Shona shaikh

Active member
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

Kya Kalima e Tayyibah Hadees Mein Maujood Hai???

Tehreer: Shaikh Kifayatullah Saheb Sanabili Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Kuch hazraat logon mein aisi batein phailatey rehtey hain jinhein koi bhi sachcha musalman apni zabaan par laaney ki jur’at bhi nahi kar sakta, unhin mein se yeh log bhi hain jo aaye din yeh aawaaz uthatey rehtay hain ki Kalima e Tayyibah “La Ilaaha illallah Muhammadur Rasoolullah (لا إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ مُحَمَّدٌ رَسُولُ اللهِ)” ikaththa inhin alfaaz ke saath kisi bhi Hadees mein maujood nahi hai, aur isi par bus nahi kartey balki is ke inkaar ke saath saath fareeq e mukhalif ko munazrah tak ke liye challenge kar detey hain.
Qari’een (readers) pareshan hongey ki aakhir yeh log Kalima e Tayyibah ka mas’ala kiyun utha rahey hain, to arz hai ke is ke peechay un ke do (2) maqasid (aims) hain.

Pehla Maqsad:
Hadees mein Kalima e Tayyibah ki maujoodgi ka inkaar kar ke yeh hazraat logon ko yeh batlana chahtey hain ki Kalima e Tayyibah ki ta’leem fiqah ke imaamon ne di hai, lihaaza jo log fiqah ke imaamon ki taqleed nahi kartey hain, woh apna Kalima bhi sahih nahi kar saktey doosrey a’amaal ko sahih karna to door ki baat hai.

Doosra Maqsad:
Taqleed karney walon mein se kuch hazraat ne apne maz’oom (guman kiye huwe) auliya mein se kuch ki shaan mein is had tak gulu (divestiture) kiya ki Kalima e Tayyibah se Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ka naam khaarij kar ke us ki jagah apne maz’oom (alleged) wali ka name rakh diya. Inna lillahi wa inna ilayhi raji'un (إِنَّا لِلّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعونَ).

Laa ilaaha illallah Ashraf Ali Rasoolullah (Na’ozubillah):
Molvi Ashraf Ali Deobandi ke aik Mureed ne khawaab dekha ke woh khawaab mein keh raha hai “Laa ilaaha illallah Ashraf Ali Rasool Allah” aur phir uth kar bhi us ke muh se Darood padhtey huwe Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke bajaye Maulana Ashraf Ali nikalta hai. [Risala Imdaad, Page No: 35]
Jab Mureed ne khawaab bayan kiya to Molvi Ashraf Ali ne bajaye usay dantney aur Emaan ki tajdeed (rebuilding) karwane ke usey in alfaaz se hosla diya ke “Is waqiye mein tasalli thi ke jiski taraf tum rujoo’ karte ho woh Allah Ta’ala ki madad se sunnat ka pairokaar hai.”
[Risala Imdaad, Page No: 35]

Laa ilaaha illallah Shibli Rasoolullah (Na’ozubillah):
Isi tarah Barelwiyon ke Imam ul Asfiya Peer Jama’at Ali Shah lathani ke khalifa e majaz Hakeem Mohammad Shareef ne likha hai:
“Sheikh Shibli Rahimahullah ke paas do (2) shakhs Bai’at (allegeance) ke liye haazir huwe. Aik molvi waza' ka tha (yani molvi jaisa tha) aur aik saada zamindar (landowner) tha. Aap ne Bai’at (allegeance) karne par Molvi saheb se farmaya ke “Laa ilaaha illallah Shibli Rasoolullah” parh. Is par Molvi saheb ne La Hawl (لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللَّهِ) parha aur aap ne jhidak diya. Phir zamindar (landowner) ki baari aayi. Aap ne us ko bhi isi tarah farmaya. Woh khamosh raha. Aap ne zor se farmaya ke boltey kiyun nahi. Tum bhi Molvi saheb se muttafiq (agreed) ho? Zamindar (landowner) bola ki main to aap ko Khuda Ta’ala ke maqam par samajh kar aaya tha. Aap abhi tak maqam e Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka hi zikar farmatey hain.
[Manazil ul Abraar, Page No: 106]

Laa ilaaha illallah Chishti Rasoolullah (Na’ozubillah):
Barelwiyon ke Ghauth ul Islam Peer Mehar Ali Shah Golrawi ne likha hai:
وجودِ سالک بعینہ مظہر حقیقة محمدیہ علیٰ صاحبہا الصلوٰة والسلام شدہ در ترنم لا الٰہ الا اللہ چشتی رسول اللہ​
Saalik ka wujood bi’ainihi haqeeqat e Mohammadiya Sallallahu Alaihi Wasallam ka muzhir ban kar Laa ilaaha illallah Chishti Rasoolullah ki aawaaz mein aaya hai.
[Tehqeeq ul Haq Fi Kalimatil Haq, Page No: 127, Golra Rawalpindi]

