Ibnatu Ali

Member
Koi Sahih Hadees Quran Ke Mukhaalif Nahi Hai

Tehreer: Shaikh Ghulaam Mustafa Zaheer Amanpoori Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Munkireen e Hadees dar-haqeeqat munkireen e Quran hain, un ke adm e fahem o ilm ke baare mein Rasool kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ka irshaad e giraami hai:
يَقْرَءُونَ الْقُرْآنَ لَا يُجَاوِزُ حُلُوقَهُمْ أَوْ حَنَاجِرَهُمْ، يَمْرُقُونَ مِنَ الدِّينِ مُرُوقَ السَّهْمِ مِنَ الرَّمِيَّةِ​
Tarjumah: Woh Quran padhenge, lekin woh un ke halqon se tajawuz nahi karega, woh deen se is tarah nikal jaayenge, jis tarah teer shikaar se nikal jaata hai.
[Sahih Bukhari: 6931]

Yeh hadees khawaarij (munkireen e Hadees waghera) ke adm e fahem o ilm par waazeh suboot hai kiunki woh quraan o hadees ki tauheen aur musalmaanon ki takfeer ke murtakib hain.

Hafiz Ibn Hajar Rahimahullah likhte hain:
وَرَدُّ الرِّوَايَاتِ الصَّحِيحَةِ وَالطَّعْنُ فِي أَئِمَّةِ الْحَدِيثِ الضَّابِطِينَ مَعَ إِمْكَانِ تَوْجِيهِ مَا رَوَوْا مِنَ الْأُمُورِ الَّتِي أَقْدَمَ عَلَيْهَا كَثِيرٌ مِنْ غَيْرِ أَهْلِ الْحَدِيثِ، وَهُوَ يَقْتَضِي قُصُورَ فَهْمِ مَنْ فَعَلَ ذَلِكَ مِنْهُمْ، وَمِنْ ثَمَّ قَالَ الْكِرْمَانِيُّ: لَا حَاجَةَ لِتَخْطِئَةِ الرُّوَاةِ الثِّقَاةِ​
Tarjumah: Bahut se ghair ahl e hadeeson ne Sahih Ahadees aur saabit-shudah riwaayaat ka radd o inkaar kiya hai, huffaz aimma e Hadees par ta’an-zani ki hai, yeh aqdaam un ke naaqis ul aql (kam aql) aur qaasir ul fahem (fahem ke kam) hone par daleel hai, isi wajah se Kirmaani (Bukhari ke Shaareh) ne kaha hai ke siqah raawiyon ki taraf khaamakhwaah ghalati ki nisbat karne ki zaroorat nahi (balke un ki riwayaton mein jama o taufeeq aur tatbeeq dena zaroori hai).
[Fatah ul Baari: 13/401]

Munkireen e Hadees ne quraan o hadees ki ittebaa’ ki bajaaye aql e soo aur nafsaani khwaahishaat ki parastish shuru kar di hai, un ke baatil gumaan ke mutabiq hadees shar’ee daleel nahi hai, woh hadees ko quran ki zidd khayaal karte hain jabki jahaan quran Wahi hai, wahaan hadees bhi Wahi hai, Wahi haqq hai, kya haqq haqq ke saath takra sakta hai? Ek haq ko doosre haqq par pesh karne ki kya zaroorat reh jaati hai? Ek musalmaan ka to yeh shewah hona chaahiye ke jo kuch quraan o hadees ki soorat mein Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ne diya hai, us ko dil o jaan se barhaq tasleem kare aur us par Imaan laaye.
Jaisa ke Imam Zohri farmaate hain:
عَلَى اللَّهِ الْبَيَانُ، وَعَلَى الرَّسُولِ الْبَلَاغُ، وَعَلَيْنَا التَّسْلِيمُ​
Tarjumah: Bayan karna Allah Taala ka kaam hai, Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ke zimme pahunchaana hai aur sar e tasleem kham karna hum par laazim hai.
[Az-Zuhd by Ibn e Asim: 71, Hilyatul Awliya By Abu Nu’aim: 3/369, Aqeedatus Salaf wa Ashabul Hadees by Abu Ismail As-Saabooni (alfaaz isi ke hain), Taghleeq ut Taleeq by Ibn e Hajar: 5/365. Iski sanad Sahih hai]

