KYA ISLAM TALWAAR KE ZOR PE FAILA?


KYA ISLAM TALWAAR KE ZOR PE FAILA?

Kuch gair muslim aytraz karte hain ki Musalman islam ko aman or salamati ka deen kaise kah hain jabki islam talwar ke zor pe faila.

Jawab :
Kuch gair muslim aytraaz uthatein hain ki muslim ki etni badi tadad na hoti agar yeh talwar ke zor se na faila hota.
Chand baatein yeh wajez karegi ki islam talwar ya taaqat ke zor pe nai faila hain balqi ye apni sachchi taalim ki wajeh se faila hain

ISLAM Ye lafz "Salaam" se nikla hain jiska matlab aman ya salamati hain. Iske ye mana bhi hain ki apne aapko Allah ki raza ke samne pesh kar diya jaye. Islam aman wa salamati ka mazhab hain jo Allah ki marzi ke samne sar jhuka dene se haasil hota hain Aur is galat ilzaam ke jawab mein ki islam talwar ke zor se faila . Ek angraz itihaskar D. Lesi olery ne apni kitab "ISLAM AT THE CROSS ROAD" ke page no 8 mein likha hain ki :
TARIKH SE YEH HAQIQAT WAZEH HAIN KI ISLAM KE MUTALIQ RIVAYATI TA'SUB (PARAMPARA BHED BHAV) PAR AADHARIT KAHANIYA KI ISLAM TALWAR SE FAILA AUR ISKE ZARYEIN JUNUNI MUSALMAN DUNIYA PAR CHAA GAYE, NAMAKUL OR GALAT KISM KE AFSANE HAIN, JINHE ITIHAAS KARO NE BAR BAR DOHRAYA HAIN"

Musalmano ne spain mein lagbhag 800 saal hukumat ki aur waha ke logo ko musalman karne ke liye talwar ka istimal nai kiya. Baad mein jab isaai satta mein aye toh unhone waha ke musalmano ka safaya kar diya aur spain mein koi bhi musalman aiesa na raha jo azaadi se aazan bhi dey sake Arab ke ilaaqe par musalman pichle lagbhag 1400 saal se huqmara chala rahe hain. Iske bawajood aaj bhi 14 million ek crore chalis lakh arab aiese hain jo nasal dar nasal isaai (chirstan) hain. Agar islam talwar ke zaryein faila hota toh arab mein ek bhì isaai (chirstan) na hota
Hindustan par musalmano ne lagbhag 1000 saal huqumat (shasan) kiya. Agar wo chahtein toh talwar ke zor par har gair muslim ko muslim bana lete. Magar aaj hindustan mein lagbhag 80% aabadi gair muslim ki hain kya ye taamam gair muslim is baat ka sabut nahi hain ki islam talwar ke zor pe nahi faila Puri duniya mein indonesia mein musalman ki aabadi sabse zada hain aur malaisia mein bhi musalman aksariyt mein hain. Ab main puch sakta hu ki kaun si islami fauj indonesia aur malaisia gai thi? isi tarah islam badi tezi se africa mahadeep ke purwi saahil mein faila . kya gair muslim itihaaskar ye bta saktein hain ki africa ke purwi saahil pe kaun si islami fauj gai thi?

Aisa kahna galat hain ki islam talwar ke zor pe faila. Agar musalman aiesa karna bhi chahtein toh nahi kar saktein theay kyuki Quran ki surah baqrah surah 2 aayat 256 mein likha hain
"DEEN MEIN KOI ZABERDASTI NAHI HIDAYAT GUMRAHI SE WAZEH HO CHUKI HAIN"

Islam asal mein hiqmat (wisdom) ki talwar se faila hain or yeh ek aiesi talwar hain jo dil or dimag ko fateh kar leti hain jaisa quran ke ander surah nahl surah 16 aayat 125 mein hain

"LOGO KO APNE RAB KE RAASTEIN KI TARAF HIQMAT AUR BEHTARIN NASIHAT KE SATH BULAO AUR UNSE BEHTARIN TARIQE SE BAHES ( GUFTAGU) KARO"

1986 mein Richard Digest mein ek mazmoon 1934 se kekar 1964 tak 50 saal mein duniya ke bade bade dharmo ke maanne walo ki taadad mein izafey ke aakdey bayan kiye theay. Ye mazmoon "THE PLAIN TRUTH" ke risaley mein bhi shaaya hua. Usmein sabse uper islam tha. Jiske maanne walo ki taadad mein 235 % izafa hua aur chirstanity mein sirf 47 %. Kya main yeh puch sakta hu ki is sadi mein kaun si mazhabi jang ladi gai? Jiski wajeh se lakho log musalman hue. Aaj ki taarikh america mein sabse zada failne wala mazhab islam hain. Wo kaun si talwar hain jisse log etni badi taadad mein musalman hone par majboor ho rahe hain ? WO TALWAR ISLAM KI SACHCHI TAALIM HAIN...
 

Similar threads


Top