KYA KUFR KE MASAAEL KA ILM SEEKHNA ZAROORI HAI ?


KYA KUFR KE MASAAEL KA ILM SEEKHNA ZAROORI HAI ?

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
Kuch logon ka kehna hai ke Kya Kufr ke masaael har aadmi ko jaanna zaroori hai logon ko pehle Aqeedah ki bunyaadi cheezen bataani chaahiye, kaunsa amal kufr hai, Is ke karne se Main Kaafir ho jaaunga ya nahin ye cheez ba'd mein ma'loom karaana chaahiye.

Sawaal ye hai ke Kufr ka ilm haasil karna kya hai ?

Aye Allaah ke Bandon kya Kufr ke masaael ka ilm haasil karna Tawheed ki bunyaad nahin hai ? Jab Insaan Kufr se bachega tab hi toh Woh Tawheed par amal karega aur Tawheed par qaayem rahega.

Ulamaa e Najd kaha karte the:

فمن لا يعرف الشرك ولم يعرف التوحيد.

"Jisne Shirk ko hi nahin jaana toh woh Tawheed ko bhi nahin jaan sakega."


Jab usey Kufr ki qismen hi nahin maloom ke kaunsi cheez Kufr e Akbar wa Kufr e Asghar hai toh inse bachega kaise ?

Ab jo Kufr e Akbar ka irtekaab karega woh Musalmaan hi nahin hai. Kufr e Akbar ka ilm hoga toh hi woh us se bachega aur tab hi Tawheed par amal karne ka usko faayedah hoga.

Huzayfah Bin Yamaan (Raziyallaahu 'Anhu) ne bayaan kiya ke:

كَانَ النَّاسُ يَسْأَلُونَ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنِ الْخَيْرِ وَكُنْتُ أَسْأَلُهُ عَنِ الشَّرِّ مَخَافَةَ أَنْ يُدْرِكَنِي

"Doosre Sahaabah Karaam toh Rasool Allaah (ﷺ) se Khayr ke baare mein sawaal kiya karte the lekin Main Sharr ke baare mein sawaal karta tha is khauf se ke kahin main un mein na phans jaaun." (Bukhaari: 3606)

Aur Huzayfah (Raziyallaahu 'Anhu) aisa kyun karte the iski wazaahat Zamm Al-Kalaam Lil-Harwi, jild: 3 mein aayi hai.

Huzayfah (Raziyallaahu 'Anhu) farmaate hain:

إن أصحابي يتعلمون الخير، أتعلم الشر. وما يحملك على ذلك؟ قال إنه من يعلم مكان الشر يتقه.

"Yaqeenan Mere Saathi khayr ke baare mein ilm haasil karte hain aur Main Sharr ke baare mein ilm haasil karta hoon."

Poocha gaya: Aap aisa kis liye karte hain?

Huzayfah (Raziyallaahu 'Anhu) ne kaha: "(Isliye) ke agar main Sharr ke baare mein jaanlu toh us se bach sakunga."

Allaah (تعالى) ne apne Bandon par jo sab se pehli cheez farz kee hai woh hai Taaghoot ka Kufr hai (ya'ni Taaghoot ka inkaar):

أعوذ بالله من الشيطان الرجيم
فَمَنۡ یَّکۡفُرۡ بِالطَّاغُوۡتِ

"Pas jisne Taaghoot ka inkaar kiya." (2:256)

Aur Taaghoot ke inkaar ke ba'd doosri cheez Allaah par Eemaan laana:

وَ یُؤۡمِنۡۢ بِاللّٰہِ

"Aur Allaah (تعالى) par Eemaan laaye." (2:256)

Toh Pehli cheez Taaghoot ka inkaar karna aur Doosri cheez Allaah par Eemaan laana hai. Eemaan ke baare mein toh hum zaroor jaanenge lekin us se pehle Allaah ne hum par jo cheez pehle farz kee hai usko amal mein laayenge.

Isi tarah Islaam qubool karne ka jo Kalimah hai us mein bhi yahi cheez hai.

"Laa Ilaah": Tamaam Ma'boodaan e Baatilah ka inkaar karna, uske maanne waalon ka inkaar aur phir uske ba'd "Illaa Allaah": Allaah ke ma'bood e barhaqq hone ka iqraar karna aur is cheez ka iqraar karne waalon se Walaa (Muhabbat) karna.

Al-Walaa wa Al-Baraa jaisi bunyaadi cheez bhi ye logon ke nazdeek Tawheed mein shaamil nahin hai.

Toh jo bhi is Kalimah ko samajh paaya hai woh jaanlega ke Is Kalimah ke maanne waalo se Muhabbat kee jaayegi aur is Kalimah ke inkaar karne waalo se Nafrat kee jaayegi.

Al-Walaa wa Al-Baraa toh hamaare Kalimah mein shaamil hai, is ke liye toh hamen Qur'aan wa Ahaadees se ek bhi daleel ki zaroorat hi nahin padhi, haalaanke Al-Walaa wa Al-Baraa par dalaael ke ambaar maujood hai.