Gaur karen kis qadar zor zabardasti aur kitni badi khayanat hai ke Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ke maqam par apney buzurgon ke naam liye jaatey hain. Na’ozubillah.
Ahl e Tauheed ki nazar is khayanat par padi to unhon ne is ka zabardast notice liya, un be-charon se is ka koi jawab na ban paya to yeh mutalba karna shuru kar diya ki Kalima e Tayyibah mein tabdeeli ka ilzam baad mein lagana pehley asal Kalima e Tayyibah ka suboot paish karo.
Awaam ko ma’loom hona chahiye ki is qiam ki batein mehez dhoka, jhoot aur fareb (fraud) hain, aur sachchai yeh hai ke Kalima e Tayyibah “La Ilaaha illallah Muhammadur Rasoolullah (لا إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ مُحَمَّدٌ رَسُولُ اللهِ)” ikaththa inhin alfaaz ke saath kai Ahadees mein aaya hai, neechey is silsiley ki aik Sahih Hadees, Sanad ki tahqeeq ke saath paish ki jaa rahi hai usey parh kar log khud faisla kar len ke kon sachcha hai aur kon jhoota?

Imam Baihaqi Rahimahullah Farmatey Hain:
أَخْبَرَنَا أَبُو عَبْدِ اللهِ الْحَافِظُ، حَدَّثَنَا أَبُو الْعَبَّاسِ مُحَمَّدُ بْنُ يَعْقُوبَ، حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ إِسْحَاقَ، حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ صَالِحٍ الْوُحَاظِيُّ، حَدَّثَنَا إِسْحَاقُ بْنُ يَحْيَى الْكَلْبِيُّ، حَدَّثَنَا الزُّهْرِيُّ، حَدَّثَنِي سَعِيدُ بْنُ الْمُسَيَّبِ، أَنَّ أَبَا هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، أَخْبَرَهُ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: أَنْزَلَ اللَّهُ تَعَالَى فِي كِتَابِهِ، فَذَكَرَ قَوْمًا اسْتَكْبَرُوا فَقَالَ: إِنَّهُمْ كَانُوا إِذَا قِيلَ لَهُمْ لا إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ يَسْتَكْبِرُونَ، وَقَالَ تَعَالَى: إِذْ جَعَلَ الَّذِينَ كَفَرُوا فِي قُلُوبِهِمُ الْحَمِيَّةَ حَمِيَّةَ الْجَاهِلِيَّةِ فَأَنْزَلَ اللَّهُ سَكِينَتَهُ عَلَى رَسُولِهِ وَعَلَى الْمُؤْمِنِينَ وَأَلْزَمَهُمْ كَلِمَةَ التَّقْوَى وَكَانُوا أَحَقَّ بِهَا وَأَهْلَهَا، وَهِيَ لا إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ مُحَمَّدٌ رَسُولُ اللهِ اسْتَكْبَرَ عَنْهَا الْمُشْرِكُونَ يَوْمَ الْحُدَيْبِيَةِ يَوْمَ كَاتَبَهُمْ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي قَضِيَّةِ الْمُدَّةِ
کتاب الاسماء والصفات للبیہقی:ـ جلد نمبر 1صفحہ نمبر263حدیث نمبر195۔ ناشر:مکتبة السوادی، جدة الطبعة الأولی​
Tarjumah: Sa’eed bin Musayyab Rahimahullah bayan kartey hain ki be-shak unhein Abu Hurairah Radhiallahu Anhu ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se Hadees bayan ki ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: “Allah Ta’ala ne apni kitaab mein nazil farmaya to takabbur karney wali aik qaum ka zikr kiya: Yaqeenan jab unhein La ilaaha illalhah kaha jaata hai to takabbur kartey hain aur Allah Ta'ala ne farmaya: Jab kufr karney walon ne apney dilon mein jahiliyyat wali zid rakhi to Allah Ta’ala ne apna sukoon o itminaan apney Rasool aur Mo’minon par utara aur un ke liye Kalima e Taqwah (Taqwah ke Kalimey) ko laazim qaraar diya aur woh is ke ziyadah mustahiq aur ahel they aur woh (yaani Kalima e Taqwah) “La Ilaaha illallah Muhammadur Rasoolullah (لا إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ مُحَمَّدٌ رَسُولُ اللهِ)” hai. Hudaibiyah waley din jab RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne muddat (muqarrar karney) waley faislay mein Mushrikeen se mu’aahida kiya tha to Mushrikeen ne is Kalimey se takabbur kiya tha.
[Kitab ul Asmaa was Sifaat Lil-Baihaqi, Jild No: 1, Page No: 263, Hadees No: 195]

Hadees Ka Darja (Grade):
Yeh Hadees bilkul sahih hai, is ki Sanad (chain) ke saarey Rawi (narrators) sachchey aur qabilb e aatemaad hain, is ki sanad ke har Rawi ki tafseel aagey paish ki jaa rahi hai. Rawiyon ka mukhtasar ta’aruf:

