Abdul Adil

Member
Tahreeer :- Shaikh Gulam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafizahullah

Romanised :- Abdul Adil Ansari


1] Imam Hamza Sahmi Rahimaullah ( M 427 H ) Farmate hai

سُئِلَ الدَّارَقُطْنِیُّ وأَناَ أَسْمَعُ عن سَماَعِ أَبِي حَنِیفَهَ یَصِحُّ؟ قاَلَ لاَ وَلاَ رُؤْیهً وَلَمْ یَلْحَقُ أَبُو حَنِیفَهَ أَحَدًا مِّنَ الصَّحَابَهِ.

Main sun raha tha ki Imam Daraqutni Rahimahullah se poocha gaya kya Abu Hanifah Rahimaullah ka Sahaba Se sima'a sabit hai? Farmaya Nahi . ( kisi Sahabi ko ) dekhna bhi sabit nahi hai . Abu Hanifah Rahimaullah ne kisi Sahabi se mulaqaat nahi ki hai.

[ Sawalat As Sahmi Lil Daraqutni Safa 263 , Raqam 383 . Tareekh-e-Bagdad Lil Khateeb 5/340 . Al-Illal Al Muntahinah Lil Ibne Zauzi 1/65. ]

Ayimmah Hadees ka is qaul par Ijma Hai Koyi bhi iske khilaaf nahi kahta


2] Hafiz Zahbi Rahimaullah Farmate hai 👇

يزعم الواضع : أن الإمام ارتحل به أبوه، ودار على سبعة من الصحابة المتأخرين، وشافههم، وإنما المحفوظ، أنه رأى أنس بن مالك لما قدم عليهم الكوفة .

kisi jhoothe ne kaha hai ki Imam Abu Hanifa Rahimaullah ne apne walid ke sath safar kiya aur 7 mutakhir Sahaba Se Bil-Mushafa Mulaqaat ki. Jabki Durust bat ye hai ki Imam Abu Hanifa Rahimaullah ne sirf Sayyadana Anas Razi Allahu Anhu ko dekha hai, jab wo unke yahan koofa tasrheef laye

[Siyaru Alaamin Nabula'a Lil Zahbi 3/387]

Hafiz Zahbi Ke nazdeek Imam Abu Hanifa Rahimaullah ne Sayyadana Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu ko dekha hai, Matlab ki Imam Sahab Royha Tabeyi hai, jis bina par Hafiz Zahbi Rahimaullah ne ye bat ki hai , wo bina hi batil hai

mulhaiza Farmaye
👇

Hafiz Zahbi Rahimaullah ( M 748 H ) nakal karte hai 👇

قال محمد بن سعد : حدثنا سيف بن جابر، أنه سمع أبا
حنيفة، يقول : رأيت أنسا رضي الله عنه .

Imam Abu Hanifa Rahimaullah farmate hai Maine Sayyadana Anas Razi Allahu Anhu ko dekha hai

{Manakib e Abu Hanifa Safa 14 , Tareekh ul Islam 3/990, Tazkirah Al-Huffaz 1/168}


Saif Bin Jabir Ke Halat E Jindagi nahi mile

Imam Abu Nayeem Fazal Bin Dukain Rahimaullah ( M 218 H ) se mansoob hai


رأى أنس بن مالك .

Imam Abu Hanifa Rahimaullah ne Sayyadana Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu ko dekha hai

(أخبار أبي حنيفة وأصحابه، ص 18)

Tabsharah :-

Ye jhootha qaul hai


Ahmad bin Muhammad bin shalat Abu Al-Abbas humani kazzab , wazza'a hai

{Mizan-ul-eitedal lil Zahbi 1/140}

Imam Daraqutni Rahimahullah farmate hai 👇

يضع الحديث .

Ye Hadees Ghadata tha

{Az-Zoafa Wal Matrokeen 59}



Hafiz Ibne Hajar Rahimaullah ne matrook kaha hai

(الإصابة في تمييز الصحابة : 572/4)


3] Hafiz Khateeb Bagdadi Rahimahullah ( M 423 H ) Farmate hai 👇

لا يثبت لأبي حنيفة سماع من أنس بن مالك .

Imam Abu Haneefa Rahimahullah ka Sayyadana Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu se sima'a sabit nahi hi

{ Tareekh E Bagdad 5/338 , 10/161 }


4] Hafiz Ibne Zauzi Rahimaullah farmate hai
👇

إنما رأى أنس بن مالك بعينه .

Yakinan Imam Abu Haneefa Rahimahullah ne Sayyadana Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu ko dekha hai

{Al-Illal Al Muntahinah 1/128}

Ye be buniyad qaul hai is par koyi daleel nahi. Imam Daraqutni Rahimahullah ne iska radd kar diya hai . Ab agar kisi ke pass koyi saheeh daleel hai to wo pesh kare!


