Kya Hazrat Muawiya Razi Allahu Anhu Ne Hazrat Sa'ad Razi Allahu Anhu se ye kaha ki Aap Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ko gaali kyu nahi dete


Abdul Adil

Member
Sayyadana Muawiyah Razi Allahu Anhu se Sayyadana Ali Razi Allahu Anhu ko gaali dena sabit nahi hai , Na hi Aapne aisa kisi ko karne ka huqm diya . Sahih Muslim ki ek riwayat se istidlal kiya jata hai lekin usse tanqeed aur mukhalifat karna sabit hai na ki gaali dena.

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

Imam Muslim Rahimahulla kahte hai

حَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ بْنُ سَعِيدٍ، وَمُحَمَّدُ بْنُ عَبَّادٍ - وَتَقَارَبَا فِي اللَّفْظِ - قَالَا: حَدَّثَنَا حَاتِمٌ وَهُوَ ابْنُ إِسْمَاعِيلَ - عَنْ بُكَيْرِ بْنِ مِسْمَارٍ، عَنْ عَامِرِ بْنِ سَعْدِ بْنِ أَبِي وَقَّاصٍ، عَنْ أَبِيهِ، قَالَ: أَمَرَ مُعَاوِيَةُ بْنُ أَبِي سُفْيَانَ سَعْدًا فَقَالَ: مَا مَنَعَكَ أَنْ تَسُبَّ أَبَا التُّرَابِ؟ فَقَالَ: أَمَّا مَا ذَكَرْتُ ثَلَاثًا قَالَهُنَّ لَهُ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَلَنْ أَسُبَّهُ، لَأَنْ تَكُونَ لِي وَاحِدَةٌ مِنْهُنَّ أَحَبُّ إِلَيَّ مِنْ حُمْرِ النَّعَمِ، سَمِعْتُ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ لَهُ، خَلَّفَهُ فِي بَعْضِ مَغَازِيهِ، فَقَالَ لَهُ عَلِيٌّ: يَا رَسُولَ اللهِ خَلَّفْتَنِي مَعَ النِّسَاءِ وَالصِّبْيَانِ؟ فَقَالَ لَهُ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «أَمَا تَرْضَى أَنْ تَكُونَ مِنِّي بِمَنْزِلَةِ هَارُونَ مِنْ مُوسَى؟ إِلَّا أَنَّهُ لَا نُبُوَّةَ بَعْدِي» وَسَمِعْتُهُ يَقُولُ يَوْمَ خَيْبَرَ «لَأُعْطِيَنَّ الرَّايَةَ رَجُلًا يُحِبُّ اللهَ وَرَسُولَهُ، وَيُحِبُّهُ اللهُ وَرَسُولُهُ» قَالَ فَتَطَاوَلْنَا لَهَا فَقَالَ: «ادْعُوا لِي عَلِيًّا» فَأُتِيَ بِهِ أَرْمَدَ، فَبَصَقَ فِي عَيْنِهِ وَدَفَعَ الرَّايَةَ إِلَيْهِ، فَفَتَحَ اللهُ عَلَيْهِ، وَلَمَّا نَزَلَتْ هَذِهِ الْآيَةُ: {فَقُلْ تَعَالَوْا نَدْعُ أَبْنَاءَنَا وَأَبْنَاءَكُمْ} [آل عمران: 61] دَعَا رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَلِيًّا وَفَاطِمَةَ وَحَسَنًا وَحُسَيْنًا فَقَالَ: «اللهُمَّ هَؤُلَاءِ أَهْلِي»

Amir Bin Sa'ad Rahimahulla apne Walid Sa'ad Bin Abi Waqqas Razi Allahu Anhu se riwayat karte hai ki Hazrat Muawiyah Razi Allahu Anhu ne Sa'ad Bin Abi Waqqas Razi Allahu Anhu se kaha : Aap ko isse kya cheej rokti hai ki Aap Abu Turaab (Hazrat Ali Razi Allahu Anhu) ko bura kahe ? Unhone jawab diya : Jab tak mujhe wo teen bate yaad hai jo Rasoolullah ﷺ ne Un (Hazrat Ali Razi Allahu Anhu) se kahi thi , main hargiz unhe bura nahi kahunga . Unme se koyi ek baat bhi mere liye ho to mujhe wo mujhe surkh oonton (camels) se jyada pasand hogi. main Rasoolullah ﷺ se suna tha , Aap ne unse (us waqt) kah rhe the jab Aap ek jung mein unko piche chod kar ja rhe the aur Ali Razi Allahu Anhu ne unse kaha tha : Allah ke Rasool ﷺ , Aap mujhe auraton aur baccho mein piche chod kar ja rhe hai ? To Rasoolullah ﷺ ne unse farmaya : Tumhe ye pasand nahi ki Tumhara mere sath wahi makam ho jo Hazrat Haroon Alaihissalam ka Hazrat Moosa Alaihissalam ke sath tha , magar mere baad Nabuwat nahi.

