Umar Asari

Administrator
Staff member
Kya Mobile me Quran padhne ke liye Wuzu karna zaroori hai?

✵Sawaal:✵
Kya mobile me Quran padhne ke liye Wuzu karna zaroori hai?

✯Jawaab:✯
Jin mobiles mein Quran e Majeed likha huwa ya audio files ki soorat mein hai un ka hukm Mushaf waala nahi hai, is liye mobile mein maujood Quran e Majeed ko baghair Wuzu ke choo sakte hain, isi tarah unhein le kar bait ul khala mein bhi ja sakte hain, is ki wajah yeh hai ke mobile mein Quran e Majeed ki likhawat aisi nahi hoti jaisi kitabi shakl mein hoti hai, balki yeh lehrein hoti hain jo khatm bhi ho jaati hain, chunancha mobile mein Quran e Majeed ki likhawat temporary hoti hai permanent nahi.

Shaikh Saleh Al-Fawzan Hafizahullah se sawaal kiya gaya:
Mujhe Quran e Majeed padhne ka bahut shauq hai, aam taur par main Masjid mein jaldi pahunch kar apne jadeed tareen mobile se Quran e Majeed nikaal kar padhna shuru kar deta hun, mere mobile mein mukammal Quran e Majeed hai, kabhi kabhaar aisa hota hai ke mera Wuzu nahi hota to phir bhi main apne mobile se Quran e Majeed ki tilawat kar leta hun, to kya mobile se tilawat karte huwe bhi ba-Wuzu hona zaroori hai?

To unhon ne jawaab diya:
Yeh logon mein maujood aaraam pasandi rawayya ke sabab hai, kiunki Allah ka shukr hai ke behtareen printing waale Quran e Majeed Masajid mein maujood hain, is liye mobile se Quran e Majeed ki tilawat karne ki bilkul zaroorat nahi hai, lekin agar aisa mumkin ho gaya hai to hum yeh nahi samajhte ke is ka hukm bhi Mushaf waala hoga.
Mushaf ko sirf ba-Wuzu shakhs hi haath laga sakta hai, jaisa ke Hadees mein hai ke: {Ise sirf ba-Wuzu shakhs hi haath lagaaye. (Mu’atta Imam Malik: 534, Allama Albani Rahimahullah ne “Irwa ul Ghaleel” mein Sahih kaha hai.)} jabki mobile ko Mushaf nahi kaha jaa sakta. (Shaikh Hafizahullah ki baat mukammal hue).

Mobile se Quran e Majeed ki tilawat mein Haaiza aurton ke liye aasaani hai isi tarah un ke liye bhi aasaani hai jin ke liye Quran e Majeed har waqt apne saath rakhna mushkil hai, ya aisi jagah par insaan maujood ho jahan par Wuzu karna mushkil hai, kiunki mobile se tilawat karte huwe ba-Wuzu hona shart nahi hai, jaisa ki wazahat ki jaa chuki hai.
والله أعلم بالصواب​
 

Similar threads


Top