Yeh to huwa mominon ka wateerah, jabki gumraah aur zaalim quraan o hadees mein takraao paida karne ki mazmoom koshish karta hai, is tarah woh Imaan ki daulat se haath dho baithta hai, quraan o hadees mein koi ta’aruz nahi, haan! Zaahiri taur par ta’aruz maujood hai, haqeeqat mein koi ta’aruz nahi, ahl e Imaan ilm aur Imaan ke noor se ta’aruz ko rafa kar dete hain jabki mua’anideen qusoor e feham ki bunyaad par gumraahi aur zalaalat ke ghatatop andheron mein doob jaate hain. Hafiz Khattabi likhte hain:
فَإِنَّه يُحَذِّرُ بِذَلِكَ مُخَالَفَةَ السُّنَنِ الَّتِي سَنَّهَا رَسُولُ اللَّهِ ـ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ـ مِمَّا لَيْسَ لَهُ فِي الْقُرْآنِ ذِكْرٌ عَلَى مَا ذَهَبَ إِلَيْهِ الْخَوَارِجُ وَالرَّوَافِضُ فَإِنَّهُمْ تَعَلَّقُوا بِظَاهِرِ الْقُرْآنِ وَتَرَكُوا الَّتِي قَدْ ضُمِّنَتْ بَيَانَ الْكِتَابِ فَتَحَيَّرُوا وَضَلُّوا​
Tarjumah: Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ki woh sunnatein jin ka zikr quran mein nahi, un ki mukhalafat se bachna chaahiye, khaarjiyon aur raafiziyon ne sirf quran ke zahir ko liya hai, jabki un Ahadees ko chor diya jo quran ki tauzeeh aur tashreeh par mushtamil hain, is liye woh gumraah ho gaye hain.
[Ma’alim us Sunan: 4/298

Baqiyyah bin Waleed (Jumhoor ke nazdeek siqah hain) kehte hain ke Imam Awzaa’ee ne mujhe farmaaya, aise logon ke baare mein aap ki kya raaye hai jo apne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki hadees se bughz rakhte hain? Main ne arz ki, woh bure log hain, Aap ne farmaaya:
لَيْسَ مِنْ صَاحِبِ بِدْعَةٍ تُحَدِّثُهُ عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بِخِلَافِ بِدْعَتِهِ بِحَدِيثٍ إِلَّا أَبْغَضَ الْحَدِيثَ​
Tarjumah: Jis bidati ko bhi aap us ki bidat ke khilaaf hadees sunaayenge, woh use bura samjhega.
[Sharf Sharaf Ashab ul Hadees by Khateeb Baghdaadi: 150, Al-Hujjah Fi Bayan Al-Mahajjah by Abu Qasim Ismail Asbahani: 1/207]

Imam Aajurri farmaate hain:
يَنْبَغِي لِأَهْلِ الْعِلْمِ وَالْعَقْلِ إِذَا سَمِعُوا قَائِلًا يَقُولُ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي شَيْءٍ قَدْ ثَبَتَ عِنْدَ الْعُلَمَاءِ، فَعَارَضَ إِنْسَانٌ جَاهِلٌ فَقَالَ: لَا أَقْبَلُ إِلَّا مَا كَانَ فِي كِتَابِ اللَّهِ تَعَالَى، قِيلَ لَهُ: أَنْتَ رَجُلُ سُوءٍ، وَأَنْتَ مِمَّنْ يُحَذِّرُنَاكَ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، وَحَذَّرَ مِنْكَ الْعُلَمَاءُ​
Tarjumah: Ahl e ilm o aql ko chaahiye ke jab woh kisi ko sahih saabit farmaan e Rasool bayan karte huwe sunein aur koi jaahil insaan usey sun kar yeh kahe ke main sirf Quran ko maanta hun, usey kaha jaaye ke tu bura insaan hai, tujh jaise logon se hamein Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam aur ulaama e kiraam ne khabardaar kiya tha.
[Ash-Shari’ah: 49]

Imam Shafa’ee Rahimahullah farmaate hain:
لا تخالف سنة لرسول الله صلي الله عليه وسلم كتاب الله بحال​
Tarjumah: Kisi bhi soorat mein Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki sunnat Quran e Kareem ke mukhalif nahi ho sakti.
[Ar-Risalah by Imam Shafa’ee: 546]

