KYA KALIMAH TAYYIBAH KISI HADIS SE SAABIT HAI?


KYA KALIMAH TAYYIBAH KISI HADIS SE SAABIT HAI?
Tahreer : FAZILAT-USH-SHAIKH ABUL HASAN MUBASSHIR AHMED RABBANI hafizahullah
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SAWAL:
Kalma tayyiba: "LAA ILAAHA ILLALLAAHU MUHAMMADUR RASOOLULLAAH" kisi ek hadees se saabit hai ya nahi aur agar nahi to phir hum tak yeh kaise pouncha?
Neez kisi ghair muslim aadmi ko musalman hone ke liye unhi alfaaz mein Tauheed o Risaalat ka iqraar karna ho ga ya is ke liye koi aur alfaaz bhi Quran o Hadees mein mojood hain?

JAWAB:
Islam mein daakhil honay ke liye jo kalmaat padhaaye jaate hain woh do shahadton ka iqraar yani ALLAH TABARAK O TAALA ki Tawheed aur MOHAMMAD sallallahu alaihi wasallam ki Risalat ki gawahi hai aur yeh baat kutub-e-ahadees se saabit hai. Sahih bukhari mein Abuzer ghiffari raziallahu-anhu ke islam laane ka waqia mufassil mazkoor hai. unhon ne Baitullah mein ja kar buland aawaz se kaha:
اشهد ان لا إله إلا الله،‏‏‏‏ وان محمدا رسول الله
"ASH'HADU AN-LA ILAAHA ILLALLAH, WA ANNA MUHAMM-UR-RASOOLULLAH"
"Main gawaahi deta honke ALLAH ke siwa koi ibaadat ke laayeq nahi aur MUHAMMED, ALLAH ke Rasool hain."(Sahih Bukhari:3861)

Isi tarha Abdullah Bin Omar raziallahu-anhuma aur deegar kayi Sahaba Karaam raziallahu-anhum ajmayeen se yeh hadees kutub ahadees mein mojood hai ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
امرت ان اقاتل الناس حتى يشهدوا ان لا إله إلا الله وان محمدا رسول الله
"Mujhe hukm diya gaya ke mein logon se qitaal karoon yahan tak ke woh "LAA ILAAHA ILLALLAH MOHAMMAD RASOOLULLAH" ki shahadat den."(Sahih Bukhari:25. /wa Sahih Muslim:20)

Isi tarha mulahiza ho Abdullah Bin Abbas raziallahu-anhuma se wafd Abdul-Qais wali hadees jis mein AAP sallallahu alaihi wasallam ne emaan billah wahdah ke baray mein farmaya:
شهادة ان لا إله إلا الله وان محمدا رسول الله
"Gawaahi dena ke ALLAH ke siwaa koi ibaadat ke laayeq nahi aur MUHAMMED, ALLAH ke Rasool hai." (Sahih Bukhari:53. /wa Sahih Muslim:17)

Kutub ahadees ki waraq gardani karne se maloom hota hai ke Islam mein daakhil hone ke liye sab se pehle do baton ki gawahi dena zaroori hai. ALLAH TA'ALA ki Tawheed aur MOHAMMAD RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ki Risalat aur urf aam mein usay kalma tayyiba se tabeer kya gaya hai.

LAA ILAAHA ILLALLAH MOHAMMAD RASOOLULLAH
“ mein dono cheezen mojood hain, islam qubool karte waqt log inhi do baton ki gawahi dete the jaisa ke oopar zikar kiya gaya hai aur Quran Hakeem mein bhi apne apne maqam par "LAA ILAAHA ILLALLAH MOHAMMAD RASOOLULLAH" ka zikar mojood hai aur is baat par tamaam ahal-e-islam ka ittefaaq hai.
 

Similar threads


Top