HADIS WAHI HAI


HADIS WAHI HAI
Tahreer : Fazal Akbar Kaashmiri Hafizahullah
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

ALLAH TA'ALA ne mukhtalif adwaar me mukhtalif aqwaam ki taraf unki zabano ke mutabiq aur unki shariaton ke muafiq ANBIYA-E-KIRAAM alaihimussalam ko kitaaben dekar mabwos farmaya. MAALIK-E-KAAYENAAT ne sirf aasmaani kitaben naazil karne par iktefaa nahi kiya balke hamesha aasmaani kitab ke saath apna numayindah zuror bheja. Aisi ek bhi aasmaani kitaab nahi hai jis ko kisi NAB Ike baghair naazil kiya gaya ho. RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ki bayisat ki gharz o ghaayat Qurani aayaat ki tashreeh aur wazahat hai. ALLAH TA'ALA fermata hai:
﴿بِالْبَيِّنَاتِ وَالزُّبُرِ وَأَنْزَلْنَا إِلَيْكَ الذِّكْرَ لِتُبَيِّنَ لِلنَّاسِ مَا نُزِّلَ إِلَيْهِمْ وَلَعَلَّهُمْ يَتَفَكَّرُونَ﴾
(Surah al-Nahal[16]:44)
"Aur hum ne AAP(sallallahu alaihi wasallam) ki taraf ye zikar(Quran) naazil kiya hai take AAP(sallallahu alaihi wasallam), logon ko bayaan karden jo kuch unki taraf naazil kiya gaya hai isliye ke woh is me ghour o fikar karen."

Is aayat me " لِتُبَيِّنَ " 'LITOBAIYINA' ka 'LAAM' ghayat keliye hai.

Malom howa ke bayaan Quran se alag cheez ka naam hai aur wo hai HADIS. NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam WAHI ki roshni me insanon ki tarbiyat farmate the. WAHI ki do(2) aqsaam(qisam) hain:

  • WAHI-E-MATLO yani wahi-e-jali
  • WAHI-E- GHAIR MATLO yani wahi-e-khafi.
Number ek se muraad Quran hai aru Number do(2) se muraad NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ki Ahadis ko kaha jata hai aur ye dono Hujjat-e-Sharyiyah hain.

MAALIK-E-ARZ O SAMAA farmata hai:
﴿وَهُوَ الَّذِي أَنْزَلَ إِلَيْكُمُ الْكِتَابَ مُفَصَّلًا﴾
(Surah al-An'aam[6]:114)
"Usee ne pori tafseel ke saath tumhari taraf kitaab naazil farmayi."

Aayate Muqaddasah me lafz" مُفَصَّلًا" 'MUFASSALAN' [yani ke 'Tafseel'] AL-KITAAB se haal ban raha hai aur ulmaye Arabiyat ke qaayede ke mutabiq haal aur zul-haal me maghayarat hoti hai. Lihaza "TAFSEEL" aur "AL-KITAAB" do alag alag chizen hain aur dosri cheez ka istelahi naam 'HADIS' hai.

ek aur muqaam par ALLAH TA'ALA ka irshaad hai:
﴿ثُمَّ إِنَّ عَلَيْنَا بَيَانَهُ﴾
(Surah al-Qiyaamah[75]:19)
"Phir iska waazeh kardena hamare zimmah hai."

Is aayaat-e-murekah me Arabi grammer ke lihaaz se " ثُمّ" 'SUMMA' taraakhi keliye hai ke ALLAH ne Quran naazil farmaya phir iska bayaan utaara.
Yani Hadis bhi min jaanib ALLAH hai. ALLAH TA'ALA ne apne RASOOL sallallahu alaihi wasallam ko wahi ki itteba karne ka hokum diya, mulaheza farmayen.

  • Surah al-An'aam:50
  • Surah al-Araaf:203
  • Surah Younun:109
  • Surah al-Ahzaab:2
  • Surah al-Ahqaaf:9
(In tamaam ayaat ke mutabiq) MUHAMMED-E-ARABI sallallahu alaihi wasallam ne apni pori nabuwat ki zindagi me is wahi ke muafiq jo amaal kiye hain wo bhi wahi hai aur tamaam amaal Ahadis me maujod hain, ye bilkul is mas'ale qatyee dalil hain. Mandarjah balaa aayaat-e-baiyinaat sareeh dalaalat karti hain ke Ahadis-e-Sahihah bhi WAHI me daakhil hain, aur ALLAH TA'LA ki taraf se naazil ki gaiyi hain.

Msh'hor Tabayi "HASSAAN BIN ATIYYAH" rahimahullah farmate hain:
((كَانَ جِبْرِيلُ يَنْزِلُ عَلَى رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بِالسُّنَّةِ كَمَا يَنْزِلُ عَلَيْهِ بِالْقُرْآنِ وَيُعَلِّمُهُ إِيَّاهَا كَمَا يُعَلِّمُهُ الْقُرْآنَ))
"RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam par JIREEL alaihissalam usee tarah sunnat(Hadis) lekar utarte the jis tarha Quran lekar utarte the aur AAP sallallahu alaihi wasallam ko us (sunnat) ki is tarha taleem detethe jis tarha Quran sikhate the." (As-Sunnah lil-Marwazi:102, aur is ki sanad SAHIH hai.

Hadis ke WAHI-E-GHAIR MATLO hone par ulmaa ke aqwaal keliye Dekhiye: (FATHUL BAARI:4/15, tahet Hadis No.1814. AL-IHKAAM LI-IBN HAZAM:2/509. aur AL-IHKAA LIL-AAMADI:3/162)




 

Similar threads


Top