Hazrat Abdullah Ibne Umar Razi Allahu Anhu Se Tark E Rafadain Sabit Nahi Hai


Abdul Adil

Member
Hazrat Abdullah Ibne Umar Razi Allahu Anhu Se Tark E Rafadain Sabit Nahi Hai

Article : Ishaaq Salafi Hafizahullah & Hafiz Zubair Ali Sai Rahimahullah

Roman Script : Abdul Adil Ansari

Hanfaiyah Tark E Rafadain Na Karne Ke Dalail Mein Ek Riwayat Ye Bhi Pesh Karte Hai.

Imam Tahawi Rahimahullah Kahte hai :

حدثنا ابن أبي داود، قال: ثنا أحمد بن يونس، قال: ثنا أبو بكر بن عياش، عن حصين، عن مجاهد، قال : «صليت خلف ابن عمر رضي الله عنهما فلم يكن يرفع يديه إلا في التكبيرة الأولى من الصلاة»

Mujahid Rahimahullah Kahte hai : Maine Abdullah Ibne Umar Razi Allahu Anhu ke piche namaz padhi , to unhone pahli Takbeer ke alawa Rafadain nahi kiya.

[Sharah Ma'ani Ul Asa'ar 1/225 , Nisbur Raya Jild-1 Safa-409 , Musannaf Ibne Abi Shaibah : 2452]

Tahqeeq : Ye riwayat bilkul be-buniyad hai iski koyi asal nahi.

۞ Aathwi Shadi Hijri ke Mashroor Hanfi Aalim Jamaluddin Abu Muhammad Abdullah Al-Jaily (Died : 762 Hijj) Apni Kitab Nisabur Ra'aya mein Likhte hai

قال البخاري في كتابه المفرد في رفع اليدين: وروي عن أبي بكر بن عياش عن حصين عن مجاهد أنه لم ير ابن عمر رفع يديه إلا في التكبيرة الأولى، قال ابن معين: إنما هو توهم لا أصل له،

Yani Imam Bukhari ‘‘ Juz Rafadain ’’ mein farmate hai ki : Ibne Umar Razi Allahu Anhu ki namaz mein pahli Takbeer ke alawa Rafadain ne karne ki Riwayat ke Mutalliq Imam Yahya Bin Moyeen Rahimahullah farmate hai :

Ki Ye Mahaj Raawi Ka Wahem Hai , Iski Koyi Asal Nahi.

Yaani sire se ye Riwayat hi saabit nahi.
Jab Shire Se ye riwayat sabit nahi to iske raawi ke mukhtalit hone ya na hone ki bahas be-fayda hai.

Ustaz E Muhaddis Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah Farmate hai : Ye riwayat Batil hai.

۞ Imam Ishaaq Bin Ibrahim Bin Haani Rahimahullah ‘‘ Masail Ahmad Bin Hambal ’’ mein nakal karte hai ki :

وسئل عن حديث ابن عمر في الرفع

Yani Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah se Ibne Umar Razi Allahu Anhu ki (Tarq E Rafadain Wali) Riwayat ke mutalliq Sawal Hua

قال رواه عن أبي بكر بن عياش عن حصين عن مجاهد عن ابن عمر : وهو باطل

Unhone (Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah) ne farmaya : Ise Abu Bakar Bin Ayash ne Hussain Se Unhone Mujahid se Aur Wo Ibne Umar Razi Allahu Anhu se riwayat karte hai. Aur Ye Riwayat Batil hai.

82

Jis Riwayat Ko Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah Jaisa Imam Baatil kahe usko Muqallideen ki Funkaariyon se sahih Sabit nahi kiya ja sakta .

