KITABON SE ILM HASIL KARNE KI KHARAABIYAN AUR GUMRAAHIYAAN


KITABON SE ILM HASIL KARNE KI KHARAABIYAN AUR GUMRAAHIYAAN
Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SHAIKH SAALIH AL-FAUZAN hafizahullah "USOOL-US-SALASAH ki sharh mein likhte hain:

التعلم هنا معناه: التلقي عن العلماء والحفظ والفهم والإدراك، هذا هو التعلم، ليس المراد مجرد قراءة أو مطالعة حرة كما يسمونها هذا ليس تعلما إنما التعلم هو: التلقي عن أهل العلم مع حفظ ذلك وفهمه وإدراكه تمامًا، هذا هو التعلم الصحيح، أما مجرد القراءة والمطالعة فإنها لا تكفي في التعلم وإن كانت مطلوبة، وفيها فائدة لكنها لا تكفي، ولا يكفي الاقتصار عليها.
([Sheikh Mohammad Bin Abdul-Wahaab rahimahullah ka yeh farmana ke] un teen masail yani ALLAH TA'ALA ki Maarfat ,RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ki Maarfat aur deen islam ki Maarfat yani ilm haasil karna wajib hai) "Yahan ILM(haasil karne) se morad ulama karaam se ilm haasil karna usay hifz karna, is ka feham o idraak haasil karna hai. is se yeh moraad nahi ke mehez padhai ya jis tarha naam diya jata hai "AZADANA MUTALEA" (self-studies) kiya jaye yeh talim nahi balkay taleem (ilm haasil karna) yeh hai ke: ulama-e-keraam se haasil kya jaye is ke hifz, feham aur mukammal idraak ke sath, yeh hai sahih maano mein ilm haasil karna, jabke sirf khud kitaab padhna aur mutalia karna agarcheh matloob to hai magar taleem ke liye kaafi nahi, is mein faida bhi hai magar yeh kifayat nahi karta aur is par eqtesaar karna kaafi nahi."

SHAIKH SAALIH AL-FAUZAN hafizahullah mazeed farmate hain:

ولا يجوز التتلمذ على الكتب كما هو الواقع في هذا الوقت، لأن التتلمذ على الكتب خطير جدا يحصل منه مفاسد وتعالم أضر من الجهل، لأن الجاهل يعرف أنه جاهل ويقف عند حده، لكن المتعالم يرى أنه عالم فيحل ما حرم الله، ويحرم ما أحل الله، ويتكلم ويقول على الله بلا علم فالمسألة خطيرة جدا.
"Kitabon ka talammuz (kitabon se illm haasil karna) ya shagirdi ikhtiyar karna jaaiz nahi jaisa ke logon ki mojooda haalat hai, kionke kitabon ka talammuz ikhtiyar karna bohat khatarnaak hai jis se bohat mufsasid(fasaad) paida hote hain aur is tarah ki taleem jahel se ziyada nuqsaan dah hai, kionke jaahil jaanta hai ke woh jaahil hai lehaza woh apni had par ruk jata hai, lekin is tarha se ilm haasil karne waala ( kitabon se ilm haasil karne waala) samjhta hai ke woh aalim hai to woh ALLAH TA'ALA ke halal kardah ko haraam aur haraam kardah ko halal kar baithta hai, aur ALLAH TA'ALA ke baare mein baghair ilm ke boltaa aur kalaam karta hai lehaza yeh masla bohat khatarnaak hai."

فالعلم لا يؤخذ من الكتب مباشرة إنما الكتب وسائل، أما حقيقة العلم فإنها تؤخذ عن العلماء جيلًا بعد جيل والكتب إنما هي وسائل لطلب العلم.
"Chunacheh ilm kitabon se barah-e-raast haasil nahi kya jata balkay kitaaben to waseela hain, jabke haqeeqi maano mein ilm to ulama-e-keraam se haasil hota hai jo ek nasal se doosri nasal tak muntaqil hota rehta hai, aur kitaaben to ilm haasil karne ke wasail mein se hain."

(الكتاب: شرح الأصول الثلاثة المؤلف: صالح بن فوزان بن عبد الله الفوزان الناشر: مؤسسة الرسالة الطبعة: الأولى - 1427 هـ - 2006 م)
(Sharah Usool-us-Salaasah lil-Saalih al-Fauzaan, page:41-41, Published:Muassasah al-Risalah)
 
Last edited:

Similar threads


Top