)
Tarjumah: Aur Samndaro Me Musibat Pohnchte Hi Jinhe Tum Pukarte The Sab Gum Ho Jate Hai Sirf Wahi Allaah Baaqi Reh Jata Hai Fir Jab Woh Khushki Ki Taraf Bacha Lata Hai To Tum Munh Phair Lete Ho Aur Insaan Bada Hi Na Shukra Hai. Allaah NeTo Shaitaan Ki Bhi Qabool Ki Hai. Farmaan E Baari Taala Hai:
قال انظرني إلى يوم يبعثون قال انك من المنظرين.(الاعراف:14-15)
Tarjumah:[Shaitaan Ne] Kaha:Mere Parwardigaar Mujhe Dobarah Uthaae Jaane Ke Din Tak Mohlat De De[To Allaah Ne]Farmaya: Tujhe Mohlat[De Di]Hai.
Dua Asal Me Moamin Aur Muttaqi Bando Ki Qabool Ki Jaati Hai,Gunehgaaro Ki Dua Kabhi Qabool Ho Jaae To Uska Matlab Nahi Ke Gunaah Ka Dua Par Koi Asar Nahi Padhta. Gunaah Ka Dua Par Bahut Asar Padhta Hai Aur Haraam Kamaai Ka To Be Had Asar Padhta Hai Chunacha Sahih Muslim Me Waarid Hai:
ثم ذكر الرجل يطيل السفر اشعث اغبر يمد يديه إلى السماء يا رب يا رب ومطعمه حرام ومشربه حرام وملبسه حرام وغذي بالحرام فإنى يستجاب لذلك؟(صحيح مسلم:1015)
Tarjumah:Fir Aap SAV Ne Ek Ayse Shakhas Ka Zikar Kiya Jo Lamba Safar Karta Hai Pareshaan Haal Aur Gubaar Aalood Hai Aasmaan Ki Taraf Haath Phaila Kar Duaae Mangta Hai Mere Rab Mere Rab Aur Haal Yah Hai Ke Uska Khana Haraam Ka Hai Uska Peena Haraam Ka Hai Uska Pehnna Haraam Ka Hai Aur Uski Parwarish Hi Haraam Se Hui Hai Fir Uski Dua Kuy Kar Qabool Hogi.
Agar Kabhi Mazaar Par Dua Karne Se Qabool Ho Jaae Agar Kabhi Gairullaah Ko Pukaarne Se Dua Qabool Ho Jaae Agar Kabhi Auliya Ke Waseela Se Dua Qabool Ho Jaae To Musalmaan Ko Yah Nahi Samjhna Chaahiye Ke Is Tarah Dua Karna Sahih Hai Ya Ayse Dua Karne Se Jald Qabool Hoti Hai Hargiz Nahi.
(1) Hamara Aqeedah Yah Ho Ke Dene Wala Sirf Allaah Hai Chaahe Mangne Wala Kahi Bhi Ja Kar Mange.
(2) Allaah Taala Bando Ki Tarah Tarah Se Aazmata Hai Aur Aazmaaish Me Mubtila Kar Ke Gunaah Se Palatne Aur Taubah Karne Ki Muhlat Deta Hai Koi Musalmaan Yah Aqeedah Rakhe Ke Qabar Wala Bhi Deta Hai To Fir Hindu O Ka Aqeedah Paththar Se Mangna Bhi Sahih Ho Jaae Ga Kuy Ke Kabhi Kabhi Uski Bhi Muraad Puri Ho Jaati Hai Jab Ke Ek Adna Musalmaan Bhi Kahe Ga Ke Paththar Faidah Aur Nuqsaan Ka Maalik Nahi Hai Yahi Aqeedah Quraan Hame Sikhlata Hai,Allaah Ka Farmaan Hai:
ولا تدع من دون الله ما لا ينفعك ولا يضرك فإن فعلت فإنك إذا من الظالمين.(يونس:106)
Tarjumah: Aur Allaah Ko Chhod Kar Kisi Ayse Ko Mat Pukaaro Jo Tujh Ko Na Faidah Pohncha Sake Aur Na Koi Nuqsaan Pohncha Sake Fir Aysa Kiya To Tum Is Haalat Me Zaalimo Me Se Ho Jaao Ge. Apne Moamin Aur Muwwahid Bhaiyo Se Yah Arz Karna Chahta Hu Ke Allaah Se Dua Karte Rahe Woh Har Nek Bande Ki Dua Qabool Karta Hai Dua Ki Qbooliyat Par Yaqeen Bhi Rakhe Kya Aap Ne Shuru Mazmoon Me Allaah Ka Kalaam Nahi Padha Jis Me Zikar Hai Ke Allaah Har Pukarne Wale Ki Pukaar Sunta Hai Bashart Yah Ke Woh Sahih Ma'no Me Us Par Imaan Lane Wala Ho Aur Uske Ahkaam Ki Taabedaari Karne Wala Ho. Allaah Ke Nazdeek Dua Sab Se Muazziz Chiz Hai Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
ليس شيء اكرم على الله تعالى من الدعاء.(صحيح الترمذي:3370)
Tarjumah: Allaah Ke Nazdeek Dua Se Ziyadah Muazziz Aur Mukarram Koi Chiz Nahi Hai.