۞ Imam Yahya Bin Moyeen Rahimahullah ne farmaya

حديث أبي بكر عن حصين إنما هو تـوهـم مـنـه لا أصل له “
Abu Bakar ki Hussain se riwayat uska wahem hai is riwayat ki koyi asal nahi hai

[Juz Rafadain - Hadees Number 16 Safa 45-46 , Nisbur Raya Jild-1 Safa-392]

۞ Ameerul Momineen Fil Hadees Imam Bukhari Rahimahullah Kahte hai :

قـال البـخـاري: و يروى عن أبـي بـكـر بـن عياش عن حصين عن مـجـاهـد أنه لم ير ابن عمر رفع يديه إلافي التكبيرة الأولى و روى عنه أهـل الـعـلـم، أنـه لم يحفظ من ابن عـمـر إلا أن يـكـون ابن عمـر سـهـا كبـعـض ما يسهوا الرجل في الصلاة في الشـي بـعـد الشـي كما أن عمر نسي القراءة في الصلاة و كما أن أصـحـاب مـحـمـد صلى اللـه عـلـيـه وسـلـم ربـمـا يسهـون فـي الصلاة فيسلمون في الركعتين والثلاث ألاترى أن ابن عمر يرمى من لا يرفع بالحصى فكيف يترك ابن عمر شيئاً يأمر به غیره و قـدرأى النبي صلى الله عليه وسلم فعله

قال البخاري : قال يحيى بن معين: حـديـث أبي بكر عن حصين إنما هو . توهم منه لا أصل له.

Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha aur Abu Bakar Bin Ayaash An Hussain An Muzahid se marwi hai ki unhone Ibne Umar (Razi Allahu Anhu) ko siwaye phli takbeer ke rafadain karte huye nahi dekha aur unse ( Ibne Umar Razi Allahu Anhu ) se ahle ilm ne Riwayat ki hai beshaq is raawi ( Abu Bakar Bin Ayaash ) ne yaad nahi rakha illa ye ki Ibne Umar Razi Allahu Anhu bhool gaye jaisa ki baaz admi namaz me ek ke bad doosri cheej ko bhool jata hai jis tarah se Ibne Umar Razi Allahu Anhu namaz me qirat bhool gaye the aur jis tarah se Muhammadur Rasoolullah ﷺ ke Sahaba baaz awqaat me Namaz me bhool jate to 2 ya 3 rakato me salam fer dete the , kya aap nahi dekhte ki Ibne Umar Razi Allahu Anhu rafadain na karne wale ko kankadiyon se marte the? to Ibne Umar Razi Allahu Anhu is cheej ko kaise tark kar sakte the jiska huqm wo doosron ko dete the aur jo fel Unhone Rasoolullah ﷺ ko karte dekha tha .

Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha Yahya Bin Mayeen Rahimahullah ne kaha Abu Bakar ki Hussain se hadees uska wahem hai iski koyi asal nahi hai

[Juz Rafadain Hadees Number-16 Safa 45-46]

۞ Imam Daraqutni Rahimahullah Kahte hai :

"قاله أبو بكر بن عياش عن حصين وهو وهم منه أو من حصين"

Ayimmah E Hadees Ne Abu Bakar Bin Ayaash ki is riwayat ko wahem wa khata bhi karar diya hai , lihaza unki ye riwayat batil wa be-asal hai

[Al-Illal Jild-13 Safa-16 Hadees 2902]

۩ Abu Bakar Bin Ayaash Akhiri umar me ikhtelaat ka shikar ho gaye the :

[الكواكب النيرات في معرفة من اختلط من الرواة الثقات لابن الکیال ص ۴۳۹- ۴۴۴ ، نصب الرایۃ ۴۰۹/۱ الانقتباط بمعرفة من رمی بالاختلاط ص26]

۞ Hafiz Ibne Hibban Rahimahullah ne bhi kitab us Shiqaat me iski tashreeh ki hai ki Ibne Ayash jab badi umar ke huye to unka haafiza kharab ho gaya tha jab wo riwayat karte to unko wahem ho jata tha.

Saheeh bat ye hai ki jis bat me unhe wahem hua hai use chod diya jaye aur gair wahem wali riwayat me usse Hujjat pakdi jaye

[At-Tahzeeb Jild-12 Safa-39]

۞ Imam Bukhari Rahimahullah ne tasfeel se bataya ki qadeem jamane me Abu Bakar Bin Ayaash is riwayat ko An Hussain An Ibrahim An Ibne Masood Mursal ( Munqate ) Mauquf bayan karte the aur ye baat mahfooz hai.