Aur jab tumhen Kufr ke masaael ka ilm hoga toh tum Musalmaan aur Kuffaar ke darmiyaan farq kar sakoge ke kaun Musalmaan hai aur kaun Kaafir. Allaah ne Musalmaanon ke jo aapas mein huqooq rakhey hai usey saheeh jagah adaa kar sakoge. Jo haqq Musalmaanon ko dena chaahiye woh unhi ko dey sakoge aur jo Kuffaar ke mu'aamlaat hai woh unhi ke saath kar sakoge.

Musalmaanon ke huqooq Kaafiron ko dene se bachoge kyunke Allaah ne Musalmaanon ke huqooq sirf Musalmaanon ke saath hi adaa karne ka hukm diya hai na ke Kuffaar wa Mushrikeen ke saath.

Haal toh ye hai jab ek musalmaan aise logon ko ye bataata hai ke tum ye cheez Kaafir ke saath nahin kar sakte kyunke ye ek Musalmaan ka haqq hai toh aise log ek Kaafir ke liye us Musalmaan ke khilaaf hojaate hai, ye log woh Musalmaan ki baat maanne ke bajaaye ek aise Kaafir ka difaa' (defense) kar rahey jo baghair Islaam qubool karey agar marjaaye toh hameshah ki jahannam mein jaayega ya woh Murtadd jo apni nisbat Islaam ki taraf karta hai baghair Tawbah karey marjaaye toh uska bhi yahi anjaam hoga.

Haalaanke ke jo shakhs unko samjha raha hai woh Zaahiran Musalmaan hai, Shirk aur Kufr ki koi cheez zaahiran us mein nahin paayi jaarahi hai aur jis Kaafir wa Murtadd mein zaahiran paayi jaarahi hai uska difaa' kar rahey hai.

Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:

الْمُسْلِمُ مَنْ سَلِمَ الْمُسْلِمُونَ مِنْ لِسَانِهِ وَيَدِهِ

"Musalmaan woh hai jo (doosre) Musalmaanon ko apni Zubaan aur Haath se (takleef pohanchne se) mehfooz rakhey." (Bukhaari: 6484)

Yahi wajah hai Kufr ke masaael jaanne ki ke jaisa rawayyah tumhen ek musalmaan se karna chaahiye tum ek Kaafir se kar rahey ho. Agar tumhen ilm hota toh tum aisa kabhi nahin karte.

Al-Walaa wa Al-Baraa: Allaah ke liye dosti aur Allaah ke liye Dushmani karna ye ek eemaan ki mazboot tareen zanjeer hai: Nabi e Akram (ﷺ) ne farmaaya:

أوْثَق عُرى الإيمانِ أنْ تُحِبَّ في اللهِ، وتُبْغِضَ في اللهِ

"Eemaan ki mazboot tareen Zanjeer ye hai ke tum Allaah ke liye Muhabbat karo Aur Allaah ke liye hi (kisi se) Bughz (wa Nafrat) rakho." (Musnad Ahmad, Hasan)

Aur Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:

لَا يُؤْمِنُ أَحَدُكُمْ حَتَّى يُحِبَّ لِأَخِيهِ مَا يُحِبُّ لِنَفْسِهِ.

"Tum mein se koi shakhs Eemaan waala nahin ho sakta jab tak apne (musalmaan) bhaai ke liye wohi na chaahe jo apne nafs ke liye chaahta hai." (Bukhaari: 13)

Jab usey Eemaan ki ek bunyaadi cheez ka hi ilm na ho, toh chaahe woh Saheeh tareeqe ki Namaaz padhey ya Ramazaan ke ta'lluq se ilm haasil karke apne aap ko bhooka rakhey, kya gumaan hai ye cheez usey faayedah degi ? Bilkul nahin.

'Abdullaah Bin 'Umar (Raziyallaahu 'Anhu) ne kaha:

"Allaah ki Qasam, agar Main saara din bina khaaye Rozah rahun, saari Raat bina soye Namaaz (Tahajjud) padhun, Mera saara maal Allaah ki Raah mein kharch kardun, jis din maut muqarrar hai us din marjaaun, lekin jo Allaah ki itaa'at aur farmaabardaari karte hain unke liye Mere Dil mein MUHABBAT nahin hai, aur Jo Allaah ki naafarmaani karte hai unke liye mere Dil mein NAFRAT aur DUSHMANI nahin hai, toh ye saari ('ibaadaten) mujhe kuch bhi faaedah na dengi."

[Source: Ihyaa 'Uloom Al-Deen (2/195)]

Namaaz ke ahkaam wa masaael ke baare mein ilm hona ya na hona ye toh bohat door ki baat hai pehle woh Islaam ka pehla rukn Kalimah e Tawheed ko toh theek se jaane aur us Kalimah ke taqaaze kya hai woh toh jaane, ab yahi theek na ho toh Naamaz ka kya faayedah ? Namaaz toh doosra rukn hai aur Rozah paanchwa Rukn. (Bukhaari: 8)

Allaah (تعالى) se du'aa hai ke Allaah aise logon ko tabaah wa barbaad karey jo uske Deen ko logon ke saamne apni samajh se uska asal maf'hoom badal kar bayaan karte hain.

ولله الحمد والمنة و أعلم


Muharrir (Writer): 'Abdul-Mudhill Hafizahullah》
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ )
 

Similar threads


Top