Shona shaikh

Active member
Kya Hamaara Naam Sirf Musalmaan Hai?

Tehreer: Hafiz Abu Yahya Noorpoori Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Kuch logon ko lafz-e-Islam aur Muslim ka hayza ho gaya hai. Yeh log kisi kaafir-o-mushrik aur bid’ati se itni nafrat nahi karte, jitni Ahl-e-Hadith se karte hain. Inhon ne musalmaanon ko kaafir banaane ka theeka liya huwa hai. In ka kehna hai ke Allah ﷻ ne hamaara naam sirf musalmaan rakha hai, is liye jo koi apne aap ko Ahl-e-Sunnat ya Ahl-e-Hadith kehta hai, woh kaafir-o-mushrik ho jaata hai.
Is baat se kisi musalmaan ko inkaar nahi ke Allah ne hamaara naam musalmaan rakha hai aur hum musalmaan hi hain, lekin Allah ﷻ ne kahien bhi yeh nahi farmaaya ke tumhaara naam sirf musalmaan hai. Is silsile mein jo Ayat-e-Kareemah pesh ki jaati hai, woh yeh hai:
هُوَ سَمَّاكُمُ الْمُسْلِمِينَ مِنْ قَبْلُ وَفِي هَذَا​
Tarjumah: “Us (Allah) ne tumhaara naam musalmaan rakha, is se pehle bhi aur is (Quran) mein bhi.”
(Surah Al-Hajj: 78)

Is Ayat mein koi aisa kalimah iste’maal nahi kiya gaya jis se yeh saabit ho ke hamaara naam sirf musalmaan hai ya Allah ne hamaara naam sirf musalmaan rakha hai, us ke alawah koi naam rakhna jaaiz hi nahi raha aur jo apna koi aur naam rakh lega, woh musalmaan hi nahi rahega.
Khud Allah ﷻ aur us ke Rasool ﷺ ne musalmaanon ke aur bhi naam rakhe hain, jaisa ke:
Haarith Ash’ari Radhiallahu Anhu bayan karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
فَادْعُوا بِدَعْوَى اللهِ الَّذِي سَمَّاكُمُ الْمُسْلِمِينَ الْمُؤْمِنِينَ، عِبَادَ اللهِ​
Tarjumah: “Tum Allah ki pukaar ke saath pukaaro, jis ne tumhaara naam musalmaan, Momin aur ’Ibaadallah rakha hai.”
(Sunan Tirmizi: 2863, Is ki sanad Sahih hai)

Is Hadith ke mutabiq Allah ﷻ ne hamaare teen naam rakhe hain; Musalmaan, Momin aur ’Ibaadallah. Kya koi keh sakta hai ke jo Momin ke siwa apna koi naam rakh lega, woh Momin nahi rahega aur jo Abdullah ke alawah apna koi naam rakh le, woh Allah ka bandah nahi rahega aur jo in teenon mein se kisi naam ko chhodega, woh Islam aur Imaan se nikal jaayega?
Hamaara aise logon se sawaal hai ke Allah ne jab Momin aur ’Ibaadallah naam bhi rakha hai to aap log Momin aur ’Ibaadallah naam kiun nahi rakhte? Isi tarah Allah ﷻ ne daur-e-nubuwwat ke musalmaanon ke do naam “Muhaajireen” aur “Ansaar” bhi zikr kiye, jaisa ke farmaane-e-Baari hai:
لَقَدْ تَابَ اللهُ عَلَى النَّبِيِّ وَالْمُهَاجِرِينَ وَالأَنْصَارِ​
Tarjumah: “Yaqeenan Allah ﷻ ne apne Nabi par aur muhaajireen-o-ansaar par meharbaani farmaayi.”
(Surah At-Taubah: 117)

Nabi-e-Akram ﷺ ne bhi jis tarah musalmaanon ko [یَا مَعْشَرَ الْمُسْلِمِینَ] (Aye musalmaanon ki jama’at!) keh kar pukaara (Sahih Bukhari: 4141, Sahih Muslim: 2770), usi tarah un ko [یَا مَعْشَرَ الْمُهَاجِرِينَ] (Aye muhaajireen ki jama’at!) (Sahih Bukhari: 6830) aur [یَا مَعْشَرَ الْـأَنْصَارِ] (Aye ansaar ki jama’at!) (Sahih Bukhari: 4330, Sahih Muslim: 1059) keh kar bhi yaad farmaaya.