5] Allama Mulla Ali Qari Hanafi Rahimaullah ( M 1014 H ) nakal karte hai 👇

جماعة من المحدثين أنكروا ملاقاته مع الصحابة .

Muhaddiseen ki ek badi jamat ne Abu Hanifa Rahimaullah ki Sahaba Se Mulaqaat ka inkaar kiya hai

{Sharah Musnad Abi Hanifa 1/581}


Note :- Jitni bhi Marfua'a riwayat hai jin me Imam Abu Hanifa Rahimaullah ne Sayyadana Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu se sima'a ka jikr kiya hai wo jhoothi hai. Meer Ahmad Bin Muhammad Bin Salat Humani ( Kazab ) wagairah ki Gadhi hai


6] Muhammad Bin Ishaaq Ibne Nadeem ( M 438 H ) ne likha hai 👇


كان من التابعين لقي عدة من الصحابة .

Abu Hanifa Rahimaullah tabeyeen me se the , Aap ne kayi Sahaba Se mulaqaat ki hai

(الفهرست :298/1)

Ibne Nadeem Gair Siqah , Rafzi Aur Muatazla hai , lihaza iski baat ka koyi aitbaar nahi.

Hafiz Ibne Hajar Rahimaullah iske mutalliq farmate hai 👇

غير موثوق به ومصنفه المذكور ينادي على من صنفه بالإعتزال والزيغ، نسأل الله السلامة ... لما طالعت كتابه ظهر لي أنه رافضي معتزلي فإنه يسمي أهل الشئة الحشوية ويسمي الأشاعرة المجبرة ويسمي كل من لم يكن شيعيا عاميا وذكر في ترجمة الشافعي شيئا مختلفا ظاهر الإفتراء .

Ye Gair muabbar shaksh hai is ki mazkorah tashneef pukar pukar kar kahti hai ki ye kisi Moatazla aur gumrah ki tashneef hai. Allah Ta'ala mahfooz farmaye . Jab maine iski kitab ka mutala kiya to mujhe ye baat samajh aayi ki ye rafzi , Moatzla hai, Ye Ahle sunnat ko ’حشویه‘‘، اشاعرہ کو’’مجبره ‘‘ aur har us shaksh ko jo shiya na ho 'aami' kahta hai .

isme Imam Safayi Rahimaullah ke halat e jindagi me aisi bat jikr ki jo wajeh jhooth hai


{Lishan un Mizaan 5/72}

7] Hafiz Ibne Hazar Rahimaullah ne Imam Abu Hanifa Rahimaullah ko takreeb ut tahzeeb (7153) me tabkah sadsa jikr kiya hai. Is tabkah me raawiyon ka kisi Sahabi se Sima'a nahi. Sabit hua Ki Hafiz Ibne Hazar Rahimaullah ke nazdeek Imam Abu Hanifa Rahimaullah Tabeyi Nahi the.


8] Allama Ibne Nuzaim Hanafi Rahimaullah ( M 970 H ) likhte hai

أو ليس منهم بناء على ما صرح به شيخ الإسلام ابن حجر فإنه جعله من الطبقة السادسة ممن عاصر صغار التابعين ولكن لم يثبت له لقاء أحد من الصحابة ذكره في تقريب التهذيب .

Imam Abu Hanifa Tabeyin me se nahi hai, iski buniyad wo hai, jo shaikh ul islam ibne hajar ne sharahat se bayan kar di hai, Unhone Imam Abu Hanifa Rahimaullah ko chathe tabke me jikr kiya hai, is tabke ke raawi ko shigar tabeyin ki muasharat hashil hoti hai, lekin inki kisi Sahaba se mulaqaat sabit nahi hoti , ye baat inhone takreeb ut tahzeeb ke muqaddame me jikr ki hai

{Al-Bahar ur Rayeek 7/92}

9] Allama Ibrahim Bin Ali Abu Ishaq Sheraazi Zamani ( M 472 H ) farmate hai 👇

لم يأخذ أبو حنيفة عن أحد منهم .

Imam Abu Hanifa Rahimaullah ne kisi Sahabi Se Riwayat Nahi Li

{Tabkaat E Fuqaha'a Safa - 86}


10] Allama Ibne Aseer Rahimaullah ( M 204 H ) Farmate hai 👇

لم يلق أحدا منهم ولا أخذ عنه؛ وأصحابه يقولون : إنه لقي جماعة من الصحابة وروى عنهم، ولا يثبت ذلك عند أهل النقل .

