Umar Asari

Administrator
Staff member
ꙮQaza e Haajat Ke Mutalliq Duayenꙮ

✾Bait ul Khala Mein Dakhil Hotey Waqt Ki Dua✾
عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ ـ رضى الله عنه ـ قَالَ كَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم إِذَا دَخَلَ الْخَلاَءَ قَالَ ‏اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْخُبُثِ وَالْخَبَائِثِ ‏​
Tarjumah: Hazrat Anas Radhiallahu Anhu Ne Bayan Kiya Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Bait ul Khala Jaatey To Ye Dua Padhtey:
اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْخُبُثِ وَالْخَبَائِث​
Aye Allah! Mein Khabees Jinon or Jinniyon (Female Jin) Ki Burai Se Teri Panah Maangta Hun.
(Sahih al-Bukhari: 6322 & 142)

Note: Ye Dua Tirmizi Hadees No: 5 & 6 Mein Bhi Hai Lekin Uskey Alfaaz Thodey Mukhtlaif Hain Lekin Zada Farq Nahi Hai.

Imam Nawawi Rahimahullah Kahtey Hain: Hamarey As-haab Ye Kahtey Hain Ki Ye Dua Har Jagah Padhna Mustahab (Pasandeedah Amal) Hai Chahey Qaza e Hajat Ki Jagah Imarat (Ghar) Ho Ya Sehra (Jungle Wagera) Ho.
{Al- Azkaar (Nawawi): 1/89}

Is Liye Ye Dua Har Jagah Padhengey Chahey Ghar Key Toilet Mein Jaayen Ya Maidaan (Field) Mein Qaza e Hajat Key Liye Jayen.
Agar Koi Shakhs (Ghar Key) Bait ul Khala Mein Jaa Raha Hai To Bait ul Khala (Toilet) Mein Dakhil Honey Sey Pahley Dua Padheyga or Agar Sehra (Jungle) Ya Maidaan (Field) Mein Jaa Raha Hai To Wo Qaza e Hajat Key Liye Baithney Sey Pahley Padheyga.

❗Jis Riwayat Mein Hai Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Bait ul Khala Mein Dakhi Honey Sey Pahley
اللَّهمَّ إنِّي أعوذُ بكَ مِن الرِّجْسِ والنَّجسِ الخبيثِ المُخْبِثِ الشَّيطانِ الرَّجيم​
Padhtey They Wo Riwayat Zaeef Hai.
{Silsila Az-Zaeefah (Albani): 4187}

Hafiz Ibn e Hajar Rahimahullah Farmatey Hain Ki Ye Riwayat Is Sanad Key Saath Ghareeb Hai or Iska Madaar (Base) Ismail Bin Muslim Makki Par Hai Or Wo Zaeef Hai.
(Nataaej al Afkaar: 1/199)

Sheikh Saleem Hilaali Ne Bhi Is Riwayat Ko Sakht Zaeef Kaha Hai.

❗Isi Tarah Jis Riwayat Mein Hai Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Baitul Khala Mein Dakhil Honey Sey Pahley “يا ذا الجلالِ” Padhtey They Wo Bhi Zaeef Hai.
{Zaeef al Jaami' (Albani): 4389}

✾Bait ul Khala Se Nikalte Waqt Ki Dua✾
عَنْ عَائِشَةَ، رضى الله عنها قَالَتْ كَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم إِذَا خَرَجَ مِنَ الْخَلاَءِ قَالَ: غُفْرَانَكَ ‏​
Tarjumah: Umm ul Momineen Aisha Radhiallahu Anha Kahti Hain: Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Qaza e Hajat Key Bad Bait ul Khala Sey Nikaltey To Kahtey: غُفْرَانَكَ
(Means: Aye Allah! Mein Teri Bakhshish Ka Talabgaar Hun)
Grade: Sahih (Darussalam)
(Reference: Tirmizi: 7, Ibn e Majah: 300)

Jis Riwayat Mein Hai Ki Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Bait ul Khala se Nikaltey Waqt “اَلْحَمْدُ لِلّٰہِ الَّذِیْ اَذْھَبَ عَنِّی الْاَذٰی وَعَافَانِیْْ ” Padhtey They Wo Riwayat Zaeef Hai.
(Ibn e Majah: 301, Irwa ul Ghaleel: 53, Takhreej al Azkaar: 1/218)

Hafiz Boseeri Rahimahullah Ne Ise Zaeef Kaha Hai.
(Az Zawaid: 1/129)

Imam Nawawi Rahimahullah Ne Ise Zaeef Kaha Hai.
(Al Majmoo': 2/75)

Imam Abu Daud, Imam Dara Qutni or Shaikh Saleem Hilaali Rahimahumullah Ne Bhi Isey Zaeef Kaha Hai.
 
Top