Kya ek aurat chaar mardon ko jahannum mein le jaayegi?


Umar Asari

Administrator
Staff member
Kya ek aurat chaar mardon ko jahannum mein le jaayegi?

Written By: Umar Asari Sanabili

✵Sawaal:✵
Assalaamualaikum wa rehmatullahi wa barakatuhu bhai mera sawaal hai ke ek hadees bohot sunney mein aati hai ke ek aurat chaar mardon ko jahannum mein le jaayegi yeh hadees sahih hai ya zaeef hai daleel ke saath jawaab dein reference number ke saath jazak allah

✯Jawaab:✯
Walaikum Assalam Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu
Yeh riwayat in alfaaz ke saath bayan ki jaati hai:
إذا دخلت امرأة إلى النار أدخلت معها أربعة، أباها وأخاها وزوجها وولدها​
“Jab aurat jahannam mein daakhil hogi to apne saath chaar logon ko jahannam mein le kar jaayegi:
Apne baap ko, apne bhai ko, apne shauhar ko aur apne bete ko.”
Kuch log is riwayat ko hijaab ke saath zikr kar ke bayan karte hain:
أربعة يُسألون عن حجاب المرأة: أبوها، وأخوها، وزوجها، وابنها​
“Chaar logon se aurat ke hijaab ke mutalliq sawal kiya jaayega:
Us ke baap se, us ke bhai se, us ke shauhar se aur us ke bete se.”
Is ma’ne ki koi bhi Sahih ya Za’eef riwayat mujhe nahi mil saki. Aur kayi muhaqqiqeen ne is baat ki wazahat ki hai ke is riwayat ki koi asal nahi hai.
Mazeed yeh ke yeh riwayat Shari’at ke is usool ke khilaaf hai ke koi shakhs doosron ke gunaahon ke badle jahannam mein daakhil ho. Chunanche farmaan-e-baari Ta’ala hai:
وَلَا تَكْسِبُ كُلُّ نَفْسٍ إِلَّا عَلَيْهَا وَلَا تَزِرُ وَازِرَةٌ وِزْرَ أُخْرَى​
“Aur jo shakhs bhi koi amal karta hai woh usi par rehta hai aur koi kisi doosre ka boojh na uthaayega.”
(Surah Al-An’aam: 164)

Aur Nabi ﷺ ka farmaan hai:
أَلَا لَا يَجْنِي جَانٍ إِلَّا عَلَى نَفْسِهِ ، لَا يَجْنِي وَالِدٌ عَلَى وَلَدِهِ وَلَا مَوْلُودٌ عَلَى وَالِدِهِ​
“Khabardaar! Mujrim apne jurm par khud pakda jaayega, (yani jo qusoor karega woh apni zaat hi par karega aur us ka muakhza usi se hoga) baap ke jurm mein beta nahi pakda jaayega, aur na bete ke jurm mein baap.”
(Sunan Ibn-e-Majah: 2669, Sunan Tirmizi: 2159. Allama Albani Rahimahullah ne Sahih kaha hai)

Aur sawal mein mazkoor riwayat ki tardeed is baat se bhi hoti hai ke Nooh aur Loot Alaihimassalam ki biwiyaan kafirah thien to kya un ki wajah se Nooh aur Loot Alaihimassalam ko gunaah milega???
Khulasa-e-kalaam yeh ke sawal mein mazkoor riwayat be-asal hai. Albattah yeh baat yaad rakhen ke apne ghar waalon ko jahannam se bachaana har insaan par waajib hai. Farmaan-e-ilaahi hai:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا قُوا أَنْفُسَكُمْ وَأَهْلِيكُمْ نَارًا​
“Aye imaan waalo! Tum apne aap ko aur apne ghar waalon ko aag se bachaao.”
(Surah At-Tahreem: 6)

Aur Nabi ﷺ ka farmaan hai:
مُرُوا أَوْلَادَكُمْ بِالصَّلَاةِ وَهُمْ أَبْنَاءُ سَبْعِ سِنِينَ، وَاضْرِبُوهُمْ عَلَيْهَا وَهُمْ أَبْنَاءُ عَشْرٍ سِنِينَ، وَفَرِّقُوا بَيْنَهُمْ فِي الْمَضَاجِعِ​
“Jab tumhaari aulaad saat (7) saal ki ho jaaye to tum un ko Namaz padhne ka hukm do, aur jab woh das (10) saal ke ho jaayen to unhein us par (yani Namaz na padhne par) maaro, aur un ke sone ke bistar alag kar do.”
(Sunan Abi Dawood: 495. Allama Albani Rahimahullah ne Hasan Sahih kaha hai)

Lehaza agar woh apni is zimmedaari ko poora nahi karta to qayamat ke din zimmedaari ada na karne ki wajah se us ki pakad hogi. Farmaan-e-Nabwi hai:
أَلَا كُلُّكُمْ رَاعٍ وَكُلُّكُمْ مَسْئُولٌ عَنْ رَعِيَّتِهِ، ‏‏‏‏‏‏فَالْأَمِيرُ الَّذِي عَلَى النَّاسِ رَاعٍ وَهُوَ مَسْئُولٌ عَنْ رَعِيَّتِهِ، ‏‏‏‏‏‏وَالرَّجُلُ رَاعٍ عَلَى أَهْلِ بَيْتِهِ وَهُوَ مَسْئُولٌ عَنْهُمْ​
“Sun rakho! Tum mein se har shakhs hakim hai aur har shakhs se us ki ri’aaya ke mutalliq sawal kiya jaayega, so jo ameer logon par muqarrar hai woh raa’ee (logon ki bhalaayi ka zimmedaar) hai us se us ki ri’aaya ke mutalliq poocha jaayega aur mard apne ghar waalon par raa’ee (ri’aayat par mamoor) hai, us se us ki ri’aaya ke mutalliq sawal hoga.”
(Sahih Muslim: 1829)
Wallahu A’lam Bis-Sawaab!
 

Top