SAYYIDNA UMAR e FAAROOQ KI FARAASAT (Intuition)


SAYYIDNA UMAR e FAAROOQ KI FARAASAT (Intuition)

بسم الله الرحمن الرحيم

• Umar (Raziyallaahu 'Anhu) khud bayaan farmaate hain ke jab humne Hijrat ka iraadah kiya toh Main, 'Ayyaash Bin Abi Rabee'ah aur Hishaam Bin 'Aasim Bin Waail Sahmi ne Bani Ghifaar ke muhalle mein "Tanaazab" naami jagah par ikhatte hone ka faislah kiya. Ye ilaaqah "Sarf" naam ke ek maqaam se kuch oopar waaqe' tha. Humne taye kiya ke hum mein se jo bhi peeche rehgaya, doosre ehbaab uska intezaar nahin karenge aur Madeenah ki taraf chal denge.

• Umar (Raziyallaahu 'Anhu) farmaate hain: Main aur 'Ayyaash Bin Abi Rabee'ah muqarrarah maqaam par pohanch gaye. Hishaam ko rok liya gaya. Woh aazmaayish mein mubtila hogaya tha. Hum Madeene Tayyibah pohanch gaye, yahaan Banu 'Amr Bin 'Awf ke muhalle mein aaye. Ye muhallah Qubaa' ke paas tha; humne wahin qiyaam kiya. Udhar Abu Jahal Bin Hishaam aur Haaris Bin Hishaam makkah se Ayyaash Bin Abi Rabee'ah ke ta'aaqub mein nikle. Ayyaash unka chacha zaad bhaai tha. Woh dono uske ta'aaqub (peecha karte hue) Madeenah mein pohanch gaye. Us waqt Nabi (ﷺ) Makkah hi mein the. Un dono ne Ayyaash Bin Abi Rabee'ah se ye guftugu kee ke: Teri Maa ne nazar (mannat) maani hai ke woh us waqt tak sar mein kanghi (comb) na karegi, na saaye mein aayegi jab tak woh tujhe dekh na ley.

• Ye sunkar Ayyaash ka dil pighal gaya. Maine usey samjhaaya: Allaah ki Qasam ! Ye sirf tumhein tumhaare Deen se bhatkaane aaye hain ...... unse bachkar raho. Allaah ki Qasam ! Tumhaari Maa ko jab juyein tang karengi aur Makkah ki shadeed dhoop beqaraar kardegi toh woh kanghi bhi karegi aur saaye mein bhi aajaayegi, lekin Ayyaash ne kaha: Nahin, Main apni Maa ki Qasam poori karna chaahta hoon. Mera Makkah mein bohat sa maal bhi rehgaya hai woh bhi leta aaunga. Ye sunkar Umar (Raziyallaahu 'Anhu) ne farmaaya: Dekh ! Tujhe ilm hai ke mere paas bohat zyaadah maal hai tum unke saath na jaao. Main tujhe apna aadha maal dey doonga lekin Ayyaash na maane. Usne waapas jaane hi par israar kiya. Aakhir Maine us se kaha: Dekh ! Agar toone unke saath waapas jaane ka musammam (pukhtah) iraadah kar hi liya hai toh ye meri oontni leyja. Ye badi achchi aur tajrubekaar hai is se neeche na utarna. Agar tujhe unse dhoke ke aasaar nazar aayein toh isi oontni par nikal bhaagna.

• Ayyaash us oontni par sawaar hokar Abu Jahal aur Haaris ke saath waapas chal diya. Abhi woh raaste hi mein the ke Abu Jahal ne us se kaha: Mere Bhaai ! Allaah ki Qasam ! Mera oont tang karne laga hai kya tu mujhe apne saath sawaar nahin kar sakta ? Ayyaash ne kaha: Kyun nahin, usne oontni ko bitha diya. Abu Jahal ne bhi apna oont bitha diya taake woh utar sakey aur Ayyaash ki oontni par sawaar hosake lekin achaanak usi dauraan dono ne Ayyaash par hamlah kardiya aur usey rassiyon se jakard diya. Usi haalat mein woh usey lekar Makkah pohanch gaye.

• Makkah pohanch kar Abu Jahal ne kaha: Makkah waalo, apne bewaqoofon ke saath aisa hi karo jaisa humne apne is bewaqoof ke saath kiya hai. Abu Jahal aur Haaris Bin Hishaam ne bharpoor mansoobah bandi kee aur Ayyaash ko dhoka dene mein kaamyaab rahey, magar Umar e Faarooq ne apni Allaah ki dee hui Faraasat se pehchaan liye ke uske saath dhoka hoga aur usey Qaid karliya jaayega. Ye unki behadd zihaanat (intelligence) aur Faraasat (intuition) ka munh bolta saboot hai.

[Source: Al-Seerah Al-Nabawiyyah Al-Saheehah, 1/205; Al-Raheeq Al-Makhtoom: Safi Al-Rahmaan Al-Mubaarakfoori]

'Abdul-Mudhill Hafizahullah (عَبْدُ المُذِلّ)
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Shona shaikh Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum Ki Seerat 0

Similar threads


Top