KYA KUFFAAR WA MUSHRIKEEN KO SALAAM KIYA JAA SAKTA HAI?


KYA KUFFAAR WA MUSHRIKEEN KO SALAAM KIYA JAA SAKTA HAI?

بسم اللہ الرحمٰن الرحیم

☆ Zimmiyon (Ahl e Kitaab) ko salaam karne mein ibtidaa ki mumaani'at aur unke salaam ka jawaab kaise diya jaaye?

حَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ بْنُ سَعِيدٍ حَدَّثَنَا عَبْدُ الْعَزِيزِ يَعْنِي الدَّرَاوَرْدِيَّ عَنْ سُهَيْلٍ عَنْ أَبِيهِ عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ لَا تَبْدَءُوا الْيَهُودَ وَلَا النَّصَارَى بِالسَّلَامِ فَإِذَا لَقِيتُمْ أَحَدَهُمْ فِي طَرِيقٍ فَاضْطَرُّوهُ إِلَى أَضْيَقِهِ

Abu Hurairah (Raziyallaahu 'Anhu) bayaan karte hain ke Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya: "Yahood wa Nasaaraa ko salaam kehne mein ibtidaa na karo aur jab tum un (zimmiyon) mein se kisi ko raaste mein milo toh tum usey raaste ke tang hisse ki taraf jaane par majboor kardo." [Saheeh Muslim: 5661]

☆ Imaam Bukhaari (Rahimahullaah) ne apni Saheeh mein Baab baandha hai ke "Zimmiyon ke Salaam ka jawaab kis tarah diya jaaye?"

حَدَّثَنَا عُثْمَانُ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ ، حَدَّثَنَا هُشَيْمٌ ، أَخْبَرَنَا عُبَيْدُ اللَّهِ بْنُ أَبِي بَكْرِ بْنِ أَنَسٍ ، حَدَّثَنَا أَنَسُ بْنُ مَالِكٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ، قَالَ : قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : إِذَا سَلَّمَ عَلَيْكُمْ أَهْلُ الْكِتَابِ ، فَقُولُوا : وَعَلَيْكُمْ .

Anas Bin Maalik (Raziyallaahu 'Anhu) ne bayaan kiya ke Nabi Al-Malhamah (ﷺ) ne farmaaya: "Jab Ahl e Kitaab tumhein Salaam karein toh uske jawaab mein sirf WA 'ALAYKUM kaho." [Saheeh Bukhaari: 6258, Muslim: 5653]

• Ma'loom hua ke Ahl e Kitaab par salaam mein pehel nahin karni chaahiye aur woh Salaam karey toh jawaab mein WA 'ALAYKUM kehdein. Lekin jawaab mein kaha gaya salaam, Salaam e Tahiyyah (greeting) nahin, balke Amaan (security) waala hai, jo ke Zimmi Kaafir ke liye hosakta hai.

☆ 'Uqbah Bin 'Aamir Juhani (Raziyallaahu 'Anhu) ke baare mein hai:

أنه مر برجل هيئته هيئة رجل مسلم، فسلم فرد عليه عقبة: وعليك ورحمة الله وبركاته، فقال له الغلام: أتدري على من رددت؟ قال: أليس برجل مسلم؟ فقالوا: لا، ولكنه نصراني، فقام عقبة فتبعه حتى أدركه، فقال: إن رحمة الله وبركاته على المؤمنين، لكن أطال الله حياتك، وأكثر مالك

Aap (Raziyallaahu 'Anhu) ke paas ek shakhs ka guzar hua, jiski zaahiri kaifiyat Musalmaanon waali thi, us shakhs ne Aap ko salaam kaha, toh Aap ne uska jawaab diya: WA 'ALAYKA WA RAHMATULLAAHI WA BARAKAATUH. Toh Aap se ghulaam ne kaha: jaante hain ke Aap ne kisey salaam kiya hai? Toh 'Uqbah (Raziyallaahu 'Anhu) ne farmaaya: Kya ye Musalmaan nahin hai? Logon ne kaha: Ji nahin, ye Eesaayi hai.

Toh 'Uqbah (Raziyallaahu 'Anhu) us eesaayi ke peeche gaye aur uske paas pohanch kar farmaaya: "Bilaa Shubah Allaah ki rehmat aur barakaat sirf Mu'mineen ke liye hain, lekin Allaah teri umar daraaz karey aur tujhe maal ki kasrat ataa karey." [Al-Sunan Al-Kubraa Lili-Bayhaqi: 9/203, Sanad: Hasan]

☆ Abu Umaamah Baahili (Raziyallaahu 'Anhu) ke baare mein hai:

أنه كان يسلم على كل من لقيه . قال : فما علمت أحدا سبقه بالسلام إلا يهوديا مرة اختبأ له خلف أسطوانة ، فخرج فسلم عليه ، فقال له أبو أمامة : ويحك يا يهودي ، ما حملك على ما صنعت ؟ قال : رأيتك رجلا تكثر السلام ، فعلمت أنه فضل ، فأحببت أن آخذ به ، فقال أبو أمامة : ويحك ، إني سمعت رسول الله - صلى الله عليه وسلم - يقول : " إن الله جعل السلام تحية لأمتنا ، وأمانا لأهل ذمتنا "