Sa’eed bin Musayyab (Sa’eed bin Musayyab bin Hazn Al Qurashi):
Aap Bukhari aur Muslim ke markazi Rawi hain, misaal ke taur par dekhye Sahih Bukhari: 26, Sahih Muslim: 21. Aap oonchey darje ke Siqah hain, Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah farmatey hain:
أحد العلماء الأثبات الفقهاء الكبار​
Yani aap a’ala darje ke Siqaat aur badey fuqaha mein se hain.
[Taqreeb ut Tehzeeb: 2396]

Az-Zohri (Mohammad Muslim bin Ubaidullah bin Abdullah bin Shihaab Az-Zohri):
Aap bhi Bukhari aur Muslim ke markazi Rawi hain, misaal ke taur par dekhye Sahih Bukhari: 4, Sahih Muslim: 20. Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah farmatey hain:
الفقيه الحافظ متفق على جلالته وإتقانه​
Yani aap Faqeeh aur Hafiz hain, aap ki buzurgi aur Haafzey ki pukhtagi par Ijma' hai.
[Taqreeb ut Tehzeeb: 6296]

Ishaq bin Yahya Al Kalbi (Ishaq bin Yahya bin Alqamah Al Kalbi):
Yeh Sahih Bukhari ke (Shawahid ke) Rawi hain. Dekhye Sahih Bukhari: 682, 1355, 3298, 3299, 3433, 7382, 3927 aur 3434.
Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah farmatey hain: “صدوق” Yani Aap sachchey they.
[Taqreeb: 391]
Imam Daraqutni Rahimahullah farmatey hain: “احاديثه صالحة” Yani inki bayan ki hue Ahadees durust hain.
[Su’aalaat ul Hakim Lid-Daraqutni, Page No: 280]
Imam Ibne Hibban Rahimahullah ne aapko Siqah aur Qabil e Aitmaad logon mein zikr kiya hai.
[Kitaab us Siqaat, Jild No: 6 Page No: 49]

Yahya bin Saleh Al Wahhazi (Abu Zakariyya Yahya bin Saleh Al Wuhazi Ash-Shaami):
Aap Bukhari aur Muslim ke Rawi hain. Misaal ke taur par dekhye Sahih Bukhari: 361, Sahih Muslim: 1594. Mazeed dekhye Taqreeb: 7568.
Imam Yahya ibne Ma’een aur Imam Bukhari Rahimahumullah ne inhein Siqah kaha hai.
[Al Jarho Wat-Ta’deel: 9 / 158, Kitaab uz Zu’afa As-Sagheer: 145]

Mohammad bin Ishaq (Abu Bakr Mohammad bin Ishaq bin Ja’far As-Saghani):
Aap Sahih Muslim ke Rawi hain. Misal ke taur par dekhye Sahih Muslim: 14.
Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah farmatey hain: “ثقة ثبت” Yani aap Siqah aur Sabt hain.
[Taqreeb: 5721]

Abul Abbas Mohammad bin Ya’qoob (Abul Abbas Mohammad bin Ya’qoob bin Yousuf Al Asamm):
Aap a’ala darje ke Siqah hain. Imam Zehbi Rahimahullah farmatey hain:
الإمام المحدث مسند العصر​
Aap Imam hain, Mohaddis hain, Musnid ul Asr hain.
[Siyar Ulama an Nubala: 29 / 450]
Imam Abul Waleed Rahimahullah farmatey hain: “ثقة مشھور” Yani aap mash-hoor Siqah hain.
[Tareekh e Dimashq: 65293]

Abu Abdullah Al Hafiz (Hakim Naisaaboori):
Aap ma’roof aur mash-hoor Siqah Imam hain, Hadees ki mash-hoor kitab “Al Mustadrak” aap hi ki likhi hue hai. Aap apney waqt mein Mohaddiseen ke Imam they.
[Siyar Ulama an Nubala: 164, 33163]
Ibne Imaad farmatey hain: “ثقة حجة” Yani aap Siqah aur Hujjat hain.
[Shazraat uz Zahab: 3175]

Is tafseel se ma’loom huwa ki upar zikr ki gai Hadees bilkul sahih hai, aur Kalima e Tayyibah “La Ilaaha illallah Muhammadur Rasoolullah (لا إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ مُحَمَّدٌ رَسُولُ اللهِ)” yeh kisi ummati ka banaya huwa nahi hai balki is ki ta’leem Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne di hai, ab un logon ko tauba karni chahiye jo kehtey hain ki Kalima e Tayyibah parhney ki ta’leem Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Hadees se nahi balki Fuqaha ki Fiqah se milti hai Na’ozubillah! Aur awaam ko chahiye ke woh aisey tamam logon se hooshiyar rahen jo din raat is tarah ka jhoot boltey hain, aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Ahadees ko logon se chupatey hain, Allah Ta’ala aisey logon ko Hidayat de aur tamam musalmanoon ko Kitaab o Sunnat ki pairwi ki taufeeq de. Aameen.
 

Similar threads


Top