Kya dus (10) tarah ke janwar jannat mein jayenge?


Umar Asari

Administrator
Staff member
Dus (10) tarah ke janwar jannat mein?

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi
Da’ee/ Islamic Dawa Center, Taif

Romanised By: Umar Asari

Logon mein yeh baat kuch gair mo’tabar (unauthentic) kibaaton mein mazkoor hone ki wajah se mash-hoor (famous) ho gayi hai ke dus (10) tarah ke janwar jannat mein jayenge. Un ke naam mundarja-zail (following) hain:
1- Hazrat Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam ki oontni
2- Hazrat Saleh Alaihissalam ki oontni
3- Hazrat Ibrahim Alaihissalam ka bachda
4- Hazrat Ismail Alaihissalam ka meendha
5- Hazrat Musa Alaihissalam ki gaaye
6- Hazrat Younus Alaihissalam ki machli
7- Hazrat Uzair Alaihissalam ka gadha
8- Hazrat Sulaimam Alaihissalam ki chunti
9- Hazrat Sulaiman Alaihissalam ka hud-hud
10- Ashaab e Kehaf ka kutta

Kisi bhi sahih daleel se saabit nahi hai ke duniya ke yeh upar zikr giye gaye jaanwar jannat mein honge. Is liye hum yeh nahi keh sakte hain ke falan falan janwar jannat mein jayega.

✵Jannat ke kuch Haiwanaat✵
Albatta kuch riwayaat ki roshni mein chand qism ke haiwanaat jannat mein honge is ka suboot milta hai. Un mein parindah, bail, bakri, oontni aur ghoda waghera hain.
Parindah, is ke Jannat mein hone ki daleel:
Allah Taala ne Quran e Kareem mein farmaya:
وَلَحْمِ طَيْرٍ مِّمَّا يَشْتَهُونَ​
Tarjumah: Aur parindon ke gosht jis ko woh pasand karenge.
(Surah Al-Waqi’ah, Surah No: 56 Ayat No: 21)

Sahih Muslim mein hai ke shaheedon ki roohein sabz rang ke parindon ke andar hain aur Jannat mein jis jagah chahein charti, chugti aur udti phirti hain:
أَرْوَاحُهُمْ فِي جَوْفِ طَيْرٍ خُضْرٍ، لَهَا قَنَادِيلُ مُعَلَّقَةٌ بِالْعَرْشِ، تَسْرَحُ مِنَ الْجَنَّةِ حَيْثُ شَاءَتْ، ثُمَّ تَأْوِي إِلَى تِلْكَ الْقَنَادِيلِ​
Tarjumah: Un (shaheedon) ki roohein (souls) sabz rang (green colour) ke parindon ke andar rehti hain, un ke liye qindeelein (chandeliers) hain jo arsh se latak rahi hain. Woh roohein Jannat mein se jahan se un ka jee chahta hai khati peeti hain phir un qindeelon (chandeliers) ki taraf laut aati hain.
(Sahih Muslim: 1887)

❷ Jannatiyon ki ghiza (khane) mein bail ka gosht:
Sahih Muslim ki lambi Hadees ka ek tukda hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
يُنْحَرُ لَهُمْ ثَوْرُ الْجَنَّةِ الَّذِي كَانَ يَأْكُلُ مِنْ أَطْرَافِهَا​
Tarjumah: Un ke (yani fuqara e muhajireen ke) liye Jannat mein bail zabah kiya jayega jo uske atraaf mein charta phirta hai.
(Sahih Muslim: 315)

❸ Jannat mein bakri:
Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
صلُّوا في مُرَاحِ الغنمِ، و امْسَحُوا رُغَامَها، فإنَّها من دَوَابِّ الجنةِ دواب الجنة​
Tarjumah: Tum log bakri ke thikaane mein namaz padho aur uske (naak se behne waali) mitti saaf kar do kiunki yeh jannat ke haiwanaat mein se hai.
(Sahih ul Jami’ Lil-Albani: 3789)

