Umar Asari

Administrator
Staff member
Kya Miyan Biwi Ke Jodey Aasmaan Mein Bantey Hain?

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Logon mein rishtey ke mutalliq mash-hoor hai ke yeh aasman par bantey hain yani rishta noshtah hota hai. Kya yeh baat sahih hai ke rishta aasman pay banta hai❓
Allah Taala ne Quran mein kai jagah makhlooq ke mutalliq joda joda bananey ka zikr kiya hai. Insanon ke mutalliq Allah Taala farmata hai:
وَمِنْ آيَاتِهِ أَنْ خَلَقَ لَكُمْ مِنْ أَنْفُسِكُمْ أَزْوَاجًا لِتَسْكُنُوا إِلَيْهَا وَجَعَلَ بَيْنَكُمْ مَوَدَّةً وَرَحْمَةً ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِقَوْمٍ يَتَفَكَّرُونَ​
Tarjumah: Aur us ki nishaniyon mein se hai ki tumhari hi jins se biwiyan paida ki takay tum un se aaram paao us ne tumharey darmiyan mohabbat aur humdardi qayem kar di, yaqeenan gaur o fikr karney walon kay liye is mein bohot si nishaniyan hain.
(Surah Ar-Room, Surah No:30, Ayat No: 21)

Is Aayat se pata chalta hai ke Allah Taala ne mardon ke liye usi ki jins se hi aurton ko paida kiya hai taaki aik dosrey se shadi karke joda joda ban jaye aur aik dosrey ke raahat o sukoon ka baais ban jaye. Agar mard o aurat ki jins alag alag hoti for example: Mard insanon mein se aur aurtain hewan mein se to aik phir dosrey ka joda ban-na aur qalbi (dili) sukoon milna namumkin (impossible) tha. Is wajah se Allah Taala ne mard ko usi ki jins se biwi aur aurat ko bhi apni hi jins se shauhar diya. Phir Allah ne hamein jodey ban-ney aur zindagi guzarney ka sunehra usool bhi diya jisey shadi kehtey hain.
Islam mein mardon ko naik biwi ka intekhab karney ka hukm diya hai taaki marriage life ki bunyaad saleh ho aur baqiya zindagi mein usi bunyaad par rishta qayem rahey.
In baton se hamein yeh maloom ho gaya ke joda bana diya gaya hai rishta hamein banana hai. Yeh hamarey haath mein hai ke kis se rishta bana rahey hain?
Haan aik aur baat yeh bhi hai ke aasman mein Lauhe Mehfooz mein hamara rishta bhi likha howa hai jaisey hamari Taqdeer likhi hue hai. To yeh is wajah se hai ke Allah Taala ke ilm mein pehlay se hi yeh baat hai ke hum zindagi mein kya kya karney waley hain.
 

Top