Muhaqqiq Shatibi likhte hain:
التَّعَارُضُ إِمَّا أَنْ يُعْتَبَرَ مِنْ جِهَةِ مَا فِي نَفْسِ الْأَمْرِ، وَإِمَّا مِنْ جِهَةِ نَظَرِ الْمُجْتَهِدِ، أَمَّا مِنْ جِهَةِ مَا فِي نَفْسِ الْأَمِْ؛ فَغَيْرُ مُمْكِنٍ بِإِطْلَاقٍ​
Tarjumah: Taa’ruz ki do qismein hain, ya to haqeeqi hoga ya sirf mujtahid ki nazar mein hoga, (Quran o hadees mein) haqeeqi ta’aruz bilkul na-mumkin hai.
[Al-Muwafaqaat: 4/294]

Jo log yeh kehte hain ke hadees Quran par pesh karo, agar Quran ke muwafiq ho to le lo, agar mukhalif ho to chor do, hamaara un se sawaal hai ke jab Quran Quran se takraaye, us soorat mein tum Quran ki kis aayat ko loge aur kis ko choroge? Jo un ka jawaab hoga, wahi hamaara Quran o Hadees mein ta’aruz ke hawaale se jawaab ho jaayega. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
لَا أُلْفِيَنَّ أَحَدَكُمْ مُتَّكِئًا عَلَى أَرِيكَتِهِ، يَأْتِيهِ الْأَمْرُ مِنْ أَمْرِي مِمَّا أَمَرْتُ بِهِ أَوْ نَهَيْتُ عَنْهُ، فَيَقُولُ: لَا نَدْرِي، مَا وَجَدْنَا فِي كِتَابِ اللَّهِ اتَّبَعْنَاهُ​
Tarjumah: Main tum mein se kisi ko apne takht par tek lagaaye hargiz us haal mein na paaon ke us ke paas mere ahkaam aur faislon mein se koi hukm aaye jin ka mein ne hukm diya hai ya jin se roka hai aur woh yeh kahe: Yeh hum nahi jaante, hum ne to Allah ki kitaab mein jo kuch paaya bas usi ki pairwi ki hai.
[Abu Dawood: 4605, Tirmizi: 2663, Ibne Majah: 13, Musnad Humaidi: 551, Dalail un Nubuwwah by Baihaqi: 6/549. Iski sanad Sahih hai]
Is Hadees ko Imam Tirmizi Rahimahullah ne Hasan Sahih, neez Imam Ibn e Hibban (13) aur Imam Haakim (1/108, 109) ne Sahih kaha hai. Hafiz Zahbi ne un ki muwafaqat ki hai , Hafiz Baghwi ne bhi is ko Hasan qaraar diya hai. (Sharh us Sunnah: 1/201)

Hafiz Baghwi is hadees ke tahet likhte hain:
وَفِي الْحَدِيثِ دَلِيلٌ عَلَى أَنَّهُ لَا حَاجَةَ بِالْحَدِيثِ إِلَى أَنْ يُعْرَضَ عَلَى الْكِتَابِ، وَأَنَّهُ مَهْمَا ثَبَتَ عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ حُجَّةً بِنَفْسِهِ​
Tarjumah: Yeh Hadees is baat par dalaalat karti hai ke Hadees ko Quran par pesh karne ki qat’ee taur par koi zaroorat nahi, balki jab Hadees Sahih ho to woh bazaat e khud hujjat e shar’ee hogi.
[Sharh us Sunnah: 1/201-202]

Quran aur hadees ke mabain taaruz ki misaal mulahza farmaayen:
Mutawatir hadees hai ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya:
إِنَّكُمْ سَتَرَوْنَ رَبَّكُمْ كَمَا تَرَوْنَ هَذَا الْقَمَرَ، لَا تُضَامُونَ فِي رُؤْيَتِهِ​
Tarjumah: Yaqeenan an-qareeb tum apne Rabb ko dekhoge, jis tarah bheed ke baghair chaand dekhte ho .
[Sahih ul Bukhari: 7434, Muslim : 633]

Quran e Majeed mein hai ke jab Musa Alaihissalam ne Allah Taala se deedaar ki darkhwaast ki to Allah Taala ne farmaaya:
لَنْ تَرَانِیْ​
Tarjumah: (Aye Musa!) Aap mujhe hargiz nahi dekh sakte.
[Surah Al-A’raaf, Surah No: 7 Ayat No: 143]