Imam Abu Hanifa Rahimaullah ne Sahaba me se kisi se mulaqaat nahi ki, Na hi unme se kisi se riwayat li, Jabki Hanfi Muqallid kahte Hai ki Imam Abu Hanifa Rahimaullah ne Sahaba ki ek Jamat se mulaqaat ki aur unse riwayat li hai ye bat Muhaddiseen ke nazdeek sabit nahi

{Jamey Al-Usool 12/952}


یہی بات علامہ ابن خلکان ( وفیات الاعیان : ۴۰۲/۵ ) ، علامہ ابو الفداء ( المختصر فی اخبار البشر : ۵/۲)، علامہ ابن الوردی ( تاریخ ابن الوردی : ۱/ ۱۸۸)، علامہ یافعی (مرآة الجنان: ۲۴۳/۱ ) اور علامہ ابوالیمن العلیمی نینت (التاریخ امعتبر :۳۰۱/۳) نے کہی ہے ۔


11] Hafiz Nawawi Rahimaullah ( M 272 ) Farmate hai 👇

لم يأخذ عن أحد منهم.

Imam Abu Hanifa Rahimaullah ne kisi Sahabi se riwayat nahi li hai.

{Tahzeeb us Asmaa Wal Luga'at 2/216}

12] Hafiz Zahbi Rahimaullah ( M 748 H ) Farmate hai 👇

لم يثبت له حرف عن أحد منهم .

Imam Abu Hanifa Rahimaullah ka kisi Sahabi se harf bhi nakal karna sabit nahi


(سير أعلام النبلاء : 391/6)


13] Hafiz Abul Fazal Iraqi Rahimaullah ( M 802 H ) Farmate hai 👇

الإمام أبو حنيفة لم تصح له رواية عن أحد من الصحابة .

Imam Abu Hanifa Rahimaullah ki kisi Sahabi se riwayat Sabit nahi

{Sharah Musnad Abi Hanifa lil Mulla Ali Qari 1/581}

14] Hafiz Shakhawi Rahimaullah ( M 902 H ) Farmate hai 👇

المعتمد أنه لا رواية له عن أحد من الصحابة .

Dusurust bat yahi ki Imam Abu Hanifa Rahimaullah ki kisi Sahabi se koyi riwayat nahi

{Fatah-ul Mugeesh 3/342}


Imam Abu Hanifa Rahimaullah ki adalat sabit nahi hai

1] Imam Ibne Hibban Rahimaullah ( M 354 H ) farmate hai 👇


لا يجوز أن يحتج به عند أئمتنا قاطبة لا أعلم بينهم فيه خلافا على أن أئمة المسلمين وأهل الورع في الدين في جميع الأمصار وسائر الأقطار جرحوه وأطلقوا عليه القدح إلا الواحد بعد الواحد .

Hamare Tamam Ayimmah ( Muhaddiseen ke nazdeek Abu Hanifa Rahimaullah ) se huzzat pakadna jayez nahi. mere mutabik is bare .e Muhaddisees ke nazdeek koyi ikhtelaaf nahi. Tamam Ilako aur Jahto ke Ayimmah E Muslimeen aur ahle Wara'a ne Abu Hanifa Rahimaullah par jarah ki hi aur ek ne un par qad'h ( Zaeef ) Lafz bola hai

{Kitab-ul Mazrooheen 3/64}


2] Hafiz Ibne Zauzi Rahimaullah ( M 597 H ) Farmate hai 👇

إتفق الكل على الطعن فيه، ثم انقسموا على ثلاثة أقسام؛ فقوم طعنوا فيه لما يرجع إلى العقائد والكلام في الأصول، وقوم طعنوا في روايته وقلة حفظه وضبطه، وقوم طعنوا فيه
لقوله بالرأي فيما يخالف الأحاديث الصحاح .

Tamam Muhaddiseen Abu Hanifa Rahimaullah ke mazrooh hone par muttafiq hai. ( Abu Hanifa Rahimaullah par ) Jarah Karne wale Muhaddiseen 3 qism ke hai.

Muhaddiseen ki ek jamat ne Abu Hanifa Rahimaullah ke aqaid aur usool ki wajah se jarah ki hai, Muhaddiseen ke ek jamat ne abu hanifa Rahimahullah ki riwayat aur qillat hifz aur jabt me jarah ki hai, Muhaddiseen ki ek Jamat ne is liye jarah ki hai ki Ham Abu Hanifah Rahimaullah Saheeh Hadees ke Mukhalif ray Qayem karte the


{Al-Muntazim Fi Tareekh Al Mulook Wal Imam 8/131-132}

Nez Farmate Hai 👇

لم يبق معتبر من الأئمة إلا تكلم فيه .

Koyi Moatabar Imam nahi jisne Abu Hanifah Rahimaullah par jarah na ki ho

{Al-Muntazim Fi Tareekh Al Mulook Wal Imam 8/143}
 

Top