Nabi-e-Akram ﷺ ne musalmaanon ko kayi aur naamon se bhi pukaara aur yaad farmaaya, lekin hum ne khaas taur se muhaajireen aur ansaar ka zikr is liye kiya hai ke Islam ke kuch theekedaaron ko jab yeh kaha jaata hai ke agar Allah ne tumhaara naam sirf musalmaan rakha hai to tumhaara naam Mas’ood, Haneef, Shameem waghera kiun hai? To woh yeh jawaab de kar baat taalne ki koshish karte hain ke yeh paabandi sirf mazhabi naam par hai, yani Muslim ke siwa koi mazhabi naam nahi rakha jaa sakta, masalan Ahl-e-Sunnat aur Ahl-e-Hadith waghera mazhabi naam hain, yeh naam na-jaaiz hain, in ki wajah se musalmaan mushrik aur firqa parast ban jaata hai.
Halanki Ahl-e-Sunnat aur Ahl-e-Hadith dono usi tarah ke mazhabi naam hain, jis tarah ke mazhabi naam muhaajireen aur ansaar hain. Muhaajireen ko Hijrat jaise mazhabi fareeze ko anjaam dene par muhaajireen ka naam diya gaya aur un be-yaar-o-madadgaar muhaajireen ki madad jaise deeni kaarnaame ki wajah se Madinah ke musalmaanon ko ansaar ka naam diya gaya. Jab kisi mazhabi kaarnaame ki wajah se koi naam jaaiz hai to Quran-o-Sunnat par amal jaise mazhabi kaarnaame ki wajah se Ahl-e-Sunnat ya Ahl-e-Hadith kehalwaana kaise shirk aur kufr ban gaya?
Agar ab bhi kisi ki samajh mein baat nahi aayi to hum ek aur tarah se samjhaaye dete hain. Islam aur musalmaan koi nai (new) istilaah (term) nahi, balke pehli ummaton mein bhi Deen-e-Islam hi tha, jaisa ke farmaane-e-baari Ta’ala hai:
إِنَّ الدِّينَ عِندَ اللَّهِ الْإِسْلَامُ​
Tarjumah: “Be-shak deen Allah ke haan Islam hi hai.”
(Surah Aal-e-Imran: 19)

Isi liye Sayyiduna Ibrahim aur Sayyiduna Ya’qoob Alaihimassalam ne apne beton ko wasiyyat farmaayi thi:
إِنَّ اللهَ اصْطَفَىٰ لَكُمُ الدِّينَ فَلَا تَمُوتُنَّ إِلَّا وَأَنتُم مُّسْلِمُونَ​
Tarjumah: “Allah ﷻ ne tumhaare liye deen (Islam) pasand kiya hai, lihaaza tum na marna magar is haalat mein ke tum musalmaan ho.”
(Surah Al-Baqarah: 132)

Sayyiduna Sulaiman Alaihissalam ne Bilqees aur us ki ri’aaya (public) ko letter likha tha:
أَلَّا تَعْلُواْ عَلَىَّ وَأْتُونِى مُسْلِمِينَ​
Tarjumah: “Mere khilaaf sarkashi na karo aur musalmaan ho kar mere paas aa jaao.”
(Surah An-Naml: 31)

Yani pehle Ambiya ka deen bhi Islam hi tha aur pehli ummaton ko bhi musalmaan hi hone ka hukm tha, lekin is ke bawjood apne Ambiya ke pairokaar (followers) yahoodi kehlaate the ya nasraani, agar woh Ahl-e-Tauheed the, to jannat mein jaayenge, jaisa ke Allah ﷻ ka farmaan hai:
إِنَّ الَّذِينَ آمَنُوا وَالَّذِينَ هَادُوا وَالنَّصَارَىٰ وَالصَّابِئِينَ مَنْ آمَنَ باللهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ وَعَمِلَ صَالِحًا فَلَهُمْ أَجْرُهُمْ عِندَ رَبِّهِمْ وَلَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُونَ​
Tarjumah: “Bila-shubha jo log (Muhammed ﷺ par) imaan laaye aur jo yahoodi, nasraani aur Saabi (baap daada ka deen chhod kar naya deen qabool karne waale) bane, un mein se jo log Allah aur aakhirat ke din par imaan rakhte the aur neik amal karte the, un ke liye un ke Rabb ke paas ajr hai aur un par na koi khauf hoga, na woh ghamgeen honge.”
(Surah Al-Baqarah: 62)