Hadees e paak mein deedaar e ilaahi ka suboot hai aur Quran e paak us ki nafi kar raha hai, munkireen e Hadees is ta’aruz ka jawaab yeh dete hain ke yeh hadees “Sahih” nahi, bil-farz is ko “Sahih” maan liya jaaye to is se muraad “ilm” hai na ke deedar e ilaahi. Daleel ke taur par woh Allah Taala ka yeh farmaan pesh karte hain:
أَلَمْ تَرَ أَنَّ اللَّهَ يُسَبِّحُ لَهُ مَنْ فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ​
Tarjumah: Kya Aap ko ilm nahi ke aasman o zameen ki har cheez us ki tasbeeh karti hai?
(Surah An-Noor, Surah No: 24 Ayat No: 41)
To is ta’aruz ka jawaab yeh hai ke yeh Hadees Mutawaatir hai, is ki sihat (sahih hone) mein koi shuba nahi, Quran ne jis deedar e ilaahi ki nafi ki hai, us ka talluq duniya se hai, Hadees e paak ne jis ka isbaat kiya hai, us ka talluq aakhirat se hai, yani duniya mein koi aankh Allah Taala ko nahi dekh sakti, albattah aakhirat mein woh mominon ko apna deedaar dega, lihaaza ta’aruz khatam huwa, yahan ruyat (dekhne) ki ta’beer ilm se karna Quran o Hadees aur Sahaba e Kiraam aur Salaf e Saliheen ke muttafiqah feham aur tasreehaat ke khilaaf hai.

Allah Taala ka irshaad hai:
وُجُوهٌ يَوْمَئِذٍ نَاضِرَةٌ۞ إِلَىٰ رَبِّهَا نَاظِرَةٌ​
Tarjumah: Us din (Qayamat ko mominon ke) chehre shagufta aur ba-raunaq honge, apne Rabb ki taraf dekhte honge.
[Surah Al-Qiyamah, Surah No: 75 Ayat No: 22-23]

Nazar ki nisbat chehre ki taraf ki gayi hai, jo ke aankhon ka mahal hai, is ko “الیٰ” ke saath muta’addi kiya gaya hai, ma’loom huwa ke yeh ruyat basari hogi na ke qalbi, yeh ahle jannat par Allah Taala ka ehsaan e azeem hoga aur jo munkir hoga, woh us se mehroom rahega. Unki is baatil taweel ka radd usi Hadees mein maujood hai, jab Sahaba e Kiraam ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se roz e qiyamat hone waale deedar e ilaahi ke baare mein poocha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya:
هَلْ تُضَارُّونَ فِي رُؤْيَةِ الشَّمْسِ بِالظَّهِيرَةِ صَحْوًا لَيْسَ مَعَهَا سَحَابٌ ؟ وَهَلْ تُضَارُّونَ فِي رُؤْيَةِ الْقَمَرِ لَيْلَةَ الْبَدْرِ صَحْوًا لَيْسَ فِيهَا سَحَابٌ ؟ قَالُوا : لَا يَا رَسُولَ اللَّهِ. قَالَ: مَا تُضَارُّونَ فِي رُؤْيَةِ اللَّهِ تَبَارَكَ وَتَعَالَى يَوْمَ الْقِيَامَةِ إِلَّا كَمَا تُضَارُّونَ فِي رُؤْيَةِ أَحَدِهِمَا​
Tarjumah: Jab sooraj nisf un nahaar par ho aur us ke saath koi baadal na ho to kya tumhein sooraj dekhne mein koi diqqat ya dushwaari hoti hai? Aur jab chaudahwin raat ko aasman par chaand jalwah aaraa ho aur us par baadal bhi na ho to kya chaand dekhne mein koi takleef hoti hai? Sahaba ne arz ki, nahi aye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya: Jis tarah tum duniya mein sooraj ya chaand ko dekhte ho, usi tarah roz e qayamat Allah tabaarak o Taala ka deedaar kar loge.
[Sahih Muslim: 183]

