Hajj Se Pehley Da’wat Pe Da’wat Karna


Umar Asari

Administrator
Staff member
Hajj Se Pehley Da’wat Pe Da’wat Karna

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Aaj kal agar koi Hajj karney jaata hai to us ke talluq se samaaj aur society mein bohot saari rasm o riwaaj aur bid’aat o khurafat anjaam diye jaatey hain. Hajj ke liye jaaney waley ko bohot saaray log alag alag din khaas kar ke apney ghar bula kar dawat ka ehtimam (arrange) kartey hain, Haji ki nazar mein apni izzat banatey hain aur Hajj ke safar ke dauran dua mein yaad rakhney ki guzarish kartey hain. Mustaqbil (future) mein Haji kahey jaaney waley bhi aksar pooray gaon ko dawat detey hain jis se un ke hajj ka zikr gaon gaon aur shehar shehar mein phail jaata hai.
Agar hum Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka aur Sahaba ka Hajj dekhen to is qism ki riwayaat ka kahin pata nahi chalta. Yeh nayi ijaad (new invention) khurafaat mein se hai balki yeh keh len ki is qism ki dawat se riyakaari (dissimulation) ka khatra hai jis ki wajah se Hajj maqbool (acceptable) honay ki bajaye gair-maqbool (unacceptable) aur mardood (reject) ho jayega. Kya aap ko yaad nahi ke kal Qayamat mein Alim ko, Shaheed ko, Qaari ko aur kharch karney waley ko jahannum mein sirf is liye phenk diya jayega ke unhon ne shohrat (famous honay) ke liye amal kiya tha. Is liye Allah ke waastey apney amal ko barbad honay se bachayen aur jis raastey se bhi amal mein riyakaari (dissimulation) ka imkaan aur khatra nazar aaye us raastey ko band kar den. Safar ke waqt milney julney mein koi harj ki baat nahi magar baari baari gaon ke sabhi logon ki pur-takalluf dawat karna Hajj jaisey ahem fareezay ke liye munasib amal nahi hai. Mazeed yeh ki gaon mein jis ne Haji saheb ki dawat nahi li woh Haji saheb aur doosron ki nazar mein ma’yoob aur napasandeedah hota hai aur dawat leney wala mohtaram aur pasandeedah shakhs ban jaata hai. Goya is amal se dawat na kar sakney waley ghareeb aur be-bas logon ki tauheen (insult) bhi hoti hai.
Agar kisi ko Allah ne zaroorat se ziyada paisa diya hai to woh bhookon ko khilaye, us paisey ko ghareeb aur miskeen logon mein sadqa karey aur Deen e Islam ki tableegh wagera mein kharch karey.
Allah Taala hamein Deen ki sahih samajh ata farmaaye. Aameen
 

Similar threads


Top