Abdul Adil

Member
Post No. 1

Kya Mard Aur Aurat Ki Namaz Me Farq hai ?


Muqallid Bhaiyyo Ki Pesh Kardah Hadees Ki Tahqeeq

Daleel Number - 1 👇


46

Hazrat Wail Bin Hujar (Radhi Allahu Anhu) farmate hain ke mujhe Nabi E Paak ( ï·º ) ) ney namaz ka tareeqa seekhaya tou farmaya ke Aye Wail Bin Hujar (Radhi Allahu Anhu) jab tum namaz shuru karo tou apne haathon ko kohniyo tak utthaou aur aurat apne haath chhatiyon tak uthaye."


(Mujam Az Zawaid Safa 2/103 safa 1)


Tahqeeq :-
Is hadees ke baray mein Hafiz Nooruddin Al Haisimi Rahimahullah apni kitaab mujam az zawaid mein likhtey hain ke: "Isey tabrani ney manaqib Wail (Radhi Allahu Anhu) sey maimoana binte hujar se, unhune apni phupi umme yahiya binte abdul jabaar sey lambi hadees mein riwayat kiya hain, umme yahiya ko main nahi jaanta aur is (sanad) ke baqi rawi siqa hain.


(Mujam Az Zawaid - Jild - 1 Safa - 103)


Maloom huwa ke sahib e mujam az zawaid ney is riwayat ki sanad par jarah kar rakkhi hain, jise dewbandiyo ke "munazir" aur "qura" ki saf mein shamil Qari Chan Sahaab and party ney chupa liya hain, kya insaaf wa aamanatdari is ka naam hain ?


LATEEFA :- Hayaati Dewbandiyon ke munazir, Master Ameen Okaadwi Sahaab ney umme yahiya ki is riwayat ko bataur e hujjat paish kiya hain.


Dekhiyen 👉 Majmoo' Rasail Jild: 2 Safa: 94 Tabaa June 1993)


Jab ke apni marzi ke mukhalif ek hadees ke baray mein likkha hain ke "aur umme yahiya majhool hain"


Dekhiyen 👉 Majmoo' Rasail J ild: 1 Safa: 346, namaz mein haath naaf ke neechey bandhna Safa: 10)


Ek hi rawi agar marzi ke khilaaf riwayat mein ho tou majhoola ban jaat hain aur dusri jagha is ki riwayat sey hujjat pakdi jaati hain, Subhaan'Allah


kiya dewbandio ye insaaf hain ?


Tanbeeh :-
Mujam az zawaid wali riwayat mazkora hai


(Mujumul Kabeer Lit'Tabrani Jild: 22, Safa: 1920 Hadees 28)


mein umme yahiya ki sanad sey maujood hain aur is kitaab sey "hadees aur ahle hadees" ke musannif ney isey naqal kar rakkha hain.


(Safa - 479)


Tanbeeh :- Sayyiduna Wail Bin Hujar (Radhi Allahu Anhu) sey mansoob yeh ghair sabit riwayat muhammad zafaruddin qaadri razwi barelwi (died 1962) ney apni wazah karda kitaab "sahih al bihaari" (Safa: 383) mein naqal ki hain, maloom huwa ke Saheehul Bukhaari ke muqabil mein likkhi gayi barelwi kitaab "saheeh al bihaari apne daman mein za'eef wa mardood riwayaat bhi jama kiye huwe hain, yeh log kis dhadaaley sey za'eef wa mardood riwayaat ko saheeh kahna karna chahate hain, kya inhen roz e jaza ki pakad ka koi dar na hi ?
 

Top