Isi Tarah Khaibar ke din Maine Aap ﷺ ko ye kahte huye suna tha : Ab Jhanda us shakhs ko doonga jo Allah aur Uske Rasool ﷺ se muhabbat karta hai , Allah Aur Uske Rasool ﷺ usse muhabbat karte hai Kaha : fir hamne us baat (ka misdaaq janne) ke liye Apni gardane utha utha kar (har taraf) dekha to Rasoolullah ﷺ ne farmaya : Ali ko Mere Paas Bulao . Unhe Shadeed Aashoob chism ki halat me laya gaya . Aap ﷺ ne unki aankho mein apna lua'ab lagaya aur jhanda unhe ata farma diya . Allah ne unke hanth par khaibar fatah farma diya.

Aur jab ye Ayat utri (To Aap kah de : Aao) Ham apne beton aur tumhare beton ko bula len. "To Rasoolullah ﷺ ne Hazrat Ali , Hazrat Fatima , Hazrat Hasan , Aur Hazrat Hussain Razi Allahu Anhum" ko bulaya aur farmaya : Aie Allah ye mere ghar wale hai.

[Sahih Muslim : 2404 & International Number : 6220]

Yahi wo hadees hai jiski wajah se ye kaha jata hai ki Hazrat Muawiya Razi Allahu Anhu ne Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ko gali dene ka huqm diya , Hadees Ke alfaaz hai 👇

{مَا مَنَعَكَ أَنْ تَسُبَّ أَبَا التُّرَابِ}

Is hadees mein lafz "تَسُبَّ" ka matlab mirza sahab aur unke muqallideen gali lete hai halakin lafz Shab ka matlab har jagah gaali nahi hota , Aur Ham Sahaba ke baare mein aisa kabhi soch nahi sakte ki Koyi Sahabi gaali de .

Agar Hazrat Ameer E Muawiya Razi Allahu Anhu , Hazrat Sa'ad Razi Allahu Anhu ko gaali dene ka huqm dete to Hazrat Ameer E Muawiya Razi Allahu Anhu ka ye kahna sahih hoga ya galat ? Jahir si baat hai galat hoga.
aur Hazrat Sa'ad Bin Abi Waqqas Razi Allahu Anhu , Hazrat Ameer Muawiyah Razi Allahu Anhu ko saccha samjhte ya galat ? Jahir si baat hai galat. Lekin Hazrat Sa'ad Razi Allahu Anhu , Hazrat Ameer E Muawiya Razi Allahu Anhu ke bare mein farmata hai 👇

أن سعد بن أبي وقاص قال : ما رأيت أحداً بعد عثمان أقضى بحق من صاحب هذا الباب ـ یعنی معاوية

Hazrat Sa'ad Bin Abi Waqqas Razi Allahu Anhu kahte hai ki Maine Usman Razi Allahu Anhu ke baad saari jindagi Haq ke ayn mutabik faisla karne wale is darwaze Yani Muawiya Razi Allahu Anhu se badhkar kisi ko nahi dekha.

[Al-Bidaya Wal-Nihaya Jild - 8 , Safa : 133 Maktaba Bairut]

Ab Sawal hai ki Hazrat Sa'ad Razi Allahu Anhu kiski tareef kar rhe hai ? Hazrat Muawiya Razi Allahu Anhu ki aur kah rhe hai Hazrat Usman Razi Allahu Anhu ke mutabik faisla karne wale the , Ab Agar Muawiya Razi Allahu Anhu ne Hazrat Sa'ad Razi Allahu Anhu ko agar gali dene ke liye kahte to Hazrat Sa'ad Razi Allahu Anhu ye kyu kahte hai ki Hazrat Muawiya Razi Allahu Anhu Haq ke mutabik faisla karne wale the ? iska matlab hai Hazrat Muawiya Razi Allahu Anhu ne Hazrat Sa'ad Razi Allahu Anhu se gaali dene ke liye Hazrat Ali Razi Allahu Anhu Anhu ko nahi kaha tha.


Lafz E Sab Ki Tareef ________

Shaikh Ul Islam Ibne Taimiyah Rahimahulla (Died 728 Hijj) farmate hai :

هو الكلام الذي يقصد به الانتقاص والاستخفاف وهو ما يفهم من الشب بعقول الناس على اختلاف اعتقاداتهم، كاللعن والتقبيح، ونحوهما.