Yani yahood-o-nasara kehlaane waale Momino ko bhi jannat ki khushkhabri sunaayi gayi hai.
Isi tarah kuch log Nabi ﷺ ki be’sat se pehle jahiliyyat ke daur mein bhi Ahl-e-Tauheed the, jinhon ne but-parasti chhod kar Tauheed ko apna liya tha. Un ka deen Nasraniyyat tha. Musalmaanon ka is par ittefaaq hai ke aise log jannati hain. Waraqah bin Naufal se kaun waaqif nahi? Yeh unhien logon mein se the. Zara un ka intro Aisha Radhiallahu Anha ki zabaani mulahza farmaayen:
وَكَانَ امْرَأً تَنَصَّرَ فِي الْجَاهِلِيَّةِ، وَكَانَ يَكْتُبُ الْكِتَابَ الْعِبْرَانِيَّ، فَيَكْتُبُ مِنَ الْإِنْجِيلِ بِالْعِبْرَانِيَّةِ مَا شَاءَ اللهُ أَنْ يَكْتُبَ​
Tarjumah: “Waraqah bin Naufal daur-e-jaahiliyat mein but-parasti chhod kar nasraani huwe the, woh ibraani zabaan likhna jaante the, chunanche jis qadar unhein taufeeq milti ibraani zabaan mein injeel likhte rehte.”
(Sahih Bukhari: 3, Sahih Muslim: 160)

Ya’ni Muwahhid hone ke saath saath Waraqah bin Naufal ka mazhab Nasraniyyat tha. Nasraniyyat ke naam ki wajah bhi dekh len. Imam Qatadah Taba’ee Rahimahullah farmaate hain:
تسموا بقرية يقال لها ”ناصرة“، كان عيسى ابن مريم ينزلها​
Tarjumah: “Un ka yeh naam ek basti [Nasirah] ki wajah se pada jis mein Esa bin Maryam tashreef laaya karte the.”
(Tafseer-e-Tabri: 145/2, Iski sanad Sahih hai)

Ya’ni pichhli ummaton ko bhi musalmaan hone ka hukm tha aur un se bhi sirf Deen-e-Islam hi ka mutaalibah tha. Pehle Ambiya ne Islam hi ki da’wat di aur Ambiyaa-e-karaam ke pairokaar musalmaan hi the, lekin musalmaan hone ke saath koi Ahl-e-Tauheed yahoodi ya nasraani bhi kehlaaya, to Allah ki jannat ka waaris qaraar paaya. Is se ma’loom huwa ke musalmaan hote huwe koi aisa deeni, mazhabi, tanzeemi, tehreeki aur maslaki naam kufr-o-shirk nahi hota, jis mein koi shar’ee buraayi na ho. Asal baat to Aqeedah aur Manhaj ki hai. Agar Aqeedah aur Manhaj salaamat nahi, to lakh baar musalmaan kehlaaye aur karod baar Islam ka da’wa kare, najaat aur chhutkaara mumkin nahi. Aur agar Aqeedah aur Manhaj durust hai to musalmaan hone ke saath Muhajir kehlaaye ya Ansaari, Ahl-e-Sunnat kehlaaye ya Ahl-e-Hadith, najaat se koi cheez rukaawat nahi ban sakti.
Nasraniyyat ek mazhabi naam tha, jo ek basti ki wajah se pada tha. Jab musalmaan hote huwe ek basti ki taraf mansoob mazhabi naam Waraqah bin Naufal ki najaat mein rukaawat nahi ban saka, to Quran-o-sunnat ki taraf mansoob naam hum Ahl-e-Tauheed ke liye Kufr-o-Shirk kaise ban gaya?
Yahan yeh baat zehan mein rahe ke kisi kufriya aur shirkiya aur baatil Aqeede aur Manhaj ki taraf nisbat karne ke liye rakhe jaane waale jama’ati naam apne mansoob Ilaih Aqeedah aur Manhaj ki wajah se na-jaaiz hain, is liye nahi ke musalmaan hote huwe koi doosra jama’ati naam nahi rakha jaa sakta.
 
Last edited:

Top