Umar Asari

Administrator
Staff member
Kya Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah Yazeed par la’nat ke qaail they???

Tehqeeq: Shaikh Kifayatullah Sanabili Hafizahullah

Romanised by: Umar Asari

Yazeed bin Mu’awiyah se mutalliq Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah ki taraf yeh jhoot mansoob kar diya gaya ke aap Yazeed par la’nat karna jaaiz samajhte they, balki la’nat karte bhi they, halaanki Imam Imam Ahmad Rahimahullah se aisa kuch bhi saabit nahi, is silsile ki jo riwayat pesh ki jaati hai us ka jaiza pesh e khidmat hai:
Imam Abu Ya’la bin Al-Farra ( Died on: 458 Hijri) ne kaha:
رأيت بخط أبى حفص العكبرى على ظهر جزء فيه ’’فصل‘‘ کتب إلى أبو القاسم فرج بن السوادي قال: حدثنا أبو على الحسين ابن الجندى قال: حدثنا أبو طالب العكبرى قال: سمعت أبا بكر محمد بن العباس قال: سمعت صالح بن أحمد بن حنبل يقول: قلت لأبى: إن قوما ينسبونا إلى توالى يزيد. فقال: يا بنى وهل يتولى يزيد أحد يؤمن باللّه. فقلت: فلم لا تلعنه. فقال: ومتى رأيتنى ألعن شيئا . لم لا تلعن من لعنه اللّه فى كتابه.فقلت: وأين لعن اللّه يزيد فى كتابه فقرأ: فَهَلْ عَسَيْتُمْ إِنْ تَوَلَّيْتُمْ أَنْ تُفْسِدُوا فِي الْأَرْضِ وتُقَطِّعُوا أَرْحامَكُمْ أُولئِكَ الَّذِينَ لَعَنَهُمُ اللَّهُ فَأَصَمَّهُمْ وأَعْمى أَبْصارَهُمْ
المسائل العقدية من كتاب الروايتين والوجهين لابی یعلی: ص 94 واخرجہ ایضا ابن الجوزی فی الرد على المتعصب العنيد ص: 28
Tarjumah: Imam Saleh kehte hain ke main ne apne walid Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah se poocha ke log hamari taraf mansoob karte hain ke hum Yazeed se mohabbat karte hain, to unhon ne kaha: Beta! Kya koi aisa shakhs Yazeed se mohabbat kar sakta hai jo Allah par imaan rakhta ho! To main ne kaha ke: Phir aap us par la’nat kiun nahi karte? To unhon ne kaha: Tum ne mujhe kisi par la’nat karte huwe kab dekha hai? Aur tum us par la’nat kiun nahi karte jis par Allah ne apni kitaab mein la’nat ki hai? To main ne kaha: Allah ne kahan apni kitaab mein Yazeed par la’nat ki hai? To unhon ne yeh ayat tilawat ki: “Aur tum se yeh bhi ba’eed nahi ke agar tum ko hukumat mil jaaye to tum zameen mein fasaad barpa kar do aur rishte naate tod daalo yeh wohi log hain jin par Allah ki phatkaar hai aur jin ki sama’at aur aankhon ki roshni Allah ne cheen li hai.”

Tabsirah: Arz hai ke yeh riwayat sakht za’eef hai, kiunki is mein ek saath chaar Rawi Majhool hain aur woh yeh hain:
Abul Qasim Farj bin As-Siwadi
Abu Talib Al-Ukbari
Abu Bakr Mohammad bin Al-Abbas
Abu Ali Al-Husain Ibn ul Jundi

Kitaab ur Riwayatain ke muhaqqiqeen ko bhi in raawiyon ke tarajim nahi mile, albatta muhaqqiq ne Abul Qasim Farj bin As-Siwadi ke baare mein yeh gumaan zahir kiya hai ke yeh Ubaidullah bin Usmaan Al-Farj Abul Qasim ho sakte hain lekin unhon ne is ki koi daleel zikr nahi ki hai.

Maloom huwa ke is ki sanad sakht za’eef o mardood hai, kiunki musalsal chaar rawi Majhool o na-ma’loom hain goya ke aadhi sanad hi gaaib hai, isi wajah se Shaikh ul Islam Ibn e Taimiyah Rahimahullah ne is riwayat ko ghair sabit kehne ke saath saath Munqate’ bhi kaha hai, chunancha Shaikh ul Islam Ibn e Taimiyah Rahimahullah farmate hain:
ونقلت عنه رواية في لعنة يزيد وأنه قال ألا ألعن من لعنه الله واستدل بالاية لكنها رواية منقطعة ليست ثابته عنه والاية لا تدل على لعن المعين
(منهاج السنة النبوية: 4/ 573)
Tarjumah: Imam Ahmad Rahimahullah se Yazeed par la’nat karne se mutalliq ek riwayat naqal ki gayi hai ke Imam Ahmad Rahimahullah ne kaha: Kya main us par la’nat na karun jis par Allah ne la’nat ki hai aur mazkoorah Ayat se istedlaal kiya, lekin yeh riwayat Munqate’ aur ghair sabit hai, neez Ayat mein bhi khaas shakhs par la’nat karne ki daleel nahi hai.

Ghaur farmayen ke Shaikh ul Islam Ibn e Taimiyah Rahimahullah ne is riwayat ko Munqate’ kaha hai jab ke is riwayat ki jo Sanad hum ne upar naqal ki hai woh musalsal bit-tehdees hai aur Ibn ul Jawzi Rahimahullah ne bhi yeh sanad isi tarah naqal ki hai.
Darasal Ibn e Taimiyah Rahimahullah ne lughwi maa’ni mein is Sanad ko Munqate’ kaha hai kiunki is Sanad mein musalsal chaar rawi Majhool hain goya ke aadhi sanad hi gaaib hai yani Munqate’ hai.
Ibn e Taimiyah Rahimahullah se pehle bhi mutaqaddimeen se aisi misaal milti hai ke unhon ne lughwi aitbaar se kisi riwayat ko Munqate’ qaraar diya masalan Imam Ali Ibn e Madeeni Rahimahullah ek riwayat se mutalliq farmate hain:
فَرَوَاهُ مَنْصُورٌ عَنْ خَيْثَمَةَ عَنْ رَجُلٍ عَنْ عَبْدِ اللَّهِ وَفِي إِسْنَاده انقطاع مِنْ قِبَلِ هَذَا الرَّجُلِ الَّذِي لَمْ يُسَمِّهِ خَيْثَمَةُ
(العلل لابن المديني: ص 101)
Tarjumah: Ise Mansoor ne «عَنْ خَيْثَمَةَ عَنْ رَجُلٍ عَنْ عَبْدِ اللَّهِ» ke tareeq se riwayat kiya hai aur is ki Sanad mein inqitaa’ hai us shakhs ki wajah se jis ka naam Khaithama ne nahi liya hai.

Al-gharz yeh hai ke mazkoorah qaul ki Sanad mein musalsal chaar rawi Majhool hain lehaza yeh qaul Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah se saabit hi nahi aur Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah is qaul se bari hain.
 

Top