ISLAM ME TASAAWEER KA HOKM


ISLAM ME TASAAWEER KA HOKM
AZ: -IBN BAZ- Abdul Aziz ibn Abdullah ibn Baz rahimahullah (21 November 1910 – 13 May 1999)
Morattab : Abdur-Rahmaan Al-Jabreen (Abdullah Bin Abdurrahman al-Jibreen)
Tarjumah: Abdullah Rafeeque(Lahore)
Translitration: Abu Arqam Salafi
Roman Script & Izaafah: Abu Umaimah Owais
Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:
Sawaal:- Tasweer kashi ke baare mein aap ki kiya raaye hai jabki logon ke anndar yah kaam aam hogaya haj?

Jawaab:-Insaan aur digar jaandaaron ki tasweer banaane ki hurmat ke baare mein bahut si kutub-e- Ahadees men NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ki ahaadees marvi hain, un mein tasaaweer waale pardon ko phaadne, tasweeron ko mitaane aur tasweer banaane walon par la'nat bhejne aur qiyaamat ke din unke sakht tareen azaab ke mustahiq hone ka tazkirah hai. main is masala ke mutalliq chand ahaadees bayaan karke saheeh aur durust raaye ka zikr karunga.

Abu Hurairah raziallahu-anhu bayan karte hain ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaaya:
((وَمَنْ أَظْلَمُ مِمَّنْ ذَهَبَ يَخْلُقُ خَلْقًا كَخَلْقِي ؟ فَلْيَخْلُقُوا ذَرَّةً ، أَوْ لِيَخْلُقُوا حَبَّةً أَوْ لِيَخْلُقُوا شَعِيرَةً((
"Us aadmi se ziyada zaalim kaun hosakta hai jo meri tarh makhloog banaane ki koshish karta hai, woh ek zarrah ya ek daana ya ek jau ka daana to paida karke dikhaye!"(Sahih Mulim, Kitabu: Libaas aur Zeenat, Baab: Jaandaar ki taswee banana aur jo farsh par rondee na jaarahi ho, un tasweeron ko istemaal karne ki mumaniat, neez yeh ke jis ghar me tasweer ya kutta ho us me farishte daakhil nahi hote, Hadis No.2111/101, [Darussalam No.5543], Sahih Bukhari:5953)

Abdullah Bin Masood razillahu-anhu bayan karte hain, RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
((إِنَّ أَشَدَّ النَّاسِ عَذَابًا يَوْمَ الْقِيَامَةِ الْمُصَوِّرُونَ))
"Qiyaamat waale din sakht tareen azaab tasweer banaane walon ko hoga." (Sahih Mulim:2109/98 [Darusslam No.5537,5539]. Sahih Bukhari:5950)

Abdullah Bin Omer raziallahu-anhu bayaan karte hain ke RASOOLULLAH Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
((إِنَّ الَّذِينَ يَصْنَعُونَ هَذِهِ الصُّوَرَ يُعَذَّبُونَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ يُقَالُ لَهُمْ أَحْيُوا مَا خَلَقْتُمْ)) ‏
"Tasweeren banaane walon ko qiyaamat ke din a'zaab diyaa jaayega, un ko kahaa jaayega jo tumne banaaya us men rooh daal kar zindah karo." (Sahih Bukhari, kitabul Libaas, Hadi No.5951. Sahih Mulim:2108/97,[Darussalam No.5535)

Abu Juhaifa bayaan karte hain:
((نَهَى النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنْ ثَمَنِ الْكَلْبِ، وَثَمَنِ الدَّمِ، وَنَهَى عَنِ الْوَاشِمَةِ وَالْمَوْشُومَةِ، وَآكِلِ الرِّبَا، وَمُوكِلِهِ، وَلَعَنَ الْمُصَوِّرَ))‏
"NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne khoon, kutte ki qeemat aur badkaar aurat ki kamaayi se mana kiya. aap ne sood khaane aur khilaane waale par la'nat farmaayi. isi tarah gudwaane(Goodna/Gudwaana: English me is ko "TATTO" kahte hain, masalan aaj kal ke ladkey aur ladkiyan apne jism par kayi tarah ke designs banwate hain is me permanent aur temporary dono qisam ke hote hain is ko Gudwaana/Tatto kahte hain) wali aur goodne wali, aur sood dene aur lene sa mana farmaya aur tasweer banaane waale par la'nat farmaayi hai."(Sahih Bukhari, Kitabul Boyou, Hadis No.2086)

Syidina Abdullah Bin Abbas razillahu-anhuma bayaan karte hain ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
((مَنْ صَوَّرَ صُورَةً فِي الدُّنْيَا كُلِّفَ أَنْ يَنْفُخَ فِيهَا الرُّوحَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ وَلَيْسَ بِنَافِخٍ))
"Jo aadmi dunya mein koyi tasweer banayega to qyaamat ke din use us men rooh daalne ki takleef di jaayegi lekin woh yeh kaam kabhi na karsakega."(Sahih Muslim, kitabul Libas, Hadis No.2110/100[Darussalam No.5541]. Sahih Bukhari:2225)

Ek aadmi Ibne Abbas raziallahu-anhuma ke paas aakar kahne lagaa: "main yeh tasweeren banaata hoon is baare men fatwa irshaad farmaayen," Unhone farmaaya "Qareeb hojaao." woh qareeb huwa to farmaaya "aur qareeb hojaao". woh aur qareeb huwa to uske sar par haath rakh kar farmaane lage main tumhen NABI sallallahu allaihi wasallam se suni huyi hadees sunaata hoon, main ne aap ko farmaate huye sunaa:
((كُلُّ مُصَوِّرٍ فِي النَّارِ يَجْعَلُ لَهُ بِكُلِّ صُورَةٍ صَوَّرَهَا نَفْسًا فَتُعَذِّبُهُ فِي جَهَنَّمَ)) ‏
"Tasweer banaane waale keliye jahannam mein uski har banaayi huyi tasweer ke badle ek nafs paida kiya jaayega jo usko jahannam men azaab deta rahegoa(Muslim: kitabul-liboas Waz-zeenati, Hadis No.2110/99[Darussalam No.5540])
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Muhammed Ali Owais Masail 0
Ibnatu Ali Masail 0
Ibnatu Ali Masail 0

Similar threads


Top