Kisi wujuhat ki binah par Masajid ka band hona aud ghar me Namaz ada karna


Abdul Mussavir

New member
بسم الله الرحمن الرحيم

Kisi wujuhat ki binah par Masajid ka band hona aur ghar me Namaz ada karna

_________

Shaikh ibn Uthaymeen ka fatwa ki masajid band ki ja sakti hain.


Sahih Bukhari me Imam Bukhari رحمه الله ne kitabul Haj me baab bandha hai

بَابُ إِغْلاَقِ الْبَيْتِ، وَيُصَلِّي فِي أَيِّ نَوَاحِي الْبَيْتِ شَاءَ:

Ka'aba ke darwaze andar se band kar lena aur us ke har kone me namaz padhna jidhar chahe.

دَخَلَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ الْبَيْتَ، هُوَ وَأُسَامَةُ بْنُ زَيْدٍ، وَبِلَالٌ، وَعُثْمَانُ بْنُ طَلْحَةَ فَأَغْلَقُوا عَلَيْهِمْ، فَلَمَّا فَتَحُوا كُنْتُ أَوَّلَ مَنْ وَلَجَ، فَلَقِيتُ بِلَالًا فَسَأَلْتُهُ : هَلْ صَلَّى فِيهِ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ؟ قَالَ : نَعَمْ، بَيْنَ الْعَمُودَيْنِ الْيَمَانِيَيْنِ.

Saalim apne walid se Abdullah bin Umar رضى اللٰه عنه se bayan karte hain ki Rasool صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ aur Osama bin zayd aur bilal wa Usman bin Abi Talha رضى اللٰه عنهم chaaro khaana kaaba ke andar gaye aur andar se darwaza band kar liya. Fir jab darwaza khola to mai pehla shakhs tha jo andar gaya. Meri mulaqat Bilal رضى اللٰه عنه se hui, mai ne pucha ki kya Nabi صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne andar namaz padhi hai? Unhone ne bataya ki "Haa! dono yemani sutoono ke darmiyan Aap صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne namaz padhi hai.

(Bukhari 1598)

Shaikh ibn Uthaymeen رحمه الله Sahih bukhari ki sharah me likhte hai:

Is baab se Imam Bukhari ne yeh batana chaha hai ki masajid aur kaaba wagairah ko zaroorat ke tehat band kiya ja sakta hai is me koi harj nahi, aur na kaha jaye ki: "Yeh Allah ke gharo me Allah ka naam lene se roka ja raha hai.

Kyunki ye maslehat, zaroorat aur haajat ke liye kabhi kabhar ka muamla hai.

_________

Deen Islaam me Halqi si Barish par bhi apke liye jayaz hai ke aap gharo me namaz padhe


. عَنْ أَبِي الْمَلِيحِ قَالَ صَلَّيْتُ الْعِشَاءَ الْآخِرَةَ بِالْبَصْرَةِ وَمُطِرْنَا ثُمَّ جِئْتُ أَسْتَفْتِحُ قَالَ فَقَالَ لِي أَبُو أُسَامَةَ رَأَيْتُنَا مَعَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ زَمَنَ الْحُدَيْبِيَةِ مُطِرْنَا فَلَمْ تَبُلَّ السَّمَاءُ أَسَافِلَ نِعَالِنَا فَنَادَى مُنَادِي النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَنْ صَلُّوا فِي رِحَالِكُمْ


Abu al Malih kehte hai ke ek daf mene bashra me Isha ki namaz padhi aur fir barish shuru ho gayi fr me ghar ko agya aur mene darwaza khat-khataya, to Abu Usama رضي الله عنه kehte hai :-

Hum Rasulallah ﷺ ke sath Hudaibiya ke mauqe par sath the, jab barish shuru hui aur itni barish na hui ke hamare jute pani me ho jaye bawajud iske Rasulallah ﷺ ne farmaya

صلوا في رحالكم

Apne Huzre me namaz padho

(Musnad Ahmed 20704)

Yeh Hadees is baat par Daleel hai ke halqi se barish me bhi gharo me namaz ada karna jayaz hai.

Ab dusri hadees dekhe jisme Nabi ﷺ kaise tashaddud pasand logo ko data karte the.

Imam Bukhari Is rivayat ko Apne Ba'ab:-Deen ke Muamle me Gehrayi me Jana aur behas Karna, aur Mubaligah (exaggerating) Karna

بَابُ مَنْ لَمْ يُوَاجِهِ النَّاسَ بِالْعِتَابِ.

Un logo ka radd karna jo Rasulallah ﷺ ke hukm aaane ke baad bahane dhundte hai


Aisha رضي الله عنها se marvi hai wob kheti hai :-

: صَنَعَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ شَيْئًا فَرَخَّصَ فِيهِ ، فَتَنَزَّهَ عَنْهُ قَوْمٌ ، فَبَلَغَ ذَلِكَ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَخَطَبَ فَحَمِدَ اللَّهَ ، ثُمَّ قَالَ : مَا بَالُ أَقْوَامٍ يَتَنَزَّهُونَ عَنِ الشَّيْءِ أَصْنَعُهُ ، فَوَاللَّهِ إِنِّي لَأَعْلَمُهُمْ بِاللَّهِ وَأَشَدُّهُمْ لَهُ خَشْيَةً .

