Kya Imam Abu Hanifa Rahimahullah Ummat Ke Chirag Hai ?


Abdul Adil

Member
Kya Imam Abu Hanifa Rahimahullah Ummat Ke Chirag Hai ?

Tahreer :- مظفر اکبر وانی سلفی


Romanised :- Abdul Adil Ansari

Note :- Urdu Me Padhne Ke Liye Link Par Click Karen 👇



Muqallid hazrat Ek Riwayat Pesh karte hai jo is tarah se hai 👇




یکون فی امتی رجل یقال لہ محمد بن ادریس اضر علی امتی من ابلیس ویکون فی امتی رجل یقال لہ ابو حنیفہ ھو سراج امتی.

tarjuma :- meri ummat me aik aadmi hoga jis ka naam Mohammad bin Idrees ( Shafayi ) hoga, woh meri ummat ke liye iblees se bhi ziyada nuqsaan dah hoga , aur meri ummat mein aik aadmi abu Hanifa Nami hoga, woh meri ummat ka chairag hoga .

Mauzu Manghadat riwayat

32



Imam Ibne Zauzi Ne Ise Maujuwat me jikr kiya hai .

[ Al-mawzuwat 1/43 ]


Imam Shuyuti Rahimaullah Ne farmaya ye riwayat Mauzu hai aur use Mamoon Aur Zoybari Ne Waza kiya hai


[ اللائی المصنوعۃ فی الاحادیث الموضوعۃ.1/417 ]


imam Shaukani Rahimaullah ne farmaya hai ki yeh aisa jhoot hai jis ka batlan mohtaaj bayan nahi.


[ الفوائد المجموعۃ فی الاحادیث الموضوعۃ.ص 420 ]


Shaikh Albani Rahimaullah Ne Bhi ise Mauzu Karar Diya hai

[ Al Silsila Az ZA’EEFA ]


is waze hadees ko aik kazzab Mohammad bin Saeed Marwazi Borki ne bhi ghadha hai imam khateeb Rahimaullah ne Mohammad bin Saeed Marwazi Borki ki Makzooba riwayat ki naqal ke baad kaha 👇


قال الخطيب بعده: "ما كان أجرأ هذا الرجل على الكذب كأنه لم يسمع حديث رسول الله صلى الله عليه وسلم "من كذب عليَّ متعمِّدا فليتبوّأ مقعده من النار

Tarjuma :- yani yeh shakhs waza hadees karne par kitna Jarry tha goya is ne farmaan Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam suna hi nahi jo umdah waza hadees kare is ka thikana jahannum hai .

تاریخ خطیب ه (٣٠٨-٣١٠)
 

Top