Ibnatu Ali

Member
Kya Ghairullah Ka Darr Shirk Hai?

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Sawal: Allah ke alawah dil mein kisi aur ka dar paida hone se kya shirk ho jaata hai?

Jawab: Allah ka darr aur us ka khauf ibadat hai, bandah jitna Allah Taala se darne waala hoga Allah ka utna muqarrab aur mehboob hoga. Allah Taala ne insaan ko sirf us se (yani Allah se) darne ka hukm diya hai. Farmaan e ilaahi hai:
وَإِيَّايَ فَارْهَبُونِ​
Tarjumah: Aur mujh hi se daro.
(Surah Al-Baqarah, Surah No: 2 Ayat No: 40)

Allah ka farmaan hai:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ وَقُولُوا قَوْلًا سَدِيدًا​
Tarjumah: Aye imaan walo! Allah se darte raho aur seedhi seedhi (sachchi) baat kiya karo.
(Surah Al-Ahzaab, Surah No: 33 Ayat No: 70)

Ek doosri jagah irshaad e Rabbani hai:
فَلَا تَخْشَوُا النَّاسَ وَاخْشَوْنِ وَلَا تَشْتَرُوا بِآيَاتِي ثَمَنًا قَلِيلًا​
Tarjumah: Ab tumhein chahiye ke logon se na daro aur sirf mera dar rakho, meri aayaton ko thode se mol na becho.
(Surah Al-Maidah, Surah No: 5 Ayat No: 44)

Yeh darr aur khauf Allah se apni bisaat (taqat) bhar hona chahiye jaisa ki Allah ka farmaan hai:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ حَقَّ تُقَاتِهِ وَلَا تَمُوتُنَّ إِلَّا وَأَنْتُمْ مُسْلِمُونَ​
Tarjumah: Aye imaan walo! Allah se utna daro jitna us se darna chahiye aur dekho marte dam tak musalman hi rehna.
(Surah Aal e Imran, Surah No: 3 Ayat No: 102)

Goya darne ka mustahiq sirf Allah Taala hai us ke muqable mein kisi se darna Ibadat mein shirk kehlayega.

Is ki do sooratein ban sakti hain.
Pehli soorat: Bandon se darr kar deen par amal karna chor de.
Doosri soorat: Ghairullah se is tarah darna ya darne ka aqeedah rakhna ke woh Allah ke baghair khud se nuqsaan pahuncha sakta hai masalan bot, wali, jin, mayyat aur khayaali bhatakti roohein waghera.
Is bat ka zikr Allah Taala ne Quran mein is andaaz mein kiya hai:
إِنَّمَا ذَلِكُمُ الشَّيْطَانُ يُخَوِّفُ أَوْلِيَاءَهُ فَلَا تَخَافُوهُمْ وَخَافُونِ إِنْ كُنْتُمْ مُؤْمِنِينَ​
Tarjumah: Yeh khabar dene waala shaitan hi hai jo apne doston se darata hai tum un kafiron se na daro aur mera khauf rakho agar tum momin ho.
(Surah Aal e Imran, Surah No: 3 Ayat No: 175)

Is liye kisi soorat mein Allah ke alawah dil mein doosron ka darr nahi paida kiya jayega, nafa (faida) aur nuqsaan ka maalik sirf Allah Taala hai, Allah ke hukm ke baghair koi hamara kuch bhi nahi bigaad sakta, farmaan e ilaahi hai:
وَإِن يَمْسَسْكَ اللَّهُ بِضُرٍّ‌ فَلَا كَاشِفَ لَهُ إِلَّا هُوَ ۖ وَإِن يَمْسَسْكَ بِخَيْرٍ‌ فَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ‌​
Tarjumah: Agar Allah tumhein kisi qism ka nuqsaan pahunchaye to us ke siwa koi nahi jo tumhein us nuqsaan se bacha sake aur agar woh tumhein kisi bhalaayi se behra-mand kare to woh har cheez par qaadir hai.
(Surah Al-An’aam, Surah No 6 Ayat No: 17)

Khauf be-chaini ka naam hai jo bande ke dil mein faraiz o waajibaat mein kotahi aur ma’asiyaat (gunaahon) ke irtikaab par paida hoti hai, isi tarah bandah ita’at kar ke adm e qabooliyat (qabool na hone) ke khadshe (darr) se bhi darta rehta hai.
Haan tab’ee (fitri) khauf is khauf se alag hai, woh fitri cheez hai, saanp ko dekh kar, darindon ko dekh kar insaan darr jaata hai. Yeh darr Allah ke muqable mein nahi hota hai yeh sirf fitratan aisa hota hai jaisa ki Musa Alaihissalam saanp se darr gaye. Allah Taala ka farmaan hai:
وَأَلْقِ عَصَاكَ ۚ فَلَمَّا رَآهَا تَهْتَزُّ كَأَنَّهَا جَانٌّ وَلَّىٰ مُدْبِرًا وَلَمْ يُعَقِّبْ ۚ يَا مُوسَىٰ لَا تَخَفْ إِنِّي لَا يَخَافُ لَدَيَّ الْمُرْسَلُونَ​
Tarjumah: Tu apni laathi daal de, Musa ne jab usay hilta julta dekha is tarah ke goya woh ek saanp hai to muh mode huwe peeth pher bhage aur palat kar bhi na dekha, aye Musa! Khauf na kha, mare huzoor mein paighambar dara nahi karte.
(Surah An-Naml, Surah No: 27 Ayat No: 10)

Allah se darne ka badla jannat hai, Allah ka farmaan hai:
وَأَمَّا مَنْ خَافَ مَقَامَ رَبِّهِ وَنَهَى النَّفْسَ عَنِ الْهَوَى۞ فَإِنَّ الْجَنَّةَ هِيَ الْمَأْوَى​
Tarjumah: Haan jo shakhs apne Rabb ke samne khade hone se darta raha hoga aur apne nafs ko khwahish se roka hoga. To us ka thikaana jannat hi hai.
(Surah An-Nazi’aat, Surah No: 79 Ayat No: 40 and 41)

Allah Taala hamein khauf o khashiyyat ki sifat se muttsif kar de. Aameen.

والله أعلم بالصواب​
 

Similar threads


Top