Rasulallah ﷺ ne koi kaam kiya aur logo ko bhi uss ki ijazat de di, lekin kuch logo ne usko na karna acha jana , jab Rasulallah ﷺ ko is baat ki khabar hui tb aapne khutba diya aur Allah ki hamd ke baad farmaya ke in logo ko kya hua hai jo iss kaam se parhez karte hai, jo me karta hu Allah ki qasm me in Sab se jyada janta hu aur in sabse jyada Allah se darne wala hu

(Sahi Bukhari 6101)

_________

Jab Masajid kisi waba , ya Bimari ki Wajah se band ki gayi

Imam Dhahabi رحمه الله :- kehte hai

وفي سنة ثمان مبدأ فتنة البساسيري، وخطب بالكوفة وواسط وبعض القرى للمستنصر العبيدي ، وكان القحط عظيما بمصر وبالأندلس، وما عهد قحط ولا وباء مثله بقرطبة، حتى بقيت المساجد مغلقة بلا مصل، وسمي عام الجوع الكبير


448 hijri me بساسیری fitna shuru hua.. uss ne mustansar Ubaidi ke liye kufa Aur ba'az ilaqe sath milaye aur Qurtuba me Qahat aur Waba itni hui ke usse jaise kabhi na hui. Hatta ke Masajid band ho gayi aur namazi masajid me na the aur uss saal ka naam badi bhook ka saal hua.

(Siyar Alam Nabula 18/311)
_________

Kya khauf ki wajah se koi shaqs Masjid me Namaz padhne se ruk jaye

Ibn Qudaamah رحمه الله kehte hai :-

al-Mughni (1/366):

" وَيُعْذَرُ فِي ترك الجماعة والجمعة الْخَائِفُ ; لِقَوْلِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم : ( الْعُذْرُ : خَوْفٌ أَوْ مَرَضٌ ) .

وَالْخَوْفُ , ثَلَاثَةُ أَنْوَاعٍ : خَوْفٌ عَلَى النَّفْسِ , وَخَوْفٌ عَلَى الْمَالِ , وَخَوْفٌ عَلَى الْأَهْلِ " انتهى .

Jis kisi ko koi khauf ho uske liye jayz hai ke woh Jamat ke sath Namaz na padhe ya Jumah bhi, kyu ki Rasulallah ﷺ ne farmaya :- jayz wujuhat me se hai ek Khauf/Darr aur Bimari hai..

khauf / Darr 3 tarah ke hote hai

1) Khud ki Jaan ka khauf
2) Maal aur Jaidad ka khauf
3) Family (Ahl-o-ayal) ka khauf.

_________

Coronavirus ke chalte Masajid ka band hona aur Sayedna Abu Bakr رضي الله عنه ke sunehre alfaaz hamare liye sabaq hai

Ess Gum ke waqt me jabke Coronavirus ke felao ko rokne ke liye Masajid tak band kiya ja rha hai, Sayedna Abu Bakr Siddique رضي الله عنه ke sunehre alfaaz yaad aate hai jo unhone isse bhi jyada Gum-zadah surat-e-haal ke waqt kahe the.


فَمَنْ كَانَ مِنْكُمْ يَعْبُدُ مُحَمَّدًا صلى الله عليه وسلم فَإِنَّ مُحَمَّدًا صلى الله عليه وسلم قَدْ مَاتَ، وَمَنْ كَانَ يَعْبُدُ اللَّهَ فَإِنَّ اللَّهَ حَىٌّ لاَ يَمُوتُ، قَالَ اللَّهُ تَعَالَى: ﴿وَمَا مُحَمَّدٌ إِلَّا رَسُولٌ قَدْ خَلَتْ مِن قَبْلِهِ الرُّسُلُ ۚ أَفَإِن مَّاتَ أَوْ قُتِلَ انقَلَبْتُمْ عَلَىٰ أَعْقَابِكُمْ ۚ وَمَن يَنقَلِبْ عَلَىٰ عَقِبَيْهِ فَلَن يَضُرَّ اللَّـهَ شَيْئًا ۗ وَسَيَجْزِي اللَّـهُ الشَّاكِرِينَ﴾

Pas tum me se jo koi Muhammad ﷺ ki ibadat kiya karta tha (woh jaan le ke) beshaq Muhammad ﷺ wafaat pa chuke hai, aur jo koi Allah ki ibadat kiya karta tha to beshaq Allah hamesha zindah rehne wala hai jisse kabbi maut nhi aane wali

Allah farmata hai :- Muhammad ﷺ sirf Rasul hi hai un se pehle bhi bohutt se Rasul ho chuke hai kya agar in ka inteqal ho jaye , ya shaheed ho jaye, to kiya tum islaam se apni ediyo ke bal phir jaoge, aur joi koi fir jaye apni ediyo par to hargiz Allah ka.kuch na bigadega, anqareeb Allah shukar guzaro ko nek badla de (3:144)


(Sahi Bukhari 4454)

✅ To yaad rakhe ke masajid me ba-jamaat namaz ki adaygi waqt taur par mauqoof hui hai ,Allah ki ibadat ki farziyat nhi

✅ Aur yeh Bhi yaad rakhe ke Masajid ke Darwaze band hue hai , lekin tauba ke darwaze abbi bhi khule hai

Saudi Ulemao ka fatawa dekhe :-


-Shaikh Sharukh
-Shaikh Mohsin
-Br Kashif Salafi
-Islamqa
-Muhammad Saleh
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Ibnatu Ali Masail 0

Similar threads


Top