Imam Ibn e Qutaibah likhte hain:
وَلَوْ كَانَ اللَّهُ تَعَالَى لَا يُرَى فِي حَالٍ مِنَ الْأَحْوَالِ، وَلَا يَجُوزُ عَلَيْهِ النَّظَرُ. لَكَانَ مُوسَى عَلَيْهِ السَّلَامُ قَدْ خَفِيَ عَلَيْهِ مِنْ وَصْفِ اللَّهِ تَعَالَى مَا عَلِمُوهُ​
Tarjumah: Agar kisi soorat mein bhi Allah Taala ka deedaar na-mumkin ho to yeh laazim aayega ke Allah Taala ke jis wasf ko Musa Alaihissalam na jaan sake, use munkireen e Hadees jaan gaye .
[Taweel Mukhtalif ul Hadees: 299]

Munkireen e Hadees ka khud saakhta (khud ka banaaya huwa) usool baatil huwa ke Hadees ko Quran par pesh kiya jaaye, agar Quran ke muwaafiq ho to le li jaaye aur agar Quran ke mukhalif ho to chor di jaaye. Khoob yaad rahe ke koi Sahih Hadees Quran ke mukhalif nahi hoti, zaahiri mukhalafat ho sakti hai, haqeeqat mein koi mukhalafat nahi ho sakti, lihaaza aik Sahih, Marfoo’ aur Muttasil Hadees pesh ki jaaye jo Quran ke khilaaf ho, Allah Taala ki taufeeq se hum us ta’aruz ko rafa kar denge, agar Quran ka zaahiri ta’aruz rafa ho sakta hai to Quran o Hadees ka zaahiri ta’aruz daur kiun nahi ho sakta? Agar door na ho to yeh samajh ka qusoor hoga.

Munkireen e Hadees is marz mein mubtala hain, shaitaan un ki taraf baatil ilqaa karta hai, un ki aqlen saqeem aur faasid ho chuki hain, shubhaat o wasaawis ke andheron se un ke seene labrez ho chuke hain, un ki daleelen jo dar-haqeeqat shubhaat hain, baatil saabit ho chuki hain, yeh Allah Taala ke is farmaan ke misdaaq hain:
وَمَنْ يُهِنِ اللَّهُ فَمَا لَهُ مِنْ مُكْرِمٍ​
Tarjumah: Aur jise Allah zaleel kare, us ko koi izzat dene waala nahi, yaqeenan Allah jo chahta hai, so karta hai.
[Surah Al-Hajj, Surah No: 22 Ayat No: 18]

Neez farmaaya:
أُولَٰئِكَ الَّذِينَ لَعَنَهُمُ اللَّهُ فَأَصَمَّهُمْ وَأَعْمَىٰ أَبْصَارَهُمْ​
Tarjumah: Yeh woh log hain, jin par Allah ne la’nat ki hai, phir un ko behra kar diya aur un ki aankhon ko andha kar diya.
[Surah Mohammad, Surah No: 47 Ayat No: 23]

Hadees jo haqq hai, us ko na sun sakte hain, na dekh sakte hain, na samajh sakte hain.