Sab se murad aisa kalam hai , jisse kisi ki shan mein (adna) tankeesh aur istekhafat maqsood ho , iska mafhoom eteqadat ke lihaz se mukhtalif hoga. Maslan kisi ko layeen ya kabeeh waghairah karar dena.

[الصارم المسلول على شاتم الرسول ص 561]


Wajeh rahe ki Sahaba E Kiram Razi Allahu Anhu ek doosre ko kabeeh galiya nahi dete , Jin Sahaba se lafz "Sab" aaya hai , unse Ijtehaad mein khata ka karar dena hai unki raay se ikhtelaaf rakhna ya un par tanqeed karna murad hai . Sab wa Shitam ka har jagah ek Maana nahi hota . Kisi ko bura bhala kahna bhi Sab hai , Maslan

1] Abdullah Ibne Masood Razi Allahu Anhu , Fatima Razi Allahu Anhu ke bare mein farmate hai

أَقْبَلَتْ عَلَيْهِمْ تَسُبُّهُمْ

Fatima Razi Allahu Anhu aayi aur Mushrikon ko bura bhala kaha.

[Sahih Bukhari Hadees Number : 520 , Sahih Muslim. Hadees Number : 1794]

Ab kya Mirza Sahab aur Unke Muqallideen yahan par bhi lafz تَسُبُّهُمْ ka tarzuma gaali karenge ? (Nauzobillah)

2] Sayyadana Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu bayan karte hai

قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : لَا تَسُبُّوا أَصْحَابِي فَلَوْ أَنَّ أَحَدَكُمْ أَنْفَقَ مِثْلَ أُحُدٍ ذَهَبًا مَا بَلَغَ مُدَّ أَحَدِهِمْ وَلَا نَصِيفَهُ

Rasoolullah ﷺ ne farmaya "Mere Ashaab ko bura bhala mat kaho. agar koyi shaksh Ohad pahad ke barabar bhi Sona (Allah Ki Rah mein) kharch kar dale to unke ek mud galla ke barabar bhi nahi ho sakta aur na unke aadhe mud ke barabar"

[Sahih Bukhari Hadees Number : 3673]

Rasoolullah ﷺ Ne ye alfaaz لَا تَسُبُّوا أَصْحَابِي Hazrat Khalid Bin Waleed Razi Allahu Anhu se kaha kyunki Abdur Rahman Bin Aouf Razi Allahu Anhu aur Hazrat Khalid Razi Allahu Anhu ke darmiyan kuch maslo mein ikhtelaaf ho gaya tha , to kya ab yahah ye matlab liya jayega ki Nauzobillah Khalid Bin Waleed Razi Allahu Anhu ne Hazrat Abdurrahman Bin Auf Razi Allahu Anhu ko Nauzobillah gali diye the.

Jabki Musnad Ahmad mein ye hadees detail me hai ki Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai ki

كَانَ بَيْنَ خَالِدِ بْنِ الْوَلِيدِ وَبَيْنَ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ عَوْفٍ كَلَامٌ فَقَالَ خَالِدٌ لِعَبْدِ الرَّحْمَنِ تَسْتَطِيلُونَ عَلَيْنَا بِأَيَّامٍ سَبَقْتُمُونَا بِهَا فَبَلَغَنَا أَنَّ ذَلِكَ ذُكِرَ لِلنَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ دَعُوا لِي أَصْحَابِي فَوَالَّذِي نَفْسِي بِيَدِهِ لَوْ أَنْفَقْتُمْ مِثْلَ أُحُدٍ أَوْ مِثْلَ الْجِبَالِ ذَهَبًا مَا بَلَغْتُمْ أَعْمَالَهُمْ

Hazrat Khalid Bin Waleed Razi Allahu Anhu aur Hazrat Abdurrahman Bin Auf Razi Allahu Anhu ke darmiyan kuch talkhi ho gayi thi. Hazrat Khalid Bin Waleed Bin Razi Allahu Anhu ne Hazrat Abdurrahman Bin Auf Razi Allahu Anhu se kaha tha ki Aap log ham par un Ayyam (Din) ki wajah se lambe hona chahate hai jinme Aap ham par Islam lane mein sabqat le gaye ? Rasoolullah ﷺ ko ye baat maloom huyi to farmaya ki mere Sahaba Razi Allahu Anhu ko mere liye chod do. Us jaat ki kasam jiske dast E Qudrat mein meri jaan hai , agar tum Ohad pahad ke barabar bhi sona kharch kar do to unke amaal ke barabar nahi pahunch sakte

[Musnad Ahmad Jild-5 , Hadees Number : 2751]

