Kya Madeene Mein Hajaron Aurton Ki Ismat Dari Ki Gayi Thi


Abdul Adil

Member
Kya Madeene Mein Hajaron Aurton Ki Ismat Dari Ki Gayi Thi

Roman Script :-
Abdul Adil Ansari

Asal Mazmoon :- Yazeed Ibne Muawiyah Par Iljemat Ka Tahqeeqi Jayeza Safa : 463 - 464

Imam Baihaqi Rahimahullah (Died 458 Hijj) ne kaha

"أخبرنا أبو الحسين بن الفضل أخبرنا عبد الله بن جعفر حدثنا يعقوب بن سفيان حدثنا يوسف بن موسى حدثنا جرير عن مغيرة قال: أنهب مسرف بن عقبة المدينة ثلاثة أيام فزعم المغيرة (؟) أنه افتض فيها ألف عذراء“

Mugeerah bin Muqsim Al-Zubhi se manqool hai ki Muslim bin Uqbah ne teen din tak madeene mein loot maar ki aur mugeerah Bin Muqsim Al-Zubhi ka gumaan hai ki usne madeene me Hajaron Khawateen ki ismat dari ki .

[Dalail Un Nubuwah Lil Baihaqi 6/475 , Tareekh E Dimashq Libne Ashakir 58/108]

Ye riwayat kayi wajah ki bina par batil wa mardood hai .

Awwal :- Mugeerah Bin Muqsim Al-Zubhi ne apna maakhaz nahi bataya hai , unki wafat 136 Hijri mein huyi hai , Kibar Tabeyeen se unki mulaqat sabit nahi hai lihaza unhe Waqya E Harrah ka daur mila hi nahi hai .

Doyem :- Mugeerah Bin Muqsim Al-Zubhi teesre tabke ke mudallis hai.

[Tabqaat ul Mudalliseen Libne Hajar Safa : 46]

Inhone is riwayat me sima'a ki sharahat to door ki baat apne ustaad ka name bhi nahi bataya hai .

Gaur kijiye ki is riwayat mein ek nahi ek hajaar (1000) ladkiyo ki ismat dari ka jikr hai , jara gaur kijiye kya Khair Ul Quroon ki Islami Fauz ka yahi haal tha ? fir jhooth aur tohmat ka silsila yahi par band nahi ho jata balki kazzabon ne aur tohmat paraston ne un Hajaron ladkiyon mein se har ladki se bacche bhi paida kar diye.
 

Top