ZAMAANE KO GAALI DENA


ZAMAANE KO GAALI DENA

بسم الله الرحمن الرحيم
• Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:

لَا تَسُبُّوا الدَّهْرَ، فَإِنَّ اللَّهَ قَال: أَنَا الدَّهْرُ، الأَْيَّامُ وَاللَّيَالِي لِي أُجَدِّدُهَا وَأُبْلِيهَا، وَآتِي بِمُلُوكٍ بَعْدَ مُلُوكٍ

"Zamaane ko bura bhala na kaho, isliye ke Allaah (تعالى) farmaata hai ke: Main Zamaanah hoon, raat wa din Mere liye hain, Main usko naya wa puraana karta hoon, Main hi Baadshaahon ke ba'd doosre Baadshaahon ko takht shaahi par bithaata hoon." [1]

• Ibn Kaseer (Rahimahullaah) ne bayaan kiya ke:

• Imaam Shaafi'ee, Abu 'Ubaydah aur deegar A'immah ne is Hadees ki tafseer mein likha hai ke Arabon ko zamaanah e Jaahiliyat mein jab koi Sakhti Ya Balaa Ya Museebat pohanchti toh woh kehte: Haaye zamaane ki kharaabi! Woh un Af'aal (kaamon) ko zamaane ki taraf mansoob karte aur usey gaali dete, haalaanke un tamaam Af'aal ka Faa'il (Ya'ni un kaamon ko anjaam dene waale) Allaah (تعالى) hai toh goya woh Allaah 'Azza Wajall ko gaali dete kyunke unka Faa'il darhaqeeqat Allaah (تعالى) hi hai, isiliye is e'tebaar se zamaane ko gaali dene se mana' kiya gaya hai kyunke Allaah (تعالى) hi woh zamaanah hai jo woh muraad lete the aur jis ki taraf Af'aal mansoob karte the, is Hadees ki tafseer mein jo kaha gaya hai is mein sab se achcha qaul yahi hai aur yahi muraad hai. Wallaahu A'lam.

• Ibn Hazm aur unke naqsh e qadam par chalne waale Zaahiriyyah ki ye ghalati hai ke unhone is Hadees ke zaahir alfaaz ke pesh e nazar DAHR ko Allaah (تعالى) ke Asmaaye Husnaa mein se shumaar kiya hai. [2]

• Ibn Hajar kehte hain ke Zamaane ko bura bhala kehne ki mumaani'at ka matlab ye hai ke jo shakhs ye tasawwur rakhta hai ke Zamaanah hi nuqsaan pohnchaane waala hai toh usko gaali dena ghalat hai, isliye ke Haqeeqi Faa'il toh Allaah (تعالى) hai, jab tum usko gaali doge jisne ye museebat tum par utaari hai toh ye Allaah (تعالى) ko gaali dena hoga. [3]

• Farmaan e ILaahi hai:

"Aur unhone kaha: bus yahi hamaari dunya ki zindagi hai, hum marte aur zindah hote hain, aur hamein bus zamaanah hi halaak karta hai. Aur unhein iska koi ilm nahin, woh toh bus gumaan karte hain." [4]

• Ibn Kaseer (Rahimahullaah) ne bayaan kiya:

• Allaah (تعالى) ne Dahriyyah (Zamaane ko hi Rabb tasawwur karne waala, Allaah ka inkaar karne waala, Atheist) Kaafir aur inkaar e Aakhirat mein inse ittefaaq rakhne waale Mushrikeen e Arab ka qaul zikr farmaaya: "Aur kehte hain ke hamaari zindagi toh sirf dunya hi ki hai, hum (yahin) marte aur jeete hain."

• Ya'ni sirf yahi ek jahaan hai jis mein kuch log marjaate hain aur kuch zindah hojaate hain, Aakhirat aur Qiyaamat koi cheez nahin hai, Aakhirat ke munkir Mushrikeen e Arab bhi yahi baat kehte the aur Falaasifah e ILaahiyah bhi yahi kehte hain Badaa'at aur Raj'at (Allaah ke pehli baar paida karne aur dobaarah paida karne) ke munkir hain, Falaasifah e Dahriyyah (Zamaanah Parast) ka bhi yahi qaul hai aur woh is Kaayenaat ke banaane waale hi ke munkir hain aur ye Aqeedah rakhte hain ke har chattees hazaar saal (36,000) ba'd har cheez dobaarah apni pehli shakal wa soorat mein laut aati hai aur unka gumaan hai ke aisa beshumaar martabah hochuka hai, un logon ne Ma'qool (samajh mein aane waali cheezon) ki bhi mukhaalifat ki hai aur Manqool (authentic narrations) ki bhi takzeeb ki hai, isiliye toh unhone kaha: "Aur hamein toh zamaanah hi halaak karta hai." Unke jawaab mein Allaah (تعالى) ne farmaaya: "Aur unko iska kuch ilm nahin, woh toh sirf gumaan se kaam lete hain." Ya'ni woh wehem aur khaam khayaali mein mubtila hain.

ولله الحمد والمنة وهو أعلم

- 'Abdul-Mudhill Hafizahullah (عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)

_________

References:

[1] Musnad Ahmad: 10225.

[2] Tafseer Ibn Kaseer, Soorah No. 45, Al-Jaasiyah, Aayah: 24.

[3] Fat'hul-Baari: 10/467, 467; Al-Saarim Al-Maslool, Pg: 562.

[4] Soorah No. 45, Al-Jaasiyah, Aayah: 24.
 
Top