BILLI KE PANJE AUR KUTTE KI PYAAS


BILLI KE PANJE AUR KUTTE KI PYAAS
Tahreer: ABU MUAAZ hafizahullah
(AL-HADIS Shumaarah No.75, page:50)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Syidina Abu Hurairah raziallahu-anhu se riwaayat hai ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya:

بَيْنَا رَجُلٌ يَمْشِي فَاشْتَدَّ عَلَيْهِ الْعَطَشُ، فَنَزَلَ بِئْرًا فَشَرِبَ مِنْهَا، ثُمَّ خَرَجَ فَإِذَا هُوَ بِكَلْبٍ يَلْهَثُ، يَأْكُلُ الثَّرَى مِنَ الْعَطَشِ، فَقَالَ لَقَدْ بَلَغَ هَذَا مِثْلُ الَّذِي بَلَغَ بِي فَمَلأَ خُفَّهُ ثُمَّ أَمْسَكَهُ بِفِيهِ، ثُمَّ رَقِيَ، فَسَقَى الْكَلْبَ فَشَكَرَ اللَّهُ لَهُ، فَغَفَرَ لَهُ
"Ek aadmi paidal jaaraha tha ke usey shaded pyaas lagi to woh ek kowen mein otara aur paani pyaa phir jab baahar aayaa to dekha k eek kutta pyaas ki shiddat ki wajah se zabaan nikaale kichad khaaraha hai. Us ne kaha: jis tarah mujhe shaded pyaas lagi thi usey bhi pyaas lagi howi hai. Phir usne apne jote ko paani se bhara aur usey moh ke saaht pakad kar (kowen se) oper chadh aaya, phir usne kutte ko paani pilaaya to ALLAH TA'ALA ne uske is kaam ko sharf-e-quboliyat ataa farmaaya aur usey bakhash diya."(Sahih Bukhari:2363. /wa Sahih Muslim:2244)

Dosri riwaayat main aayaa hai(Asmaa Bin Abi Bakr raziallahu-anhuma bayaan karti hain):

دَنَتْ مِنِّي النَّارُ حَتَّى قُلْتُ أَىْ رَبِّ، وَأَنَا مَعَهُمْ فَإِذَا امْرَأَةٌ ـ حَسِبْتُ أَنَّهُ قَالَ ـ تَخْدِشُهَا هِرَّةٌ قَالَ مَا شَأْنُ هَذِهِ قَالُوا حَبَسَتْهَا حَتَّى مَاتَتْ جُوعًا
"NABI KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne namaaz-e-kosoof(sorah grahan ke waqt padhi jaane waali namaaz) ke mauqe par ek aurat ko jahannum mein dekha, jise ek billi panje maar kar noch rahi thi. AAP sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya: maine (Farishton se) pocha: usey kya howa hai? unho ne jawaab diya: us aurat ne us bille ko pakad kar band kardiya tha, hatta ke who bhok se margayi."(Sahih Bukhari:2364. /wa Sahih Muslim:2242)

Deen-e-Islam mein insaani hoqooq ke saath saath janwaron ke saaht bhi raham aur hamdardi ka hokm diyagaya hai. Dekhiye! ek aurat billi ko naahaq qatal karne ki wajah se dozakh mein chali gayi aur usey aalam-e-barzakh mein azaab-e-qabr horaha hai, jabke dosre shakhs ne fitri hamdardi aur raham ke jazbe se ek kutte ki pyaas bujhaayi to ALLAH TA'ALA ne us ke is amal se khosh hokar usey bakhash diya aur jannat ka haqdaar banaadiya.

Islam ke ilaawah jitney bhi mazaaheb hain, un mein jaanwaron ke saath hamdardi aur raham nahi balke insaanon ke bare mein bhi bade zaalim hain. Item Bomb, Nepalm Bomb, Daisy Cutter Bomb aur tamaam jaded wasaayil istemaal karke bastion ki bastiyaan jalaate hain. Bachch, bodho aur aurton ka qatl-e-aam karte hain. In tamaam mazaalim ke baawajod apne aap ko "INSANI HOQOQ(Human Rights)" aur "MUHAZZIB TAHZEEB(Civilised) " ka thekedaar samajhte hain.

ALLAH UN SAB KO HIDAAYAT DE-(AAMEEN)
(5/April/2010)
 
Top