Isi Liye Allaah Dua Karne Walo Ko Kabhi Maayus Nahi Karta,Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
ان الله حى كريم يستحى إذا رفع الرجل اليه يديه ان يردهما صفرا خائبتين.(صحيح الترمذي:3556)
Tarjumah:Allaah Hayyun Kareem Hai Yani Zindah Aur Maujood Hai Aur Shareef Hai Use Is Baat Se Sharam Aati Hai Ke Jab Koi Aadmi Uske Samne Hath Pahila De To Woh Uske Dono Haatho Ko Khaali Aur Naakaam Aur Namuraad Waapis Kar De.
Haa Yah Baat Jaan Lene Ki Zaroorat Hai Ke Dua Ki Qabooliyat Ki Shakle Mukhtalif Ho Sakti Hai Chunacha Nabi SAV Ka Yah Farmaan Mulahiza Farmaae:
ما من مسلم يدعوا بدعوة ليس فيها إثم ولا قطيعة رحم إلا أعطاه بها احدى ثلاث اما ان يعجل له دعوته واما ان يدخرها له في الاخرة واما ان يصرف عنه من السوء مثلها قالوا إذا نكثر قال الله أكثر.(صحيح الترغيب:1633)
Tarjumah: Jab Bhi Koi Musalmaan Aysi Dua Kare Jis Me Gunaah Ya Qat'a Rehmi Na Ho To Allaah Rabbul Izzat 3 Baato Me Se Ek Zaroor Use Nawazte Hai:Ya To Uski Dua Ko Qabool Farma Lete Hai Ya Uske Liye Aakhirat Me Zakheerah Kar Dete Hai Ya Us Jaisi Koi Buraai Us Se Taal Dete Hai. Sahaba Ne Kaha:Fir To Ham Ba-Kasrat Dua Karen Ge To Nabi SAV Ne Farmaya:Allaah Us Se Bhi Ziyadah Bakhashne (Ata Karne)Wala Hai.
Goya Dua Kabhi Raaiga Nahi Jati,Kabhi Foran Qabool Kar Li Jaati Hai Kabhi Uski Qabooliyat Me Taakhir Ho Sakti Hai Kabhi Use Aakhirat Ke Liye Zakhirah Bana Di Jati Hai To Kabhi Uske Badle Buraai Door Ki Jati Hai.
Bahar Haal Dua Ibaadat Hai Is Liye Aajizi Aur Ikhlaas Ke Sath Sirf Apne Khaaliq Ko Pukaare Dua Karte Hue Uske Sath Kisi Ko Shareek Na Kare Baraahe Raasat Usi Se Mange Dua Karte Hue Zindah Ya Murdah Kisi Ka Waseela Na Lagaae Balke Allaah Ke Asmaae Husna Aur Apne Aamaal E Saleha Ka Waseela Lagaae Gunaaho Se Bache Sahih Taur Par Allaah Par Imaan Laae Allaah Aur Uske Rasool SAV Ke Ahkaam Ki Paasdaari Kare Taubah Ke Sath Dua Kare Haraam Kamaai Se Bilkul Door Rahe Logo Ka Haq Na Maare Na Hi Kisi Par Nahaq Zulam Kare Aur Dua Me Afzal Awqaat Ka Khayaal Rakhe Un Baato Ka Paas Aur Lihaaz Hoga To Rabbul Aalameen Be Shak Hamari Dua Qabool Farmaae Ga.
 

Similar threads


Top