Kya Ali Razi Allahu Anhu ki bugz ki wajah se Muawiyah Razi Allahu Anhu ne sunnat ko tarq kar diya tha


Abdul Adil

Member
Kya Ali Razi Allahu Anhu ki bugz ki wajah se Muawiyah Razi Allahu Anhu ne sunnat ko tarq kar diya tha

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

Baaz jaahil log aur chupe huye rafzi ek Riwayat pesh karte hai ki Muawiyah Razi Allahu Anhu ne bugz e Ali Razi Allahu Anhu mein sunnat ko tark kar diya , is Riwayat ko pesh karke Muawiyah Razi Allahu Anhu par tanqees ki jati hai ki unhone sunnat ko tarq kar diya tha (Nauzobillah) Jabki hamara aqeeda ye hai ki ham Sahabi E Rasool se husn e jan rakhte hai aur hadees ko fahem e salaf ki roshni mein samajhte hai fir uski tableeg karte hai. ye kaise mumkin hai ki jo Din Rat Nabi ﷺ ki itteba kare wo janbhoojh kar sunnat ki mukhtalifat kar sakta hai is bina par ki wo apne fariqain se bugz rakhta hai ? Allah Ta'ala ne hame aqal di hai lihaza soch samjh kar kuch bola kare.

Ab ham us Riwayat ki taraf aate hai

Imam Nasai Rahimahulla Kahte hai ki

أَخْبَرَنَا أَحْمَدُ بْنُ عُثْمَانَ بْنِ حَكِيمٍ الأَوْدِيُّ، قَالَ حَدَّثَنَا خَالِدُ بْنُ مَخْلَدٍ، قَالَ حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ صَالِحٍ، عَنْ مَيْسَرَةَ بْنِ حَبِيبٍ، عَنِ الْمِنْهَالِ بْنِ عَمْرٍو، عَنْ سَعِيدِ بْنِ جُبَيْرٍ، قَالَ كُنْتُ مَعَ ابْنِ عَبَّاسٍ بِعَرَفَاتٍ فَقَالَ مَا لِي لاَ أَسْمَعُ النَّاسَ يُلَبُّونَ قُلْتُ يَخَافُونَ مِنْ مُعَاوِيَةَ ‏.‏ فَخَرَجَ ابْنُ عَبَّاسٍ مِنْ فُسْطَاطِهِ فَقَالَ لَبَّيْكَ اللَّهُمَّ لَبَّيْكَ لَبَّيْكَ فَإِنَّهُمْ قَدْ تَرَكُوا السُّنَّةَ مِنْ بُغْضِ عَلِيٍّ ‏‏

Saeed bin Zubair Rahimahullah bayan karte hai ki Main Abdullah Ibne Abbas Razi Allahu Anhu ke sath arafat mein tha. fatmane lage log Talbiyah kahte sunayi nahi de rahe hai ? Maine arz kiya ki Sayyadana Muawiyah Razi Allahu Anhu se darte hai . Ibne Abbas Razi Allahu Anhu fauran apne kheme se nikle Talbiyah pukarne lage aur farmane lage in logon ne Ali Razi Allahu Anhu se bugz ki wajah se sunnat ko tarq kar diya.

[Sunan Nasai Hadees Number : 3006]

Doosri Riwayat mein hai ki

لَبَّيْكَ اللهُمَّ لَبَّيْكَ وَإِنْ رَغِمَ أَنْفُ مُعَاوِيَةَ اللهُمَّ الْعَنْهُمْ فَقَدْ تَرَكُوا السُّنَّةَ مِنْ بُغْضِ عَلِيٍّ رَضِيَ اللهُ عَنْهُ”

Ya Allah , Muawiyah Razi Allahu Anhu ko bura lage main haazir hun (kahta hun) . Allah Un par lanat ka koda barsa
unhone Ali Razi Allahu Anhu se bugz wa ainaad ki wajah se sunnat ko tarq kar diya.

[Sunan Al Kubra Lil Baihaqi Hadees Number : 9447]

Tabsirah :- Yeh Riwayat ki sanad zaeef hai , isliye ki isme "Khalid Bin Makhlad" (Hasanul hadees) ki Riwayat ahle koofa se "zaeef" hoti hai aur "Ali Bin Saleh" Koofi hai aur ye jarah mufassar hai

Allama Ibne Razab Rahimahulla nakal karte hai

ذكر الغلابي في تاريخه قال : القطواني يؤخذ عنه مشيخه المدينة ، وابن بلال قط

Imam Mufzil Bin Ghassan Ghalabi ne apni tareekh mein zikr kiya hai ki "Khalid Bin Makhlad" ki wahi riwayat kubool ki jayegi jo unhone Ahle Madeena aur Suleman bin Hilal se li hogi.

[Sharah Ilal Tirmizi 2/775]

Jabki Sunan Al Kubara Lil Baihaqi mein ek aur illat hai wo ye hai ki "Abdullah Bin Muhammad Bin Hasan Bin Al-Sharqi" zaeef hai.

Imam Zahbi Rahimahulla Likhte hai

عبد الله بن مُحَمَّد بن الشَّرْقِي أَخُو الْحَافِظ ابي حَامِد تكلمُوا فِيهِ لادمانه الْمُسكر

[Al-Mugni Fil Zoafa Muhammad Bin Ahmad Al-Zahbi Jild - 1 , Safa - 356]

Lihaaza ye riwayat apne tamam sanadon ke sath zaeef hai
 

Top