ISLAM ME DADHI KA HUKM


ISLAM ME DADHI KA HUKM
AZ: Muhammed Bin Saalih Uthaymeen rahimahullah(9/March 1925 – 10/January/2001)
Morattab : Abdur-Rahmaan Al-Jabreen (Abdullah Bin Abdurrahman al-Jibreen)
Tarjumah: Abdullah Rafeeque(Lahore)
Translitration: Abu Arqam Salafi
Roman Script & Izaafah: Abu Umaimah Owais
Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Dadhi mundna haraam aur ALLAH aur uske RASOOL(sallallahu alaihi wasallam) ki naa farmaani hai, AAP sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya:
((أَعْفُوا اللِّحَى وَ أَحْفُوا الشَّوَارِبَ ))
"Daadhiyon ko badhaao our munchhon ko kaoto" (Bukhori kitabul libaas, 2/870) Mulim: kitabut-taharat, 1/129)

Bukhari o Mulim me is bare me ye alfaaz aaye hain:

(1)
((عَنِ ابْنِ عُمَرَ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ ‏ "‏ خَالِفُوا الْمُشْرِكِينَ، وَفِّرُوا اللِّحَى، وَأَحْفُوا الشَّوَارِبَ ‏"‏‏.‏ وَكَانَ ابْنُ عُمَرَ إِذَا حَجَّ أَوِ اعْتَمَرَ قَبَضَ عَلَى لِحْيَتِهِ، فَمَا فَضَلَ أَخَذَهُ‏))
"Abdullah Bin Omer raziallahu-anhu bayaan karte hain ke NABI sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: tum mushrikon ki mukhalifat karte howe daadhi badhawo aur monche katraawo," Abdullah Bin Omer razaillahu-anhuma jab Hajj ya Umrah karte to apni daadhi ko mutthi se pakadte, phir jo zaayed baal hote inhe katardete.(Sahih Bukhari, Kitabul Libaas, Hadis No.5892)

Syidina Abdullah Ibn Omer razaillahu-anhuma ke is amal par AHNAAF ye mas'alah banate hain ke daadhi ko kaatna chaatna jayiz hai, likin unka ye amal Sunnate Nabawi ke khilaaf hai, Syidina Abdullah Ibn Omer raziallahu-anhuma ka amal sirf Hajj ya Umre par thaa, jabke Syidina Abdullah Ibn Omer raziallahu-anhuma ka aam haalaat me ye amal nahi tha, is ke barkhilaaf Syidina Abdullah Ibn Omer raziallahu-anhuma to daadhi badhane ki hadis ke raawi hai, Mohaddiseen ka ye usool hai ke jab kis raawi ka amal unki bayaan kardah riwaat ke khilaaf hoto raawi ki riwaayat ke bajaye bayaan kardah riwaayat ka etebaar karte hain, ahadis ki kitabon me is ki beshumaar misalen maujood hai, lihaza daadhi ke baal na kaaten jayen yahi Sunnat ka tariqah hai.


(2)
((عَنِ ابْنِ عُمَرَ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ ‏:"‏ أَحْفُوا الشَّوَارِبَ وَأَعْفُوا اللِّحَى ‏"‏))
" Syidina Abdullah Ibn Omer raziallahu-anhuma bayaan karte hain ke RASOOLULLAH sallallahu alaih wasalla ne farmaaya:monche achchi tarah taraasho aur daadhiyaan badhaao."(Sahih Muslim:259/54[Darussalam No.602]. Sunan al-Nasayi:15, 5241)


(3)
((عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ :"‏ جُزُّوا الشَّوَارِبَ وَأَرْخُوا اللِّحَى خَالِفُوا الْمَجُوسَ ‏"‏ ))‏
"Syidina Abu Hurairah razaillahu-anhu bayaan karte hain ke RASOOLULLAH sallallahu alahi wasallam ne farmaya: monche achchi tarah kaato aur daadhiyaan badhaawo, MAJOOS(Paarsi) ki mukhaalifat karo." (Sahih Muslim:260/55[Darussalam No.603)

Daadhi mundne waala anbiyaa ke tareeqa se inkaar aur aatish paraston aur mushrikon ke tareeqa ki itteba karta hai. chehre, jabde, rukhsaar aur thuddi ke tamaam baal dadhi men shaamil hain. jaisa ke ahle lugat ne iski wazaahat ki hai. isliye mazkoora jaghon mein se kisi jagah se baal kaatna yaa mundna thheek nahin.

NABI(sallallahu alaihi wasallam) ne farmaaya:
•"Dadhiyaan chhod-do."(Bukhari: kitobul libaos. 2/870, Muslim: Kitabut-taharat 1/129)
•"Aur dadhiyaan latkaao." (Muslim: kitabut-taharat 1/129)
•"Aur dadhiyan ziyadah koro" (Bukhari: kitobul-liboas. 2/870)
•"Aur dadhiyaan puri rakkho."(Muslim: kitabut-tahorut 1/129)

Hadees ke mazkoora mukhtalif alfaaz is baat ki daleel hain ki dadhi men koi hissa bhi kaatna ya mudna jaayez nahin. Albatta gunaah mein farq hai daadhi kaatne ki nisbat mudha ziyada gunaah aur naa farmaani ka kaam hai.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Muhammed Ali Owais Masail 0
Ibnatu Ali Masail 0
Ibnatu Ali Masail 0

Similar threads


Top