Imam Abul Qasim Islmail bin Mohammad Al-Asbahaani ne kiya khoob likha hai:
وَقَول من قَالَ: تعرض السّنة عَلَى الْقُرْآن فَإِن وَافَقت ظَاهره وَإِلَّا استعلمنا ظَاهر الْقُرْآن وَتَركنَا الحَدِيث، فَهَذَا جهل لِأَن سنة رَسُول الله - صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم َ - مَعَ كتاب الله عَزَّ وَجَلَّ تُقَام مقَام الْبَيَان عَن الله عَزَّ وَجَلَّ، وَلَيْسَ شَيْء من سنَن رَسُول الله - صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم َ - يُخَالف كتاب الله لِأَن الله عَزَّ وَجَلَّ أعلم خلقه أَن رَسُول الله - صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم َ - يهدي إِلَى صِرَاط مُسْتَقِيم فَقَالَ: {وَإِنَّكَ لَتَهْدِي إِلَى صِرَاطٍ مُسْتَقِيم} وَلَيْسَ لنا مَعَ سنة رَسُول الله - صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم َ - من الْأَمر شَيْء إِلَّا الِاتِّبَاع وَالتَّسْلِيم وَلَا يعرض عَلَى قِيَاس وَلَا غَيره، وكل مَا سواهَا من قَول الْآدَمِيّين تبع لَهَا، وَلَا عذرا لأحد يتَعَمَّد ترك السّنة، وَيذْهب إِلَى غَيرهَا، لِأَنَّهُ لَا حجَّة لقَوْل أحد مَعَ رَسُول الله - صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم - إِذا صَحَّ​
Tarjumah: Munkireen e Hadees ka yeh kehna ke sunnat ko quraan par pesh kiya jaayega, agar woh Quran ke muwafiq hue to theek warna hum Quran ke zahir ko le lenge aur Hadees ko chor denge, niri jihaalat hai kiunki sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Quran ke muwafiq hai balki Allah ki taraf se Quran ki tafseer o bayan aur tashreeh hai, koi Sunnat Quran ke mukhalif o mu’aariz nahi hai, kiunki Allah Taala ne apni makhlooq ko is baat se ba-khabar kiya hai ke Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam seedhi raah ki rehnumaayi farmaate hain, farmaaya:
وَإِنَّكَ لَتَهْدِي إِلَى صِرَاطٍ مُسْتَقِيم​
Tarjumah: (Aap zaroor zaroor siraat e mustaqeem ki irshaad o rehnumaayi farmaate hain). (Surah Ash-Shoora, Surah No: 42 Ayat No: 52). Hamaare liye Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ke ittebaa o tasleem ke baghair koi chaarah nahi, neez Hadees ko Qayaas waghera par bhi pesh nahi kiya jaayega, ummatiyon ke aqwaal o af’aal to hadees ke tabe’ hain (agar Hadees ke muwafiq hon to le lenge, warna chor denge) kisi ke liye jaan boojh kar sunnat ko chor kar kisi doosri taraf jaane ki gunjaish nahi hai, jab Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ka qaul Sahih saabit ho jaaye to us ke khilaaf kisi ka qaul hujjat nahi hai.
[Al-Hujjah Fi Bayan Al-Mahajjah by Abu Qasim Ismail Asbahani: 2/425-426]


Ahle sunnat ke Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah farmaate hain:
من رد حَدِيث رَسُول الله - صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم َ - فَهُوَ عَلَى شفا هلكة​
Tarjumah: Jis ne Hadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ko radd kar diya, woh tabaahi aur barbaadi ke dahaane par khada hai.
[Al-Hujjah Fi Bayan Al-Mahajjah by Abu Qasim Ismail Asbahani: 1/207, Manaqib ul Imam Ahmad by Ibn ul Jawzi: 182. Iski Sanad Hasan hai]

Abu Ismail Al-Asbahaani likhte hain:
Aadmi par ahle bidat se bughz laazim hai, woh jahaan bhi hon, taaki woh Allah ki khaatir mohabbat aur Allah ki khaatir bughz o nafrat karne waalon mein se ho jaaye, ahle sunnat se mohabbat aur ahle bidat se bughz o nafrat ki kuch alaamat hain, jab kisi shakhs ko aap Imam Maalik bin Anas, Imam Sufyan bin Sa’eed Ath-Thauri, Imam Abdurrehman bin Mehdi, Imam Abdullah bin mubarak, Imam Mohammad bin Idrees Ash-Shafa’ee aur deegar sahih ul aqeedah aimma e kiraam Rahimahumullah ka zikr e khair karte dekhen, to jaan len ke woh ahle sunnat mein se hai aur jab kisi ko dekhen ke woh Allah ke deen aur us ki kitaab mein jhagda kar raha hai, use kaha jaata hai ke Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne yun farmaaya hai, to woh kehta hai ke hamein Allah ki kitaab kaafi hai, jaan lein ke woh bidati hai, jab kisi aadmi ko kaha jaaye ke tu hadees kiun nahi likhta? Woh kehta hai ke aql behtar hai, jaan len ke woh bidati hai, jab aap dekhen ke koi ahle falsafah o hindsah ki madah saraayi kar raha hai, to jaan len ke woh gumraah hai, jab kisi ko dekhen ke woh ahle hadees ko “hashwiyah, mushabbah aur nasibah” keh raha hun, to jaan len ke woh bidati hai, jab koi sifaat e ilaahi ki nafi ya un ko makhlooq se tashbeeh de raha ho, to jaan len ke woh gumraah hai.
[Al-Hujjah Fi Bayan Al-Mahajjah by Abu Qasim Ismail Asbahani: 2/539-540]

Allah Rabb ul Izzat ka irshaad e giraami hai:
مَنْ يُطِعِ الرَّسُولَ فَقَدْ أَطَاعَ اللَّهَ​
Tarjumah: Jis ne Rasool ki ita’at ki, dar-haqeeqat us ne Allah ki ita’at ki.
[Surah An-Nisa, Surah No: 4 Ayat No: 80]

Yeh ayat e kareemah waazeh daleel hai ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ke aqwaal, af’aal aur ahwaal Allah ki wahi hain, jab Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ke aqwaal o af’aal Allah ki wahi ke taabe’ hain, to un ko Quran e Kareem par pesh karne ki kiya zaroorat baaqi reh jaati hai?