Pahli bat khataa Faahas hai kyunki unse usme Ibne Umar Razi Allahu Anhu ke Ashaab ki mukhalifat ki hai.

[Nisbur Raya Jild-1 Safa-409]

۞ Imam Bukhari Rahimahullah ka ye qaul Jarah e mufassar hai, Ab Aap Hussain se is riwayat ki takhreej mulahiza farmaye . is tasfeel se maloom hua ki Abu Bakar Bin Ayaash ne akhiri umar me haafiza kharab hone ke bad jo riwayat bayan ki hai usme unhone bahut si siqah raawiyon ki mukhalifat ki hai lihaza unki riwayat shaaz huyi aur shaaz mardood ki ek qism hai is wajah se unki is riwayat ko Yahya Bin Mayeen Aur Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah wagairah ne zaeef karar diya hai

Is tafseel ke bawzood agar koyi shaksh is hadees ki sehat par israr karta hai to uska ilaaz kisi dimagi hospital (mental hospital) mein karana chahaiye

۞ Abu Bakar Bin Ayash Muhaddiseen Ki Adalat mein :

{1} قال الإمام أحمد : ثقة ربما غلط ،

{2} وقال عثمان الدارمي : ليس بذاك في الحديث ،

{3} وقال ابن حبان : كان يحيى القطان وعلي بن المديني يسيئان الرأي فيه، وذلك أنه لما كبر ساء حفظه ، فكان يهم إذا روى ،

{4} وقال العجلي: كان ثقة قديما ، صاحب سنة وعبادة ، وكان يخطئ بعض الخطأ ،

{5} وقال ابن سعد : كان ثقة صدوقا عارفا بالحديث والعلم ، إلا أنه كثير الغلط.

{6} وقال الحاكم أبو أحمد: ليس بالحافظ عندهم.

{7)} وقال يعقوب بن شيبة: في حديثه اضطراب،

{8} وقال الساجي: صدوق يهم ، وقال أبو نعيم: لم يكن في شيوخنا أحد أكثر غلطا منه ،

{9} وقال البزار: لم يكن بالحافظ .

[Tahzeeb Ut Tahzeeb 12/32-33]

{10} وقال الحافظ ابن حجر رحمه الله :أَمَّا الْحَنَفِيَّةُ : فَعَوَّلُوا عَلَى رِوَايَةِ مُجَاهِدٍ : أَنه صلى خلف ابن عُمَرَ ، فَلَمْ يَرَهُ يَفْعَلُ ذَلِكَ . وَأُجِيبُوا : بِالطَّعْنِ فِي إِسْنَادِهِ ، لِأَنَّ أَبَا بَكْرِ بْنِ عَيَّاشٍ رَاوِيَهُ سَاءَ حِفْظُهُ بِآخِرِهِ ، وَعَلَى تَقْدِيرِ صِحَّتِهِ : فَقَدْ أَثْبَتَ ذَلِكَ سَالِمٌ وَنَافِعٌ وَغَيْرُهُمَا عَنْهُ ، وَالْعَدَدُ الْكَثِيرُ أولى من وَاحِد ، لَا سِيمَا وَهْمْ مُثْبِتُونَ وَهُوَ نَافٍ ...

وَمِمَّا يَدُلُّ عَلَى ضَعْفِهِ : مَا رَوَاهُ الْبُخَارِيُّ فِي جُزْء رفع الْيَدَيْنِ ، عَن مَالك : أَن ابن عُمَرَ كَانَ إِذَا رَأَى رَجُلًا لَا يَرْفَعُ يَدَيْهِ إِذا ركع وَإِذا رفع : رَمَاه بالحصا انتهىمن

[Fatahul Ba'ari Jild - 2 , Safa : 220]
 

Top