3] Sayyadana Jabir Razi Allahu Anhu bayan farmate hai

أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ دَخَلَ عَلَى أُمِّ السَّائِبِ أَوْ أُمِّ الْمُسَيَّبِ فَقَالَ مَا لَكِ يَا أُمَّ السَّائِبِ أَوْ يَا أُمَّ الْمُسَيَّبِ تُزَفْزِفِينَ قَالَتْ الْحُمَّى لَا بَارَكَ اللَّهُ فِيهَا فَقَالَ لَا تَسُبِّي الْحُمَّى فَإِنَّهَا تُذْهِبُ خَطَايَا بَنِي آدَمَ كَمَا يُذْهِبُ الْكِيرُ خَبَثَ الْحَدِيدِ

Rasoolullah ﷺ (Ek Ansari Khatoon) Hazrat Umme Saayeb Ya Umme Musaib Razi Allahu Anha ke yahan tashreef le gaye : Aap ﷺ ne farmaya "Umme Saayeb Ya (Farmaya) Umme Musaib Tumhe kya hua ? Kya tum siddat se kaanp rahi ho ? Unhone kaha : Bukhar hai , Allah Ta'ala isme barkat na de , Aap ﷺ ne farmaya : Bukhar ko bura na kaho , kyunki ye Aadam ki aulad ke gunaho ko isi tarah door karta hai jis tarah bhatthi lohe ki jang kl door karti hai"

[Sahih Muslim Hadees Number : 2575 & International Number : 6570]

Rasoolullah ﷺ ne Umme Sayib Ya Umme Musaib Razi Allahu Anhu se kaha لَا تَسُبِّي Bukhar ko bura na kaho.

Kya Ab Mirza Sahab aur Unke Muqallideen yaha par ye tarzuma karenge ki Rasoolullah ﷺ ne ye kaha ki Bukhar ko gaali na do ? (Nauzobillah)

4] Hazrat Ali Razi Allahu Anhu Aur Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu ke darmiyan ek masle mein ikhtelaaf hua to

قَالَ عَبَّاسٌ : يَا أَمِيرَ الْمُؤْمِنِينَ اقْضِ بَيْنِي وَبَيْنَ هَذَا , وَهُمَا يَخْتَصِمَانِ فِي الَّذِي أَفَاءَ اللَّهُ عَلَى رَسُولِهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مِنْ بَنِي النَّضِيرِ فَاسْتَبَّ عَلِيٌّ , وَعَبَّاسٌ ، فَقَالَ الرَّهْطُ : يَا أَمِيرَ الْمُؤْمِنِينَ اقْضِ بَيْنَهُمَا وَأَرِحْ أَحَدَهُمَا مِنَ الْآخَرِ.

Abbas Razi Allahu Anhu ne kaha , Ameer ul Momineen (Hazrat Umar Razi Allahu Anhu) Mera aur In (Ali Razi Allahu Anhu) ka faisla kar dijiye. wo dono us jaydad ke bare mein jhagad rahe the. Jo Allah Ta'ala ne Rasoolullah ﷺ ko maal banu nazeer se fay ke taur par di thi. Is mauqe par Ali Razi Allahu Anhu aur Abbas Razi Allahu Anhu ne ek doosre ko shakth sust kaha aur ek doosre par tanqeed ki to haazreen bole , Ameer ul Momineen , Aap in dono buzurgon ka faisla kar de taki dono mein koyi jhadga na ho.

[Sahih Bukhari Hadees Number : 4033]

Ab kya Mirza aur Uske Muqallideen فَاسْتَبَّ عَلِيٌّ , وَعَبَّاسٌ iska Tarzuma Ye karenge ki Ali Razi Allahu Anhu aur Abbas Razi Allahu Anhu ek doosre ko Nauzobillah gali de rhe the ?

Agar koyi kahe ki Mugeera Bin Shoba Razi Allahu Anhu waghairah Sayyadana Ali Razi Allahu Anhu ko bura bhala kaha karte the , to arz hai ki jab Sahaba E Kiram Razi Allahu Anhum ke darmiyan junge tak ho gayi aur ye gunah maaf ho gaya to bil-aula ek doosre ko bura bhala kahna to kam tar gunah hai to ye to bil-aula maaf hai.

In Sare hawalon se pata chala ki Hazrat Muawiya Razi Allahu Anhu na to Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ko gali di na to Hazrat Sa'ad Bin Abi Waqqas Razi Allahu Anhu ko huqm diya

Allah Ta'ala Ham Sab Ko Haq Samjhane Aur Haq Baat Kabool Karne ki Taufeeq Ata Farmaye Ameen Ya Rabbul Alameen
 

Top