Hafiz Ibn e Hazm farmaate hain:
فصح أن كلام رسول الله - صلى الله عليه وسلم - كله في الدين وحي من عند الله عز وجل ولا شك في ذلك، ولا خلاف بين أحد من أهل اللغة والشريعة في أن كل وحي نزل من عند الله تعالى فهو ذكر منزَّل​
Tarjumah: Yeh laraib haqeeqat hai ke deen ke mutalliq Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki saari ki saari baatein wahi e ilaahi hain, Allah Taala ki taraf se naazil hone waali wahi ke munazzal minallah zikr hone mein lughat o Shara mein koi khtilaaf nahi.
[Al-Ihkaam by Ibn e Hazm: 1/135]

Hassan bin Atiyyah Taba’ee Rahimahullah farmaate hain:
كَانَ جِبْرِيلُ يَنْزِلُ عَلَى رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بِالسُّنَّةِ ، كَمَا يَنْزِلُ عَلَيْهِ بِالْقُرْآنِ فُيُعَلِّمُهُ إِيَّاهَا كَمَا يُعَلِّمُهُ الْقُرْآنَ​
Tarjumah: Jibraeel e Ameen Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam par sunnat ke liye bhi naazil hote the, jis tarah Quran ke liye naazil hote the, aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko sunnat ki waise hi taleem dete the, jis tarah Quran ki taleem dete the.
[As-Sunnah by Mohammad Bin Nasr Al-Marwazi: 28, 116]

Abul Baqa Al-Husaini Al-Hanafi kehte hain:
والحاصل أن القرآن والحديث يتحدان في كونهما وحيا منزلا من عند الله بدليل قوله تعالى: إِنْ هُوَ إِلَّا وَحْيٌ يُوحَىٰ​
Tarjumah: Hasil e kalaam yeh ki Allah Taala ke qaul {إِنْ هُوَ إِلَّا وَحْيٌ يُوحَىٰ} (Surah An-Najm, Surah No: 53 Ayat No: 4) ke mutabiq Quran o Hadees dono wahi hone mein muttahid o muttafiq hain.
[Kulliyat by Abul Baqa Al-Husaini Al-Hanafi: 288]


Allama Shaukaani likhte hain:
قَدِ اتَّفَقَ مَنْ يُعْتَدُّ بِهِ مِنْ أَهْلِ الْعِلْمِ عَلَى أَنَّ السُّنَّةَ الْمُطَهَّرَةَ مُسْتَقِلَّةٌ بِتَشْرِيعِ الْأَحْكَامِ وَأَنَّهَا كَالْقُرْآنِ فِي تَحْلِيلِ الْحَلَالِ وَتَحْرِيمِ الْحَرَامِ​
Tarjumah: Mo’tabar ulaama e Islam sunnat e mutahharah ki mustaqil tashri’ee haisiyat par muttafiq hain, yaqeenan yeh halaal o haraam mein Quran ki tarah hai.
[Irshaad ul Fuhool by Allama Shaukaani: 33]

Neez farmaate hain:
أَنَّ ثُبُوتَ حُجِّيَّةِ السُّنَّةِ الْمُطَهَّرَةِ وَاسْتِقْلَالَهَا بِتَشْرِيعِ الْأَحْكَامِ ضَرُورَةٌ دِينِيَّةٌ وَلَا يُخَالِفُ فِي ذَلِكَ إِلَّا مَنْ لَا حَظَّ لَهُ في دين الإسلام​
Tarjumah: Sunnat e mutahharah ki hujjiyyat aur us ka ahkaam e shariyyah ka mustaqil masdar hone ka suboot zaroorat e deeni hai, is mein ikhtilaaf wahi karta hai, jis ka deen e Islam mein koi hissah nahi.
[Irshaad ul Fuhool by Allama Shaukaani: 33]


