Umar Asari

Administrator
Staff member
Biwi Ki Behan (Saali) or Behnoi

Romanised By: Umar Asari

Yeh To Hum Sab Jantey Hain Ke Biwi Ki Bahen Ke Liye Hamaray Muashrey (Society) Mein "Saali" Ka Lafz Istemaal Kiya Jaata Hai.
Lafz Agarchey Kuch Munasib Nahi Lagta Lekin Isi Naam Se Baat Shuru Kartey Hain.
Aam Taur Sey Biwi Ki Badi Bahnein Shadishuda (Married) Hoti Hain
Aur Agar Ghair Shadishuda (Unmarried) Bhi Hon To Waqt Ke Sath Tabiyat Mein Sanjeedgi (Grave) Aur Burdbaari Aa Jaati Hai.
Jab Ki Biwi Ki Choti Behnein Umar Ke Us Marhaley Mein Hoti Hain Jab Zindagi Ka Har Rukh Khobsorat Aur Har Mod Dilkash Maloom Hota Hai.
Muashrey (Society) Ke Aam Chalan Ki Wajah Se Aam Taur Par Yeh Choti Saliyan Apne Behnoi Se Hansi Mazaq Ki Baatein Bhi Karti Hain Aur Apne Behnoi Ka Khayaal Bhi Bohat Rakhti Hain. Or Jab Kabhi Behan Ka Apne Maikay Jana Ho To Aksar Yahi Saliyan Behan Aur Behnoi Ko Boriyat Se Bachanay Ke Liye Un Ko Mukammal Waqt Deti Hain.

✴ Ab Mard Ke Rukh Se Kuch Baat Ho Jaye......
Hamaray Muashrey (Society) Mein Aik Muhawra Bohot Mashhoor Hai “Saali Aadhi Ghar Wali.”
Aksar Mard Jab Apne Aziz Doston Mein Baithtey Hain To Choti Saliyon Ke Naam Par Aik Ajeeb Muskurahat Un Ke Chehray Par Aa Jati Hai.

Yeh Haqeeqat Ajeeb or Galat Hi Sahih Lekin Beharhaal Muashrey (Society) Mein Maujood Hai.
Apne Behnoi Ke Is Rukh Se Un Ki Saliyan Bhi Aksar Bekhabar Hoti Hain.

Ab Aaye Islam Ki Nazar Mein “Behnoi or Biwi Ki Behan (Sali)” Key Rishtey Ko Dekhtey Hain:

Islam Ki Nazar Se “Behnoi” or “Saali” ka Aapas Mein Parda Hai.
“Behnoi” “Saali” Ka Na-Mehram Hai Aur Ghar Ke Andar Us Ki Maujoodgi Ki Wajah Se Use Parday Mein Bohat Ehtiyat Ki Zaroorat Hai.
Yeh Aisi Haqeeqat Hai Jis Se Ladki Ke Maa Baap Bhi Ankhen Band Kiye Rakhtay Hain.

Afsos Ke Sath Kehna Padta Hai Ki Log Gharon Mein Shauhar Aur Biwi Ke Rishtedaar Mardon Ke Mutalliq Ghaflat Aur Kotahi Se Kaam Letay Hain.

Agar “Saali” Pardah Karti Bhi Hai To “Behnoi” Is Parday Ko Apni Beizzati Samajte Hain.
Aur Kuch “Saliyan” «Hamaray Behnoi To Hamaray Bhai Jaisay Hain» Ki Soch Ke Sath Is Se Pardah Nahi Karti Hain.

Yeh (Is Tarah Milna Julna Or Pardah Na Karna) Aik Aisa Khamosh Zeher Hai Jis Se Ya To Woh Mard Waaqif Hai Ya Allah Taala Us Ke Dil Ka Haal Janta Hai.
Mardon Mein Bhi Itni Imani Quwwat Nahi Hai Ke Woh Apni Is Harkat Ko Tasleem Kar Saken.
Allah Ke Wastay Is Imtehaan Mein Na Paden.
Biwi Ke Maa Baap Se Guzarish Hai Ke Apni Baitiyon Ko Damaad Se Shar’ee Parda Karwaen.
Biwi Ki Behnon Se Guzarish Hai Ke Khud Hi Peechay Peechay Raha Karen Taakay Behnoi Ko Yeh Maloom Ho Ke Meri Saliyan Jhijhak Aur Sharam o Haya Wali Hain.
Aur Mard Hazraat Se Guzarish Hai Ke Is Nasabi Talluq Ke Saath Mal e Muft Dil Be Reham Wala Maamla Na Karen Aur Dil Ke Andar Ghatiya Aur Fuzool Khwahishaat Paalne Se Gurez Karen (Bachen).

Note: Yeh Mazmoon Kisi Sis Ne Mujhe Urdu Mein Bheja Tha Or Kaafi Dino Se Keh Rahi Thin Ki Isko Roman Mein Kar Den Taaki Hum Log Isko Un Logon Tak Pohncha Saken Jo Urdu Nhi Jantey. Isliye Isko Roman Mein Kar Ke Share Kar Raha Hun.
 

Top