Aap (Raziyallaahu 'Anhu) har ek ko salaam kaha karte the, (raawi kehte hain ke) mujhe nahin ma'loom ke kisi ne salaam kehne mein Abu Umaamah (Raziyallaahu 'Anhu) se pehel ki ho, haan ek baar ek yahoodi jo sutoon ke peeche tha, saamne aaya aur usne Abu Umaamah (Raziyallaahu 'Anhu) ko salaam kaha, toh Aap (Raziyallaahu 'Anhu) ne usey kaha: "Tumhaari barbaadi ho, Yahoodi! Aisa kyun kiya? Kehne laga: Maine dekha ke Aap kasrat se salaam kehte hain, toh maine jaan liya ke ye koi fazeelat waala amal hai, toh maine chaaha ke ye amal Main bhi ikhtiyaar karun,

Abu Umaamah (Raziyallaahu 'Anhu) ne kaha: Tumhaari barbaadi ho! Maine Rasool Allaah (ﷺ) ko farmaate hue suna: "Bilaa Shubah Allaah (تعالى) ne salaam ko hamaari Ummat ke liye tohfah aur Ahl e Zimmah ke liye Amaan banaaya hai." [Al-Mu'jam Al-Kabeer Lil-Tabraani: 8/109, Hadees: 7518, Sanad: Hasan]

Mushrikeen, Kuffaar aur Mu'mineen ek saath baithe ho toh Salaam kar sakte hain. [Bukhaari: 6254, Muslim: 4659 - 116 - 1798] Lekin Niyyat Musalmaanon ko salaam karne ki hogi, kyunke Kuffaar wa Mushrikeen ko salaam karna jaayez nahin.

• Haafiz Suyooti (Rahimahullaah) [911H] se sawaal hua ke:


مسألة رجل سلم على جماعة مسلمين وفيهم نصراني فأنكر على ذلك ، فقال : ما قصدت إلا المسلمين فقيل له من حقك أن تقول : السلام على من اتبع الهدى فهل يجزئ اللفظ الأول أو يتعين الثاني ؟


Ek shakhs ne Musalmaanon ki jamaa'at ko Salaam kaha, jis mein Eesaayi bhi maujood tha, toh us par e'teraaz hua, usne kaha: Maine Niyyat mein sirf Musalmaanon ko muraad liya hai, neyz usey kaha gaya ke tujhe ye alfaaz kehne chaahiye the ke ASSALAAMU 'ALAA MANITTABA'AL-HUDAA. Kya usey pehle alfaaz (Ya'ni ASSALAAMU 'ALAYKUM) kehna chaahiye tha Ya doosre alfaaz (Ya'ni ASSALAAMU 'ALAA MANITTABA'AL-HUDAA)? Toh 'Allaamah Suyooti (Rahimahullaah) ne jawaab diya:

( الجواب ) لا يجزئ في السلام إلا اللفظ الأول ولا يستحق الرد إلا به ، ويجوز السلام على المسلمين وفيهم نصراني إذا قصد المسلمين فقط ، وأما السلام على من اتبع الهدى فإنما شرع في صدور الكتب إذا كتبت للكافر كما ثبت في الحديث الصحيح .

"Salaam kehne mein sirf pehle alfaaz hi jaayez hain, isi tarah salaam ka jawaab bhi unhi alfaaz mein diya jaayega, Musalmaanon ki jamaa'at mein Eesaayi maujood ho, toh Musalmaanon ki Niyyat karke salaam kaha jaa sakta hai. Ab rahey ASSALAAMU 'ALAA MANITTABA'AL-HUDAA ke alfaaz, toh ye sirf un khutoot ke aaghaaz mein mashroo' hai, jo Kuffaar ko likhe jaayein, jaisa ke Saheeh Hadees mein saabit hai." [Al-Haawiy Lil-Fataawaa: 1/297]

☆ Khulaasah Mushrikeen wa Kuffaar ko Tahiyyatul-Islaam (Islaamic Greeting) Ya'ni ASSALAAMU 'ALAYKUM nahin keh sakte, na pehel karte hue aur na hi uske salaam ke jawaab mein. Agar woh Salaam karey, toh jawaab mein sirf WA 'ALAYKUM kaha jaa sakta hai, kyunke Kuffaar ASSAAM 'ALAYKUM (tum par maut ho) Ya uslooban ASSALAAMU 'ALAYKUM keh kar Niyyat mein halaakat ki du'aa karte hain, chaahe jo bhi ho unki Niyyat achchi ho Ya buri jo hamein unke jawaab mein kehne ka hukm hai wohi kehna chaahiye jaise WA 'ALAYKUM aur unka iraadah bura hai toh aisa kehna unpar hi laut jaayega.

وما عليّ إلا البلاغ ولله الحمد والمنة وهو أعلم

- Abdul-Mudhill Hafizahullah
 

Similar threads


Top