Irshaad e baari Taala hai:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ وَأُولِي الْأَمْرِ مِنْكُمْ​
Tarjumah: Aye ahl e Imaan! Allah Taala ki itaat karo aur Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki itaat karo aur Ulil Amr ki ita’at karo.
[Surah An-Nisa, Surah No: 4 Ayat No: 59]

Jab Allah Taala ne apni aur apne Rasool ki ita’at ka hukm diya to “أَطِيعُوا” ka segha e amr alag alag zikr farmaaya, jab “أُولِي الْأَمْرِ” ki ita’at ka hukm diya, to segha e amr nahi dohraaya, balke atf par iktifaa kiya, is se saabit huwa ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Ahadees mustaqil biz-zaat daleel hain, lihaaza aap ki Ahadees e mubarakah ko kitaabullah par pesh karne ki koi zaroorat nahi.

Allama Ibn ul Qayyim farmaate hain:
فَأَمَرَ تَعَالَى بِطَاعَتِهِ وَطَاعَةِ رَسُولِهِ، وَأَعَادَ الْفِعْلَ إعْلَامًا بِأَنَّ طَاعَةَ الرَّسُولِ تَجِبُ اسْتِقْلَالًا مِنْ غَيْرِ عَرْضِ مَا أَمَرَ بِهِ عَلَى الْكِتَابِ، بَلْ إذَا أَمَرَ وَجَبَتْ طَاعَتُهُ مُطْلَقًا، سَوَاءٌ كَانَ مَا أَمَرَ بِهِ فِي الْكِتَابِ أَوْ لَمْ يَكُنْ فِيهِ، فَإِنَّهُ أُوتِيَ الْكِتَابَ وَمِثْلَهُ مَعَهُ​
Tarjumah: Allah Taala ne apni ita’at aur apne Rasool ki ita’at ka hukm farmaaya, “أَطِيعُوا” ko do baar zikr kar ke yeh bataaya karwaaya ke Hadees ko Quran par pesh kiye baghair ita’at e Rasool mustaqil shar’ee masdar o maakhaz hone ki haisiyat se waajib hai, balki jab hukm diya to mutlaq taur par ita’at e Rasool waajib ho gayi, chaahe us baat ka hukm kitaabullah mein ho ya na ho, yaqeenan Aap ko Quran ata kiya gaya aur Quran ke saath us ki misl ek aur cheez (hadees) bhi di gayi hai.
[I’laam ul Muwaqi’een by Allama Ibn ul Qayyim: 1/38]

Upar zikr ki gayi ayat e kareemah ki tafseer mein Imam Ata bin Abi Rabah Taba’ee farmaate hain:
أُولُو الْعِلْمِ وَالْفِقْهِ، وَطَاعَةُ الرَّسُولِ: اتِّبَاعُ الْكِتَابِ وَالسُّنَّةِ​
Tarjumah: “أُولِي الْأَمْرِ” se muraad ulama aur fuqahaa hain aur ita’at e Rasool kitaab o sunnat ki pairwi ka naam hai.
[Sunan Darmi: 225, Tafseer Ibn e Jareer: 5/147. Iski Sanad Sahih hai]

Quraan o Hadees aur ummat ke ijmaa’ se saabit ho chuka hai ke Hadees wahi hai, us ko Quran par pesh karna gumraahi aur zalaalat hai, neez us ka inkaar kufr hai.

Hafiz Suyuti farmaate hain:
أَن من أنكر كَون حَدِيث النَّبِي صلى الله عَلَيْهِ وَسلم قولا كَانَ أَو فعلا بِشَرْطِهِ الْمَعْرُوف فِي الْأُصُول حجَّة، كفر وَخرج عَن دَائِرَة الْإِسْلَام وَحشر مَعَ الْيَهُود وَالنَّصَارَى، أَو مَعَ من شَاءَ الله من فرق الْكَفَرَة​
Tarjumah: Hadees qauli ho ya fe’li, use shar’ee daleel samjhte huwe, jis ne bhi inkaar kiya, woh kaafir hai aur daaira e Islam se khaarij hai, us ka hashr yahood o nasaara ke saath hoga ya un kaafir firqon ke saath jin ke saath Allah Taala chaahega.
[Miftaah ul Jannah fil-Ihtijaaj bis-Sunnah: 3]
 
Last edited by a moderator:
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Muhammed Ali Owais Hadees aur Uloom e Hadees 0

Similar threads


Top