Kya ghair muslim padosi ko Qurbani ka gosht de sakte hain?


Umar Asari

Administrator
Staff member
Kya ghair muslim padosi ko Qurbani ka gosht de sakte hain?

✯Sawaal:✯
Kya Qurbani ke gosht mein ghair muslim padosi ka bhi hissa hai ya nahi?

✵Jawaab:✵
Musalman ke liye yeh jaaiz hai ki woh apne ghair muslim padosi ki diljoyi aur us ki taleef e qalb k liye use Qurbani ke gosht ka tohfa de, haqq e pados ka bhi yeh taqaza hai aur Shari’at mein is ki mumani’at ki koyi daleel bhi nahi, Allah Taala ke is irshad ke umoom ke mutabiq bhi yeh jaaiz qarar paata hai:
لَا يَنْهَاكُمُ اللَّهُ عَنِ الَّذِينَ لَمْ يُقَاتِلُوكُمْ فِي الدِّينِ وَلَمْ يُخْرِجُوكُمْ مِنْ دِيَارِكُمْ أَنْ تَبَرُّوهُمْ وَتُقْسِطُوا إِلَيْهِمْ ۚ إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ الْمُقْسِطِينَ​
Tarjumah: Jin logon ne tum se deen ke baare mein ladaayi nahi ladi aur tumhein jila watan nahi kiya un ke saath sulook o ehsan karne aur munsifana bhale bartaao karne se Allah Taala tumhein nahi rokta, balki Allah Taala to insaf karne waalon se mohabbat karta hai.
(Surah Al-Mumtahinah, Surah No: 60 Ayat No: 8)

Fatwa Committee ki taraf se is masle mein pehle bhi fatwa jaari ho chuka hai (woh fatwa is tarah tha):

Hamaare liye yeh jaaiz hai ke hum kisi kafir zimmi aur qaidi ko Qurbani ka gosht khilaayen. Faqr, qarabat, pados ya taleef e qalb ke liye kisi bhi kafir ko Qurbani ka gosht dena jaaiz hai kiunki Qurbani ke janwar ko zabah ya nahar karna to Allah Taala ki ibadat aur us ke taqarrub ke husool ke liye hai aur us ke gosht ke baare mein afzal yeh hai ke ek sulus khud khaaye, ek sulus rishtedaron, padosiyon aur doston ko tohfa de aur ek sulus faqeeron mein sadqa kar de, is mein agar kami beshi ho jaaye ya kisi ek qism mein hi saara gosht khatm kar de to phir bhi koi harj nahi, is mein kafi gunjaish hai albatta kisi harbi kafir ko Qurbani ka gosht nahi dena chaahiye kiunki us ki diljoyi aur hosla-afzayi ke bajaye us ki kamzori aur zillat o ruswaayi maqsood hai.
Allah Taala ke is farmaan ke umoom ke pesh e nazar deegar nafli sadqat ke liye bhi yahi hukm hai:
لَا يَنْهَاكُمُ اللَّهُ عَنِ الَّذِينَ لَمْ يُقَاتِلُوكُمْ فِي الدِّينِ وَلَمْ يُخْرِجُوكُمْ مِنْ دِيَارِكُمْ أَنْ تَبَرُّوهُمْ وَتُقْسِطُوا إِلَيْهِمْ ۚ إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ الْمُقْسِطِينَ¤ إِنَّمَا يَنْهَاكُمُ اللَّهُ عَنِ الَّذِينَ قَاتَلُوكُمْ فِي الدِّينِ وَأَخْرَجُوكُمْ مِنْ دِيَارِكُمْ وَظَاهَرُوا عَلَىٰ إِخْرَاجِكُمْ أَنْ تَوَلَّوْهُمْ ۚ وَمَنْ يَتَوَلَّهُمْ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الظَّالِمُونَ​
Tarjumah: Jin logon ne tum se deen ke baare mein ladaayi nahi ladi aur tumhein jila watan nahi kiya un ke saath sulook o ehsan karne aur munsifana bhale bartaao karne se Allah Taala tumhein nahi rokta, balki Allah Taala to insaf karne waalon se mohabbat karta hai. Allah Taala tumhein sirf un logon ki mohabbat se rokta hai jinhon ne tum se deen ke baare mein ladaaiyan ladien aur tumhein shehar se nikaal diye aur shehar se nikaalne walon ki madad ki jo log aise kuffaar se mohabbat karen woh (qat’an) zalim hain.
(Surah Al-Mumtahinah, Surah No: 60 Ayat No: 8-9)

Nabi ﷺ ne Asma bint e Abi Bakr Radhiallahu Anha ko yeh hukm diya tha ke woh apni mushrik maa k saath maali taur par sulah rehmi kar sakti hain.
(Sahih Bukhari: 5978)

Fatwa Committee
Fatawa Islamia Urdu:
1/171
 

Similar threads


Top