Kya Hazrat Muawiya Razi Allahu Anhu ne Mugheerah Razi Allahu Anhu ko khat likha aur Hazrat Ali Razi Allahu Anhu par sabb wa shitam kiya


Abdul Adil

Member
Kya Hazrat Muawiya Razi Allahu Anhu ne Mugheerah Razi Allahu Anhu ko khat likha aur Hazrat Ali Razi Allahu Anhu par sabb wa shitam kiya ?

Tehqeeq :-
Shaikh Gulam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafizahullah

Roman Script :- Aijaz Ahmad

Baaz Ahbaab khaas karke rafzi aur naam nihad tunni Muawiyah Razi Allahu Anhu par ek ilzam yeh lagate hai ki unhone Ali Razi Allahu Anhu par sabb wa shitam kiya. Kayi Riwayate is mutalliq pesh ki jaati hai lekin Koyi ek riwayat bhi sahih ya hasan darjey ko nahi pahunchti . hum ek ek karke in Riwayaton ki tehqeeq pesh karengay In Sha Allah.

Muawiyah Razi Allahu Anhu se yeh Qat’an sabit nahih ki unhownay Ali Razi Allahu Anhu par sabb wa shitam kiya. yeh rafziyon ki jhoot bayani aur naam nihad tunniyon ka kaam hai Ki woh Muawiyah Razi Allahu Anhu par jhoot bandhte hai. hum in rafziyon se aur naam nihad tunniyon se adaban guzarish karte hai ki woh muhadissin ke usool se ek Saheeh sanad riwayat pesh karen jisme Muawiyah Razi Allahu Anhu ne Ali Razi Allahu Anhu par sabb wa shitam kiya ho yaad rahey saheeh sanad ke sath pesh karni hogi naa ki zaeef, kazzab, majruh, rafzi rawiyon se .

Ab hum ek riwayat ki tehqeeq is mutalliq pesh kartae hai.

Suhaim bin hafs kahte hai

حَدَّثَنِي الْمَدَائِنِيُّ عَنْ “عَبْدِ اللَّهِ بْنِ فَائِدٍ وَسُحَيْمِ بْنِ حَفْصٍ ” قَالا: كَتَبَ مُعَاوِيَةُ إِلَى الْمُغِيرَةِ بْنِ شُعْبَةَ: أَظْهَرَ شَتْمَ عَلِيٍّ وَتَنَقُّصَهُ، فَكَتَبَ إِلَيْهِ: مَا أُحِبُّ لَكَ يَا أَمِيرَ الْمُؤْمِنِينَ أَنْ كُلَّمَا عَتَبْتَ تَنَقَّصْتَ، وَكُلَّمَا غَضِبْتَ ضَرَبْتَ، لَيْسَ بَيْنَكَ وَبَيْنَ ذَلِكَ حَاجِزٌ مِنْ حِلْمِكَ وَلا تَجَاوُزٌ بِعَفْوِكَ.

Hazrat Muawiyah Razi Allahu Anhu ne Hazrat Mugheerah Razi Allahu Anhu ko khat likha usme Hazrat Ali Razi Allahu Anhu par shitam kiya tha aur unki tanqees ki gayi thi ,to Mugheerah Razi Allahu Anhu ne jawabi khat likha ki Ameerul momineen ye andaaz kalaam aapki shayaan shaan nahih samajtha ki aap aib joyi karte aur tanqees shaan karte hai, gussa hote hai aur marte hai, kya aapka ilm aapko rokhta nahih hai ? Aap aafu se kaam kyun nahih lete?

[Ansaab ul Ashraf Lil Balazuri 5/23]

Ye Riwayat kayi wajah se mauzu hai

أنساب الأشراف للبلاذري

Yeh kitab sabit nahih hai. Balki yeh Imam Balazuri Rahimaullah ki taraf mansub ki gayi hai.


Imam Ibne Kaseer Rahimahulla farmate hai

المنسوب إليه

Ansaabul ashraaf balzuri Rahimaullah ki taraf mansub hai.

[Al-Bidaya Wal-Nihaya 11/75]

Balazuri Rahimaullah ki maotabar tauseeq sabit nahih.

Shaikh Zubair Ali Sai Rahimahulla Likhte hai

1) Ansaab ul ashraaf ke matbuh nuske ki asal sanad naa maloom hai.

2) Balazuri se is kitab ke raawi ka naam maloom nahih.

3) Ansaab ul ashraf ki kayi riwayate saheehain , saheeh hadees ke khilaf honay ki wajah se munkir wa mardood hai.

(Al-Hadees :108 Page : 34)

Agar bil farz is kitab ko saheeh maan bhi liya jayeh to yeh riwayat mauzu hai , uski do wajah hai

1) PEHLI WAJAH


عَبْدِ اللَّهِ بْنِ فَائِدٍ وَسُحَيْمِ بْنِ حَفْصٍ

dono majhool hai aur dono ne Muawiya Razi Allahu Anhu ka zamana nahi paya hai

2) DOOSRI WAJAH

Balaazuri ke pass Muawiyah Razi Allahu Anhu ki tanqees mein mauzu riwayat thi, jaisa ki balazuri ne kaha

قَالَ لي هشام بْن عمار : نظرت فِي أحاديث مُعَاوِيَة عندكم فوجدت أكثرها مصنوعًا.

Mujhe Hisham bin Ammar ne kaha ki apke pass Muawiyah Razi Allahu Anhu ki mazammat mein hadees hai joh mainay dekhi hai, unmein se aqsar mangadhat hai.

[Ansaab ul Ashraaf Lil Balazuri 5/74]

Hum in naam nihad rafziyon se arz kartay hai ki saheeh sanad ke sath yeh kitab sabit kare ,aur in dono raawiyon ki tauseeq sabit kare inko subah qayamat tak ka waqt hai.

KALAAM HASIL.

YEH RIWAYAT MAUZU HAI.
 

Top