Kya Hussain R A ke shaheed hone par Yazeed ne ye kaha ki "Aaj Main Jang E Badr mein shaheed hone wale apne baap-dada ke khoon ka badla le liya hun"


Abdul Adil

Member
Kya Hussain Razi Allahu Anhu ke shaheed hone par Yazeed ne ye kaha ki "Aaj Main Jang E Badr mein shaheed hone wale apne baap-dada ke khoon ka badla le liya hun"

Roman Script :-
Abdul Adil Ansari

Asal Mazmoom :- Yazeed Ibne Muawiyah Par Iljemaat Ka Tahqeeqi Jayeza Safa Number : 797-799]

Imam Ibne Zauzi Rahimaullah (Died 597 Hijj) ne kaha

"أنبأ علي بن عبيد الله الزاغوني، قال: (أنبأ محمد بن أحمد الكاتب)، قال: أنبأ عبد الله بن أبي سعد الوراق، قال: ثنا محمد بن حميد، قال: ثنا محمد بن يحيى الأحمري، قال: ثنا ليث، عن مجاهد، قال: جيء برأس الحسين بن علي، فوضع بين يدي يزيد بن معاوية فتمثل بهذين البيتين:... ليت أشياخي ببدر شهدوا... جزع الخزرج من وقع الأسل ...فأهلوا واستهلوا فرحاً ... ثم قالوا لي بغيب (وفي نسخة هنيئا) لا تشل"

Mujahid kahte hai ki Hussain Razi Allahu Anhu ka sar yazeed ke pass rakha gaya to yazeed ne bataur e mishal ye sher padha : Kaash badar me halak hone wale mere buzurgaan , Nez o ki maar se khazraz ki aah wa baka dekhte aur khushi se chala uththe aur mujhe mubarak-baad dete aur kahte tum salamat raho .

[Al Radd Alal Mutassab Ul Unaid Almane Min Zamm Yazeed Safa - 59]


Gaur karen is riwayat mein to yazeed ko kaafir sabit kiya gaya aur ye kaha gaya ki isne waqya e karbala mein apne ristedaaron ke qatl ka badla le liya , jo jang e badar me qatl huye the , is riwayat mein itni bondhi aur la-yaani baate hone ke Bawzood bhi Ibne Zauzi {Rahimaullah} ne ye nahi socha ki sanad mein kazzab aur mazahil hai.

Chunacha iski sanad mein "Muhammad Bin Humaid Ar-Raazi" mashoor kazzab aur shiya hai .

khud Ibne Zauzi Rahimaullah ne bhi is kazzab ke bare mein doosri jagah likha hai

"محمد بن حميد بن حيان أبو عبد الله الرازي يروي عن ابن المبارك، كذبه أبو زرعة وابن وارة، وقال النسائي: ليس بثقة وقال ابن حبان: يتفرد عن الثقات بالمقلوبات، وقال صالح بن محمد الأسدي: ما رأيت أحذق بالكذب منه"


Muhammad Bin Humaid Bin Hayan Abu Abdullah Ar-Raazi ye Ibne Mubarak se riwayat karta hai Abu Jarah Aur Ibne Waarah (Muhammad Bin Muslim Bin Waarah) ne ise kazzab kaha hai aur Nisai ne kaha ye Siqa'a nahi hai , Aur Ibne Hibban ne kaha ye Siqa'ahat se ulat palat bate nakal karta hai Aur Saleh Bin Muhammad Al-Asdi ne kaha maine isse bada kazzab aur jhootha dekha hi nahi.

[Al-Zoafa Wal Matrookeen Libne Zauzi 3/54]

Gaur karen jin raawiyon ke kazzab hone ki baat khud Ibne Zauzi {Rahimaullah} nakal karte hai yazeed ki mazammat mein unhi kazzabeen ki riwayat Ibne Zauzi {Rahimaullah} nazar mein kabil e kabool ho jati hai . Ibne Zauzi {Rahimaullah} ki isi policy ki taraf Imam Zahbi Rahimaullah ne bhi ishara karte huye kaha

"والله عقيدته في السنة أحسن من عقيدتك، فإنك يوما أشعري، ويوما حنبلي، وتصانيفك تنبئ بذلك، فما رأينا الحنابلة راضين بعقيدتك ولا الشافعية، وقد رأيناك أخرجت عدة أحاديث في الموضوعات، ثم في مواضع أخر تحتج بها وتحسنها"

Allah Ki Kasam Sunnat ke mamle mein Abu Sa'ad ka Aqeedah tere aqeede se behtar hai kyunki tu kisi din "Ash'ari" ban jata hai aur kisi din "Hambali". Teri Tashaneef isi baat par gamaz hai hamne hanabila ko tere aqaid par Raazi nahi dekha aur na sawafey ko. hamne ye bhi dekha ki tune kayi hadees ko mauzuaat mein nakal kiya hai fir deegar mauko par unhi hadees se hujjat pakdta hai aur unhe hasan karar deta hai.

[Tareekh Ul Islam Lil Zahbi 11/993]

Ab Aap Andaza laga sakte hai ki Ibne Zauzi {Rahimaullah} ne yazeed ki mazammat mein likhi gayi Apni Is kitab "Al Radd Alal Mutassab Ul Unaid Almane Min Zamm Yazeed" mein kitni na-insaafi ki hai.
 

Top