❹ Jannat ki oontni:
Jannat mein oontni bhi hogi:
عَنْ أَبِي مَسْعُودٍ الأَنْصَارِيِّ، قَالَ جَاءَ رَجُلٌ بِنَاقَةٍ مَخْطُومَةٍ فَقَالَ هَذِهِ فِي سَبِيلِ اللَّهِ‏.‏ فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم: لَكَ بِهَا يَوْمَ الْقِيَامَةِ سَبْعُمِائَةِ نَاقِةٍ كُلُّهَا مَخْطُومَةٌ​
Tarjumah: Hazrat Abu Mas’ood Ansari Radhiallahu Anhu se riwayat hai unhon ne kaha ke ek aadmi mahaar waali (lagaam waali) oontni le kar aaya aur kaha yeh Allah ki raah mein hain. To Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Is ke sabab tumhare liye Qayamat ke din isi tarah mahaar waali (lagaam waali) 700 oontni hongi.
(Sahih Muslim: 1892)

❺ Jannatiyon ki sawari surkh heeron waale ghode:
عَنْ سُلَيْمَانَ بْنِ بُرَيْدَةَ عَنْ أَبِيهِ أَنَّ رَجُلًا سَأَلَ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ يَا رَسُولَ اللَّهِ هَلْ فِي الْجَنَّةِ مِنْ خَيْلٍ قَالَ إِنْ اللَّهُ أَدْخَلَكَ الْجَنَّةَ فَلَا تَشَاءُ أَنْ تُحْمَلَ فِيهَا عَلَى فَرَسٍ مِنْ يَاقُوتَةٍ حَمْرَاءَ يَطِيرُ بِكَ فِي الْجَنَّةِ حَيْثُ شِئْتَ قَالَ وَسَأَلَهُ رَجُلٌ فَقَالَ يَا رَسُولَ اللَّهِ هَلْ فِي الْجَنَّةِ مِنْ إِبِلٍ قَالَ فَلَمْ يَقُلْ لَهُ مِثْلَ مَا قَالَ لِصَاحِبِهِ قَالَ إِنْ يُدْخِلْكَ اللَّهُ الْجَنَّةَ يَكُنْ لَكَ فِيهَا مَا اشْتَهَتْ نَفْسُكَ وَلَذَّتْ عَيْنُكَ​
Tarjumah: Hazrat Sulaiman bin Buraidah Radhiallahu Anhu apne walid se bayan karte hain ke ek shakhs ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se sawal kiya ke kya jannat mein ghode honge? To Aap ne farmaya: Agar tumhein Allah Taala ne jannat mein daakhil kiya to agar tum chahoge ke surkh heeron waale ghode par tumhein sawaar kiya jaaye aur woh jannat mein tumhein le kar jahan tum chaho ude to aisa zaroor hoga. Phir ek shakhs ne kaha: Aye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Kya jannat mein oont bhi honge? To Aap ne usay is tarah jawab na diya jaise pehle shakhs ko diya tha. Taham Aap ne farmaya: Agar tumhein Allah Taala ne jannat mein daakhil kiya to us mein tumhein woh sab kuch milega jis ki khwahish tumhara nafs karega aur jis se tumhari aankhon ko lazzat milegi.
(Tirmizi: 2543)
❗Isay Shaikh Albani Rahimahullah ne “Hasan Li-Ghairihi” qarar diya hai.
(Sahih At-Targheeb: 3756)

✯Qabil e zikr ek ahem baat✯
Yahan ek ahem baat yeh jaan lena zaroori hai ke upar jin janwar ka bayan huwa hai ke yeh Jannat mein honge un ke mutalliq yeh aqeedah rakhna hai ke un ke sirf naam dunyawi hain magar woh duniya jaise nahi honge. Us ki kaifiyat kya hogi sirf Allah ko maloom hai. Duniya ke jo janwar hain un mein se kisi ke baare mein kisi Sahih Hadees mein jannat mein jaane ka zikr nahi milta balki Sahih Hadees mein bayan huwa hai ke chaupaye aur parinde kal qayamat mein sab mitti ho jayenge:
عن أبي هريرةَ قال إنَّ اللهَ يحشرُ الخلقَ كلَّهم كلَّ دابةٍ وطائرٍ وإنسانٍ يقول للبهائم والطيرِ كونوا ترابًا فعند ذلك يقول الكافرُ يَا لَيْتَنِي كُنْتُ تُرَابًا​
Tarjumah: Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se riwayat hai unhon ne kaha ke Allah Taala (Qayamat ke din) tamam makhlooq, poore janwar, parinde aur insaan ko jama karega. Chaupaye aur parinde se kahega ke mitti ho jaao. To us waqt kafir kahega aye kaash! Main bhi mitti ho jaata.
(Silsila As-Saheeha Lil-Albani: 4/607)
 

Top