AMEER UL MOMINEEN HZ UMAR BIN KHATTAB (RA)


Shona shaikh

Active member
AMEER UL MOMINEEN HZ UMAR BIN KHATTAB (RA)

Tareekh Damishq me ibn asaakir ne hazaam bin hishaam khuzza'e ke hawaale se naqal kiya hai ke mere waalid Hishaam ko hz Umar bin abdul aziz (rh) ne bulaaya toh mere waalid mujhe bhi apne saath le gaye, jab wah ameer ul momineen Umar bin abdul aziz (rh) ke paas pahunche toh Assalamu alaikum ya Ameer ul momineen kah kar salaam masnoon pesh kiya, unhone salaam ka jawab diya, phir mere waalid hishaam se Hz umar bin abdul aziz (rh) se poocha ke " Tumne hamare asalaaf ko bhi dekha hai, unke muqaable me hamko kis tarah dekha hai ???" Hisham ne jawab diya ke " har ek apne apne tareeqe par chal raha hai" iske baad mere waalid hishaam ne kaha ke " Hz umar farookh (ra) ke hasab e talab ek baar main us majlis me pahuncha tha, jahan aaj aapki majlis hai, toh maine hz umar farookh ko dekha ke wah apni sawaari se Utare aur khud Apne haath se apne kazaawah ko utaar kar baandh rahe they phir hz umar farookh (ra) ne logon ki sawaarion par ek nazar daudaayi toh ek sawaari ko dekha, uski rassi itni shakht bandhi thi ke uski gardan uske paaon se alag thi, hz umar farookh ne uski rassi ko dheela kar diya taake oont apni gardan poori tarah uta sake,

Baad me hz umar farookh ne Qadr e ghusse ki Haalat me pukaara ke is sawaari ka malik kaun hai ?? Ek shakhs ne jawab diya-"main hoon ya ameer ul momineen" Farmaya-"Tumne is jaanwar ke saath bahut bura sulook kiya hai, uske jigar past par sawaar hokar uske seenon par pair maarte hue pahunche phir jab uske chaara daana khaane ka waqt aaya toh tumne usko itna shakht baandha ke goya dono haddiyon ko (gardan ki haddi se paaon ki haddi se) jod diya, aise shakht baandhne se wah gardan kis tarah uthaayega aur apni rozi kis tarah kha sakega ????"
Hazaam kahte hain ke mere waalid Hishaam ne Ye waaqeya bayan karke hz umar bin abdul aziz se poocha ke is tarah Qaum ki Khidmat wa tarbiyat jaanwaron tak ke aaraam wa raahat ka khyaal aap kyun nahin karte ???
Is saadgi ke saath ke apne haath se apne kazaawah ko utaarna, apne haath se jaanwaron ko baandhna, deegar Sawaarion ki haalat ki tafteesh karna aur unki taqleef ka pata lagaana,
Taqleef me mubtela jaanwar ki rassi dheeli karna aur us jaanwar ke maalik ko uske saath Shaffaqqat wa ria'yat ki taaqeed karna, ye sab khaleefa raashid Hz umar farookh (ra) ka mubaarak wa dard'mandana amal tha, aur us pur'shoz waqeye ko sunkar Der tak hz umar bin abdul aziz (rh) Rote rahe, Aajke patthar dil kya isse sabaq lenge ????
( Tareekh ibn asaakir jild 4 page-122)

is waaqeye se hamen chand baaton ka ilm hua

1- Ameer ul momineen hz umar farookh (ra) ne apne aapko dusron se mumtaz nahin samjha, balke aam logon ne jis tarah apni sawaari se khud apne Haath se kazaawa utaara, unhi ki tarah unhone bhi bila kisi se madad liye apni sawaari se kazaawa utaara aur phir oont ko khoonte se baandha, Halaanke aap Ameer ul momineen they, Misr, syria, aur persia wagerah ke faateh aur maalik they, agar aap chaahte toh ek mulaazim rakh lete jo sirf oont se kazaawa utaarta, usko khoonte se baandhta, phir use chaara daana deta....

2- ek baat ye malum hui ke Jis tarah wah apni sawaari ke araam wa raahat ka khayal rakhte they, usi tarah dusron ki sawaarion ke aaraam wa raahat ka bhi khyaal rakhte they, warna unhen apni sawaari ko khoonte se baandhne ke baad dusron ki sawaarion par nigaah daalne ki kya zaroorat thi ????

3- ek baat ye malum hui ki wah zamaana saadgi pasandi ka tha, Warna Ameer ul momineen ko itni zahmat na uthaani padhti, balke koi khushamadi uthata aur Ameer ul momineen ki sawaari se kazaawa utaarta, phir usko khoonte se baandh deta, lekin poori Majlis me kisi ne bhi Ameer ul momineen ke kazaawah utaarne aur phir usko khoonte se baandh dene ki zaroorat mahsoos na ki, balke Ameer ul momineen hz umar farookh ne ye amal khud hi kiya, ye saadgi pasandi ka kitana accha zamana tha aur Khushamad pasandion aur ji huzoorion se door rahne ka mubaarak waqt tha.....
 
Top